Search This Blog

Showing posts with label Azab e Qabr aur Azab e Hashr. Show all posts
Showing posts with label Azab e Qabr aur Azab e Hashr. Show all posts

Tuesday, 16 May 2017

Part-6 of 6: Azab e Qabr aur Azab e Hashr

Bismillahhirrahmanirrahim

Part-6 of 6: Azab e Qabr aur Azab e Hashr
-----------------------

★Aur jinhe aap ney tannoor mein dekha to woh zinakar they.Aur jis ko aapne naher mein dekha wo sood (riba)khane wala tha aur wo buzurag jo darakht ki jadd mein baithe huye they wo ibrahim Alaihi salam they aur unke ird gird wale bachche logon ki na baligh aulaad thi aur jo shakhs aag jala raha tha wo dozakh ka Daroga tha. Aur wo ghar jisme aap pahle daakhil huye jannat mein aam mominon ka ghar tha aur ye ghar jisme aap ab khade hain ye shohada ka gharhai aur mein Jibril (alaihi salam) hu aur yeh mere sath Meekaeel (Alaihi salam) hain. Achcha ab apna sir uthao maine jo sir uthaya to kya dekhta hu ke mere upar badal ki tarah koi cheez hai. mere sathiyon ne kaha ke ye aap ka makaan hai is par maine kaha ke phir mujhe apne makaan mein jane do. unhone kaha ke abhi Aap ki Umar baqi hai jo aapne poori nahi ki agar aap woh poori kar lete to apne makaan mein aa jate.
Sahih Bukhari,Jild-2,1386
-----------------------

★और जिन्हे आप ने तन्नूर में देखा तो वो ज़िनाकर थे. और जिसको आपने नहर में देखा वो सूद (रिबा) खाने वाला था और वो बुज़ुरग जो दरख़्त की जड़ में बैठे हुए थे वो इब्राहिम अलैही सलाम थे और उनके इर्द गिर्द वाले बच्चे लोगों की नाबालीग औलाद थी और जो शख्स आग जला रहा था वो दोज़ख़ का दारोगा था और वो घर जिसमे आप पहले दाखिल हुए जन्नत में आम मोमीनों का घर था और ये घर जिसमे आप अब खड़े हैं ये शोहदा का घर है और में जिब्रिल (अलैही सलाम) हूँ और यह मेरे साथ मीकाईल (अलैही सलाम) हैं.अच्छा अब अपना सिर उठाओ मैने जो सिर उठाया तो क्या देखता हूँ की मेरे उपर बादल की तरह कोई चीज़ है. मेरे साथियों ने कहा के ये आपका मकान है इस पर मैने कहा के फिर मुझे अपने मकान में जाने दो.उन्होने कहा के अभी आप की उमर बाक़ी है जो आपने पूरी नही की अगर आप वो पूरी कर लेते तो अपने मकान में आ जाते
सही बुखारी,जिल्द-2,1386
-----------------------

تنور میں جن لوگوں کو تم نے دیکھا وہ زانی تھے اور جنہیں تم نے نہر میں دیکھا وہ سود خور تھے اور ضعیف جنہیں تم نے درخت کی جڑ میں دیکھا وہ ابراہیم علیہ السلام تھے اور بچے ان کے اردگرد لوگوں کے ہیں اور وہ شخص جو آگ سلگا رہا تھا وہ مالک داروغہ دوزخ تھا اور وہ گھر جس میں تم داخل ہویے عام مومنین کا گھر تھا اور یہ گھر شہداء کا ہے اور میں جبرییل اور یہ میکاییل ہیں اپنا سر اٹھاؤ میں نے اپنا سر اٹھایا تو اپنے اوپر بادل کی طرح ایک چیز دیکھی ان دونوں نے کہا یہ تمہارا مقام ہے میں نے کہا مجھے چھوڑ دو کہ میں اپنی جگہ میں داخل ہو جاوں ان دونوں نے کہا تمہاری عمر باقی ہے جو پوری نہیں ہوئی جب تم اس عمر کو پورا کرلو گے تو اپنی منزل میں آجاؤ گے۔
صحیح بخاری،جلد-٢، ١٣٨٦
-----------------------

