Al Silsila As sahiha, 3350
-----------------------
अल सिलसिला अस साहिहा, 3350
-----------------------
ﺳﻠﺴﻠﮧ ﺻﺤﯿﺤﮧ ٣٣٥٠
-----------------------
Al Silsila As sahiha, 3350
-----------------------------------------------------------
Bismillahhirrahmanirrahim
Teen tarah ke logo par se Qalam utha diya gaya hai(yani unke gunah nahi likhe jate)
-----------------------
★Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya teen tarah ke logo par se Qalam utha diya gaya hai (yani unke gunah nahi likhe jate) ek to sone wala jab tak ki jag na jaye, aur bachcha jab tak ki wo bada na ho jaye aur pagal jab tak ki wo hosh mein na aaye (yani achcha na ho jaye).
Sunan Nasaii,Jild 2,1372-Sahih
-----------------------
★आईशा रदी अल्लाहू अन्हा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया तीन तरह के लोगों पर से क़लम उठा दिया गया है (यानी उनके गुनाह नही लिखे जाते)एक तो सोने वाला जब तक की जाग ना जाए,और बच्चा जब तक की वो बड़ा (बालिग़) ना हो जाए और पागल जब तक की वो होश में ना आए (यानी अच्छा ना हो जाए)
सुनन नसाई,जिल्द 2,1372-सही
-----------------------
ام المؤمنین عائشہ رضی الله عنہا کہتی ہیں کہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”تین طرح کے لوگوں سے قلم اٹھا لیا گیا ہے ۱؎ ایک تو سونے والے سے یہاں تک کہ وہ جاگے ۲؎، دوسرے نابالغ سے یہاں تک کہ وہ بالغ ہو جائے، تیسرے دیوانے سے یہاں تک کہ وہ عقل و ہوش میں آ جائے“۔
سنن نسائی،جلد-٢، ١٣٧٢-سحى
-----------------------
★It was narrated from Aishah Radi Allahu Anha that the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said: The pen has been lifted from three (means their sins will not be written), From the sleeper until he wakes up, from the minor until he grows up, and from the insane until he comes back to his senses or recovers.
Sunan Nasaii,Book-27,3462-Sahih
------------------------------
Islamic Quiz-236
⏰ Daily Islamic Quiz ⏰
WO kaun se log hai Jin par se Qalam utha diya gaya hai yani unke gunah nahi likhe jate ?
A) Sone wala jab tak ki jag na jaye,
B) Bachha jab tak ki wo bada na ho jaye,
C) Pagal jab tak ki wo hosh mein na aaye,
D) Upar ke sab sahi hai.
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
------------------------------
D is the correct answer
Bismillahhirrahmanirrahim
Musalman khud ek dusrey ko halak karengey
-----------------------
★Thauban radi allahu anhu se Rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ne lapet liya zameen ko mere liye (yani sab zameen ko mere samne kar diya) to maine uska purab aur pachchim dekha aur meri hukumat wahan tak pahuchegi jaha tak zameen mujhko dikhlayee gayee aur mujhko do khazane mile surkh aur safed aur maine Dua ki apne Allah se ki meri ummat ko ek hi martaba qahat se halak na karna aur un par kisi aise dushman ko musallat na karna jo sari ummat ko halak kar de ,Mere Allah ne farmaya Eh Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam main jab koi hukm kar deta hun phir wo nahi palat-ta, aur maine Aapki ye Duayein qubul ki Main Aapki ummat ko Aam qahat se halak na karunga aur na un par kisi aise dushman ko musallat karunga jo sari ummat ko halak kar de chahey zameen ke tamam log iske liye ek saath ho jaye ( ki musalmano ko tabah karne ke liye lekin unko bilkul tabaah na kar sakenge) yahan tak ki khud musalman ek dusrey ko halak karenge aur ek dusre ko Qaid karenge.
