Search This Blog

Tuesday 9 August 2016

Ahliya Sheeshey ke Tarah Najuk

Ahliya Sheeshey ke Tarah Najuk
--------------
Bismillahhirrahmanirrahim
✦Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam (Aik safar ke moqe par) Apni baaz Azwaje Mutahrat ke paas Aaye jo Unton par sawar ja rahi thin aur un ke Hamrah Umm Sulaim RadiyAllahu Anha bhi then (Aik Habshi Gulam Anjasha tezi ke sath Unton ko hankaye ja raha tha). AanHazrat Sallallahu Alaihi Wasalla ne (gulam ko mukhatab kar ke) Irshad Farmaya: “ *Tera Naas ho, Aye Anjasha! Shishon se Lade Unton ko Aahistagi se Lekar Chalo*.”
--------------------
✦हजरत अनस बिन मलिक रदि अल्लाहु अन्हु से रिवायात हैं की नबी करीम सल-अल्लाहु अलैहि वसलम एक सफ़र के मौके पर अपनी बाज अज्वाजे मुतेहरात के पास आये जो ऊंटो पर सवार जा रही थी और उनके हमराह उम्मह सूलेम रदि अल्लाहु अनहा भी थी (एक हब्शी ग़ुलाम अंजाशा तेज़ी के साथ ऊँटो को हांके जा रहा था)तो आहजरत सल-अल्लाहु अलैहि वसलम ने ग़ुलाम को मुखातिब करके फरमाया *तेरा नाश हो ऐ अंजाशा ।शीशो से लदे ऊँटो को आहिस्तगी से लेकर चलो*
--------------------
✦نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم (ایک سفر کے موقع پر) اپنی عورتوں کے پاس آئے جو اونٹوں پر سوار جا رہی تھیں، ان کے ساتھ ام سلیم رضی اللہ عنہا انس کی والدہ بھی تھیں۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ *افسوس، انجشہ! شیشوں کو آہستگی سے لے چل۔*
-----------------
✦Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) came to some of his wives among whom there was Um Sulaim RadiyAllahu Anha, and said, "May Allah be merciful to you, *O Anjasha! Drive the camels slowly, as they are carrying glass vessels!"*
Sahih Bukhari-6161
------------------------------
●◗► RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Azwaje Mutaharat ko shishe se Tashbih di, Shisha bahot Nazuk hota hai aur asrat se bahot jald Muta’ssir hokar toot jata hai, isi tarah Gharwali bhi Kamzor saakht, Nazuk Fitrat aur Hasas dil ki Malik hoti hai aur ise bhi Shishe ki tarah Ehtiyat, Narmi aur dekh bhaal se Rakhne ki zarurat hoti hai.
------------------------

No comments:

Post a Comment