★And those you saw in the river of blood were those dealing in Riba (usury). And the old man who was sitting at the base of the tree was Ibrahim alaihi salam and the little children around him were the offspring of the people. And the one who was kindling the fire was Malik, the gatekeeper of the Hell-fire. And the first house in which you have gone was the house of the common believers, and the second house was of the martyrs. I am Jibril and this is Michael Alaihi salam Raise your head.' I raised my head and saw a thing like a cloud over me. They said, 'That is your place.' I said, 'Let me enter my place.' They said, 'You still have some life which you have not yet completed, and when you complete (that remaining portion of your life) you will then enter your place.'
Sahih Bukhari,Book-23,Hadith-468
------------------------------

Part-5 of 6: Azab e Qabr aur Azab e Hashr

Bismillahhirrahmanirrahim

Part-5 of 6: Azab e Qabr aur Azab e Hashr 
-----------------------

★Mere saathi mujhe is ghar se nikaal kar phir ek aur darakht par charha kar mujhe ek aur dusre ghar mein le gaye jo nihayat khubsurat aur behtar tha. is mein bhi bahut se budhey aur jawan they. maine apne sathiyon se kaha tum logon ney mujhe raat bhar khoob sair karai. kya jo kuch mein ney dekha is ki tafseel bhi kuch batalao ge? Unhonne kaha haan , woh jo aapne dekha tha is aadmi ka jabda lohe ke ankas (hook) se phada ja raha tha to woh jhoota aadmi tha jo jhooti batein bayan kiya karta tha, Jis se woh jhooti baatein dusre log sunte is tarah ek jhooti baat dur dur tak phail jaya karti thi usko qayamat tak aise hi azaab hota rahega.jis shakhs ko aapne dekha ke uska sir kuchla ja raha tha to woh ek aisa insaan tha jisko Allah subhanahu ne quran ka ilm diya tha lekin wo raat ko (bina padhe) so jaya karta tha aur din mein is par amal nahi karta tha usko bhi qayamat tak aise hi azaab hota rahega.
Sahih Bukhari, Jild-2,1386
-----------------------

★मेरे साथी मुझे इस घर से निकाल कर फिर एक और दरख़्त पर चढ़ा कर मुझे एक और दूसरे घर में ले गये जो निहायत खूबसूरतऔर बेहतर था. इस में भी बहुत से बूढ़े और जवान थे. मैने अपने साथियों से कहा तुम लोगों ने मुझे रात भर खूब सैर कराई. क्या जो कुछ में ने देखा इस की तफ़सील भी कुछ बतलाओगे? उन्होंने कहा हाँ , वो जो आपने देखा था इस आदमी का जबड़ा लोहे के अंकस (हुक) से फाड़ा जा रहा था तो वो झूठा आदमी था जो झूठी बातें बयान किया करता था, जिस से वो झूठी बातें दूसरे लोग सुनते इस तरह एक झूठी बात दूर दूर तक फैल जाया करती थी उसको क़यामत तक ऐसे ही अज़ाब होता रहेगा. जिस शख्स को आपने देखा के उसका सिर कुचला जा रहा था तो वो एक ऐसा इंसान था जिसको अल्लाह सुबहानहु ने क़ुरान का इल्म दिया था लेकिन वो रात को (बिना पढ़े) सो जाया करता था और दिन में इस पर अमल नही करता था उसको भी क़यामत तक ऐसे ही अज़ाब होता रहेगा.
सही बुखारी,जिल्द-2,1386
-----------------------