Sahih Muslim,Jild-6,7258
-----------------------
★शोबान रदि अल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूल अल्लाह सल-अल्लाहु अलैहि वसलम ने फरमाया अल्लाह सुब्हानहु ने लपेट लिया ज़मीन को मेरे लिए (यानी सब ज़मीन को मेरे सामने कर दिया) तो मैंने उसका पुरब और पश्चिम देखा और मेरी हुकूमत वहाँ तक पहुची जहा तक ज़मीन मुझको दिखलायी गयी और मुझको दो ख़ज़ाने मिले सुर्ख और सफ़ेद और मैंने दुआ की अपने अल्लाह से की मेरे उम्मत को एक ही मरतबह कहत से हलाक ना करना और उनपर किसी ऐसे दुश्मन को मुसल्लत ना करना जो सारी उम्मत को हलाक कर दे , मेरे अल्लाह ने फरमाया ऐ मुहम्मद सल-अल्लाहु अलैहि वसलम मै जब कोई हुक्म कर देता हु फिर वो नही पलटता और मैंने आपकी ये दुआएँ क़ुबूल की मै आपकी उम्मत को आम कहत से हलाक ना करूँगा और ना उनपर किसी ऐसे दुश्मन को मुसल्लत करूँगा जो सारी उम्मत को हलाक कर दे चाहे ज़मीन के तमाम लोग इसके लिए एक साथ हो जाए (की मुसलमानो को तबाह करने के लिए लेकिन उनको बिलकुल तबाह ना कर सकेंगे ) यहॉ तक की खुद मुसलमान एक दूसरे को हलाक करेंगे और एक दूसरे को क़ैद करेंगे
सही मुस्लिम,जिल्द-6,7258
-----------------------
ایوب نے ابو قلابہ سے انھوں نے ابو اسماء سے اور انھوں نے حضرت ثوبان رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت کی، کہا: رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: بے شک اللہ تعالیٰ نے میرے لیے زمین کو لپیٹ دیا اور میں نے اس کے مشارق و مغارب کو دیکھ لیا اور جہاں تک یہ زمین میرے لیے لپیٹی گئی عنقریب میری امت کی حکومت وہاں تک پہنچے گی اور مجھے سرخ اور سفید دونوں خزانے (سونے اور چاندی کے ذخائر)دیے گئے اور میں نے اپنے رب سے اپنی امت کے لیے یہ سوال کیا کہ وہ اس کو عام قحط سالی سے ہلاک نہ کرے اور ان کے علاوہ سے ان پر کوئی دشمن مسلط نہ کرے جو مجموعی طور پر ان سب (کی جانوں)کو ہلاک کر دے ۔بے شک میرے رب نے فرمایا: اے محمد صلی اللہ علیہ وسلم !جب میں کو ئی فیصلہ کردوں تو وہ رد نہیں ہوتا۔بلاشبہ میں نے آپ کی امت کے لیے آپ کو یہ بات عطا کردی ہے کہ ان کو عام قحط سالی سے ہلاک نہیں کروں گا اور ان پر ان کے علاوہ سے کسی اور دشمن کو مسلط نہ کروں گاجو ان سب (کی جانوں) کو روا قرار دے لے ۔ چاہے ان کے خلاف ان کے اطراف والے ۔یا کہا: ان کے اطراف والوں کے اندر سےہوں اکٹھے کیوں نہ ہوں جائیں ۔یہاں تک کہ یہ (خود)ایک دوسرے کو ہلاک کریں گے۔ اور ایک دوسرے کو قیدی بنائیں گے۔
صحیح مسلم جلد ٦ - ٧٢٥٨
-----------------------
★Thauban Radi Allahu Anhu reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) said: Allah drew the ends of the world near one another for my sake. And I have seen its eastern and western ends. And the dominion of my Ummah would reach those ends which have been drawn near me and I have been granted the red and the white trea- sure and I begged my Lord for my Ummah that it should not be destroyed because of famine, nor be dominated by an enemy who is not amongst them to take their lives and destroy them root and branch, and my Lord said: Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam , whenever I make a decision, there is none to change it. Well, I grant you for your Ummah that it would not be destroyed by famine and it would not be dominated by an enemy who would not be amongst it and would take their lives and destroy them root and branch even if all the people from the different parts of the world join hands together (for this purpose), but it would be from amongst them, (your Ummah) that some people (of my ummah) would kill the each others or imprison the others.
Sahih Muslim,Book-41,6904
------------------------------
Islamic Quiz-230
⏰ Daily Islamic Quiz ⏰
Eh Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam main jab koi hukm kar deta hun phir wo nahi palat-ta, aur maine Aapki ye Duayein qubul ki Main Aapki ummat ko Aam qahat se halak na karunga aur na un par kisi aise dushman ko musallat karunga jo sari ummat ko halak kar de chahey zameen ke tamam log iske liye ek saath ho jaye ( ki musalmano ko tabah karne ke liye lekin unko bilkul tabaah na kar sakenge) yahan tak ki ?
👉👉👉👉👉👉👉
Hadith ke is tukdey ke aakhiri hissey ko mukammal kijye
A) Sailab aa jaaye jismey sab garq ho jaaye
B) Log hidayat par hone ke bawajud haqq ko chupaye
C) Jor ki bijli aa girey jismy koi na bachey
D) khud musalman ek dusrey ko halak karenge
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
------------------------------
D is the correct answer