پھر مجھے اس سے نکال کر لے گئے اور ایک درخت پر چڑھا دیا اور مجھے ایک گھر میں داخل کیا جو بہتر اور عمدہ تھا۔ وہاں بوڑھوں اور جوانوں کو دیکھا، میں نے پوچھا کہ تم نے مجھے رات بھر گھمایا تو اس کے متعلق بتاؤ جو میں نے دیکھا ان دونوں نے کہا بہتر! وہ آدمی جسے تم نے دیکھا کہ اس کا گلپھڑا چیرا جارہا ہے وہ شخص جھوٹا ہے جو جھوٹی باتیں بیان کرتا تھا اور اس سے سن کر لوگ دوسروں سے بیان کرتے تھے یہاں تک کہ جھوٹی بات ساری دنیا میں پھیل جاتی ہے اس کے ساتھ قیامت تک ایسا ہی ہوتا رہے گا اور جس کا سر پھوڑتے ہوئے تم نے دیکھا وہ شخص تھا جسے اللہ نے قرآن کا علم عطا کیا لیکن اس سے غافل ہو کر رات کو سو رہا اور دن کو اس پر عمل نہ کیا قیامت تک اس کے ساتھ یہی ہوتا رہے گا-
صحیح بخاری،جلد-٢، ١٣٨٦
-----------------------

★I said to them (i.e. my two companions), 'You have made me ramble all the night. Tell me all about that I have seen.' They said, 'Yes. As for the one whose cheek you saw being torn away, he was a liar and he used to tell lies, and the people would report those lies on his authority till they spread all over the world. So, he will be punished like that till the Day of Resurrection. The one whose head you saw being crushed is the one whom Allah had given the knowledge of Qur'an (i.e. knowing it by heart) but he used to sleep at night (i.e. he did not recite it then) and did not use to act upon it (i.e. upon its orders etc.) by day; and so this punishment will go on till the Day of Resurrection.
Sahih Bukhari,Book-23,Hadith-468
------------------------------
✏To be Continued in shaa Allah...

Monday, 15 May 2017

Part-4 of 6: Azab e Qabr aur Azab e Hashr

Bismillahhirrahmanirrahim

Part-4 of 6: Azab e Qabr aur Azab e Hashr
-----------------------

★chunanche hum aur aage badhe aur ek hare bhare baagh mein aaye. jismein ek bahut bada darakht tha is darakht ki jadd mein ek badi Umar wale buzurag baithe hue they aur un ke sath kuch bachche bhi baithey huye they. darakht se qaree bhi ek shakhs apne aage aag sulga raha tha. woh mere dono saathi mujhe le kar is darakht par chadey. is tarah woh mujhe ek aise ghar mein le gaye ke is se ziyada haseen aur khubsurat aur ba barkat ghar maine kabhi nahi dekha tha. is ghar mein budhey, jawan, aurtain aur bachche ( sab hi qisam ke log ) they.
Sahih Bukhari,Jild-2,1386
-----------------------

★चुनांचे हम और आगे बढ़े और एक हरे भरे बाग़ में आए. जिसमें एक बहुत बड़ा दरख़्त था इस दरख़्त की जड़ में एक बड़ी उमर वाले बुजुर्ग बैठे हुए थे और उन के साथ कुछ बच्चे भी बैठे हुए थे. दरख़्त से क़रीब ही एक शख्स अपने आगे आग सुलगा रहा था. वो मेरे दोनो साथी मुझे ले कर इस दरख़्त पर चढ़े, इस तरह वो मुझे एक ऐसे घर में ले गये की इस से ज़ियादा हसीन और खूबसूरत और बा बरकत घर मैने कभी नही देखा था. इस घर में बूढ़े, जवान, औरतें और बच्चे ( सब किस्म के लोग थे
सही बुखारी,जिल्द-2,1386
-----------------------

ہم آگے چلے یہاں تک کہ ہم ایک سرسبز شاداب باغیچے کے قریب پہنچے جس میں بڑے بڑے درخت تھے اور اس کی جڑ میں ایک بوڑھا اور چند بچے تھے اور ایک شخص اس درخت کے قریب اپنے سامنے آگ سلگا رہا تھا۔ ان دونوں نے مجھے درخت پر چڑھایا اور ہمیں ایسے گھر میں داخل کیا جس سے بہتر اور عمدہ گھر نہیں دیکھا اور اس میں بوڑھے اور جوان آدمی اور عورتیں اور بچے ہیں
صحیح بخاری،جلد-٢، ١٣٨٦
-----------------------

★And we did so till we reached a well-flourished green garden having a huge tree and near its root was sitting an old man with some children. (I saw) Another man near the tree with fire in front of him and he was kindling it up. Then they (i.e. my two companions) made me climb up the tree and made me enter a house, better than which I have ever seen. In it were some old men and young men, women and children. Then they took me out of this house and made me climb up the tree and made me enter another house that was better and superior (to the first) containing old and young people.
Sahih Bukhari,Book-23,Hadith-468
------------------------------
✏To be Continued in shaa Allah...

Part-3 of 6: Azab e Qabr aur Azab e Hashr

Bismillahhirrahmanirrahim

Part-3 of 6: Azab e Qabr aur Azab e Hashr
-----------------------

★Un dono ne jawab diya ke abhi aur aage tashreef le chaliye. chunancha hum aage bade to ek tannoor jaise gaddey ki taraf chalay. jis ke upar ka hissa to tang tha lekin neeche se khoob chorha tha , neeche aag bhadak rahi thi. jab aag ke shole bharak kar oopar ko uthte to ismein jalne wale log bhi oopar uth aate aur aisa maloom hota ke ab woh bahar nikal jayen ge lekin jab shole dab jate to woh log bhi neeche chale jate. is tanoor mein nange mard aur aurtain theen. meine is mauqa par bhi poocha ke yeh kya hai? lekin is martaba bhi jawab yahi mila kaha ke abhi aur agay tashreef le jaeeye hum aage chale.Ab hum khoon ki ek naher ke upar they, neher ke andar ek shakhs khada tha aur is ke beech mein ek shakhs tha. jiske samne paththar rakha hua tha. Naher ka aadmi jab bahar nikalna chahta to paththar wala shakhs is ke munh par itni zor se paththar maarta ke woh apni pahli jagah par chala jata aur isi tarah jab bhi woh nikalne ki koshish karta woh shakhs is ke munh par paththar utni hi zor se phir maarta ke woh apni asli jagah par neher mein chala jata. mein ney poocha yeh kya ho raha hai? unhon ne jawab diya ke abhi aur aage tashreef le chaliye.
Sahih Bukhari,Jild-2,1386
-----------------------

★उन दोनो ने जवाब दिया के अभी और आगे तशरीफ़ ले चलिए. चुनांचे हम आगे बड़े तो एक तन्नूर जैसे गढ्ढे की तरफ चले. जिस के उपर का हिस्सा तो तंग था लेकिन नीचे से खूब चौड़ा था , नीचे आग भड़क रही थी. जब आग के शोले भड़क कर ऊपर को उठते तो इसमें जलने वाले लोग भी ऊपर उठ आते और ऐसा मालूम होता के अब वो बाहर निकल जाएँगे लेकिन जब शोले दब जाते तो वो लोग भी नीचे चले जाते. इस तन्नूर में नंगे मर्द और औरतें थी. मैंने इस मौके पर भी पूछा के यह क्या है ? लेकिन इस मर्तबा भी जवाब यही मिला कहा के अभी और आगे तशरीफ़ ले जाईए हम आगे चले.अब हम खून की एक नहर के उपर थे, नहर के अंदर एक शख्स खड़ा था और इस के बीच में एक शख्स था. जिसके सामने पत्थर रखा हुआ था. नहर का आदमी जब बाहर निकलना चाहता तो पत्थर वाला शख्स इस के मुँह पर इतनी ज़ोर से पत्थर मारता के वो अपनी पहली जगह पर चला जाता और इसी तरह जब भी वो निकालने की कोशिश करता वो शख्स इस के मुँह पर पत्थर उतनी ही ज़ोर से फिर मारता के वो अपनी असली जगह पर नहर में चला जाता.मैंने पूछा यह क्या हो रहा है? उन्हों ने जवाब दिया के अभी और आगे तशरीफ़ ले चलिए.
सही बुखारी,जिल्द-2,1386
-----------------------

ان دونوں نے کہا کہ آگے بڑھو۔چنانچہ ہم آگے بڑھے تو تنور کی طرح ایک گڑھے تک پہنچے کہ اس کے اوپر کا حصہ تنگ اور نچلا چوڑا تھا اس کے نیچے آگ روشن تھی جب آگ کی لپٹ اوپر آتی تو وہ لوگ (جو اس کے اندر تھے) اوپر آنے کے قریب ہوجاتے اور جب آگ بجھ جاتی تو دوبارہ پھر اس میں لوٹ جاتے اور اس میں مرد اور ننگی عورتیں تھیں۔ میں نے کہا کہ یہ کیا ہے ؟ انہوں نے کہا کہ آگے چلو۔ ہم آگے بڑھے یہاں کہ ہم ایک خون کی نہر کے پاس پہنچے اس میں ایک شخص کھڑا تھا اور نہر کے بیچ میں یا جیسا کہ یزید بن ہارون نے اور وہب بن جریر نے جریر بن حازم سے روایت کیا۔ نہر کے کنارے ایک شخص تھا جس کے سامنے پتھر رکھے ہوئے تھے جب وہ آدمی جو نہر میں تھا سامنے آتا تو (کنارے والا) آدمی اس کے منہ پر پتھر مارتا اور وہیں لوٹ جاتا جہاں ہوتا میں نے پوچھا کہ یہ کیا ہے ؟ انہوں نے کہا کہ آگے بڑھو-
صحیح بخاری،جلد-٢، ١٣٨٦
-----------------------

★They told me to proceed on; so we proceeded on and passed by a hole like an oven; with a narrow top and wide bottom, and the fire was kindling underneath that hole. Whenever the fire-flame went up, the people were lifted up to such an extent that they about to get out of it, and whenever the fire got quieter, the people went down into it, and there were naked men and women in it. I said, 'Who is this?' They told me to proceed on.So we proceeded on till we reached a river of blood and a man was in it, and another man was standing at its bank with stones in front of him, facing the man standing in the river. Whenever the man in the river wanted to come out, the other one threw a stone in his mouth and caused him to retreat to his original position; and so whenever he wanted to come out the other would throw a stone in his mouth, and he would retreat to his original position. I asked, 'What is this?' They told me to proceed on.
Sahih Bukhari,Book-23,Hadith-468
------------------------------
✏To be Continued in shaa Allah...

Part-2 of 6: Azab e Qabr aur Azab e Hashr

Bismillahhirrahmanirrahim

Part-2 of 6: Azab e Qabr aur Azab e Hashr
-----------------------

★wahan kya dekhta hu ke ek shakhs to baitha hua hai aur ek shakhs khada hai aur is ke haath lohe ka ankas tha jisko wo baithne wale ke jabde mein daal kar is ke sir ke peeche tak cheer deta phir dusre jabde ke saath bhi isee tarah karta tha. is douran mein is ka pehla jabda sahih aur apni asli haalat par aa jata aur phir pahle ki tarah usko dubara cheerta. maine poocha ke yeh kya ho raha hai? mere saath ke dono aadmiyon ne kaha ke aage tashreef le chaliye.chunanche hum aage bade to ek aise shakhs ke paas aaye jo sir ke bal leta hua tha aur dosra shakhs ek bada sa paththar liye is ke sir par khada tha. is paththar se woh lete huye shakhs ke sir ko kuchal deta tha. jab woh is ke sir par paththar maarta to sir par lag kar woh pathar dur chala jata aur wo usko jakar utha lata. abhi paththar le kar wapas bhi nahi aata tha ke sir dobarah durust ho jata. bilkul waisa hi jaisa pahle tha. wapas aa kar woh phir usko marta. maine poocha ke ye kaun log hain ?
Sahih Bukhari,Jild-2,1386
-----------------------

★वहाँ क्या देखता हूँ की एक शख्स तो बैठा हुआ है और एक शख्स खड़ा है और इस के हाथ लोहे का अंकस था जिसको वो बैठने वाले के जबड़े में डाल कर इस के सिर के पीछे तक चीर देता फिर दूसरे जबड़े के साथ भी इसी तरह करता था. इस दौरान में इस का पहला जबड़ा सही और अपनी असली हालत पर आ जाता और फिर पहले की तरह उसको दुबारा चीरता. मैने पूछा के यह क्या हो रहा है ? मेरे साथ के दोनों आदमियों ने कहा के आगे तशरीफ़ ले चलिए.चुनांचे हम आगे बड़े तो एक ऐसे शख्स के पास आए जो सिर के बल लेटा हुआ था और दूसरा शख्स एक बड़ा सा पत्थर लिए इस के सिर पर खड़ा था. इस पत्थर से वो लेते हुए शख्स के सिर को कुचल देता था. जब वो इस के सिर पर पत्थर मारता तो सिर पर लग कर वो पत्थर दूर चला जाता और वो उसको जा कर उठा लाता अभी पत्थर ले कर वापस भी नही आता था के सिर दोबारा दुरुस्त हो जाता. बिल्कुल वैसा ही जैसा पहले था. वापस आ कर वो फिर उसको मारता . मैने पूछा के ये कौन लोग हैं?
सही बुखारी,जिल्द-2,1386
-----------------------

وہاں دیکھا کہ ایک شخص تو بیٹھا ہوا ہے اور دوسرا شخص کھڑا ہے اور اس کے ہاتھ میں (ہمارے بعض ساتھیوں نے کہا کہ) لوہے کا ٹکڑا ہے جسے اس (بیٹھے ہوئے آدمی) کے گلپھڑے میں ڈالتا ہے، یہاں تک کہ وہ گدی تک پہنچ جاتا ہے پھر اسی طرح دوسرے گلپھڑے میں داخل کرتا ہے اور پہلا گلپھڑا جڑ جاتا ہے، تو اس کی طرف پھر آتا ہے اور اسی طرح کرتا ہے، میں نے پوچھا کہ یہ کیا بات ہے؟ انہوں نے کہا کہ آگے بڑھو۔ ہم آگے بڑھے یہاں تک کہ ایک شخص کے پاس پہنچے جو چت لیٹا ہوا تھا اور ایک شخص اس کے سر پر فہر یا ضحرہ (ایک بڑا پتھر) لئے کھڑا تھا۔ جس سے اس کے سر کوٹتا تھا جب اسے مارتا تھا تو پتھر لڑک جاتا تھا۔ اور اس پتھر کو لینے کے لئے وہ آدمی جاتا تو واپس ہونے تک اس کا سر جڑ جاتا اور ویسا ہی ہوجاتا جیسا تھا وہ پھر لوٹ کر اس کو مارتا، میں نے پوچھا کہ یہ کون ہے ؟
صحیح بخاری،جلد-٢، ١٣٨٦
-----------------------

★There, I saw a person sitting and another standing with an iron hook in his hand pushing it inside the mouth of the former till it reached the jawbone, and then tore off one side of his cheek, and then did the same with the other side; in the meantime the first side of his cheek became normal again and then he repeated the same operation again. I said, 'What is this?'They told me to proceed on and we went on till we came to a man Lying flat on his back, and another man standing at his head carrying a stone or a piece of rock, and crushing the head ofthe Lying man, with that stone. Whenever he struck him, the stone rolled away. The man went to pick it up and by the time he returned to him, the crushed head had returned to its normal state and the man came back and struck him again (and so on). I said, 'Who is this?'
Sahih Bukhari,Book-23,Hadith-468
------------------------------
✏To be Continued in shaa Allah...

Sunday, 14 May 2017

Part-1 of 6: Azab e Qabr aur Azab e Hashr

Bismillahhirrahmanirrahim

Part-1 of 6: Azab e Qabr aur Azab e Hashr
-----------------------

★Samrah bin jundab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam namaz ( Fajar ) padhne ke baad ( aksar ) hamari taraf chehra mubarak kar ke baith jate aur puchte ke aaj raat kisi ne koi khawab dekha ho to bayan karo. Ravi ne kaha ke agar kisi ne koi khawab dekha hota to usko woh bayan kar deta aur Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam is ki tabeer Allah ko jo manzoor hoti bayan farmate.Ek din Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne hum se daryaft farmaya kya aaj raat kisi ne tum mein koi khawab dekha hai? hum ne arz ki ke kisi ne nahi dekha. Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya lekin maine aaj raat ek khawab dekha hai ke do aadmi mere paas aaye unhon ne mera haath thaam liye aur wo mujhe muqaddas zameen ki taraf le gaye.
Sahih Bukhari,Jild-2,1386
-----------------------

★समुराह बिन जुन्दब रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम नमाज़ (फज्र) पढ़ने के बाद (अक्सर) हमारी तरफ चेहरा मुबारक कर के बैठ जाते और पूछते के आज रात किसी ने कोई खवाब देखा हो तो बयान करो , अगर किसी ने कोई खवाब देखा होता तो उसको वो बयान कर देता और आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम इस की ताबीर अल्लाह को जो मंज़ूर होती बयान फरमाते.एक दिन आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्ल ने हम से पुछा क्या आज रात किसी ने तुम में कोई खवाब देखा है? हम ने अर्ज़ की के किसी ने नही देखा. आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्ल ने फरमाया लेकिन मैने आज रात एक खवाब देखा है के दो आदमी मेरे पास आए उन्होंने मेरा हाथ थाम लिए और वो मुझे मुक़द्दस ज़मीन की तरफ ले गये
सही बुखारी,जिल्द-2,1386
-----------------------

سمرہ بن جندب رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت کرتے ہیں کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم جب نماز پڑھ لیتے تھے تو ہماری طرف متوجہ ہوتے اور فرماتے کہ تم میں سے کسی نے رات کو خواب دیکھا ہے اگر کوئی شخص خواب دیکھتا تو اسے بیان کرتا آپ صلی اللہ علیہ وسلم اس کی تعبیر فرماتے جو اللہ کو منظور ہوتا، چنانچہ آپ نے ایک دن ہم سے سوال کیا کیا تم میں سے کسی نے کوئی خواب دیکھا ہے ؟ ہم نے جواب دیا کہ نہیں، آپ نے فرمایا لیکن میں نے دیکھا ہے کہ دو شخص میرے پاس آئے اور میرا ہاتھ پکڑ کر ارض مقدسہ کی طرف لے گئے
صحیح بخاری،جلد-٢، ١٣٨٦
-----------------------

★Narrated Samura bin Jundab Radi Allahu Anhu Whenever the Prophet (ﷺ) finished the (morning) prayer, he would face us and ask,"Who amongst you had a dream last night?" So if anyone had seen a dream he would narrate it. The Prophet (ﷺ) would say: "Ma sha'a-llah" (An Arabic maxim meaning literally, 'What Allah wished,' and it indicates a good omen.) One day, he asked us whether anyone of us had seen a dream. We replied in the negative.The Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said,"But I had seen (a dream) last night that two men came to me, caught hold of my hands, and took me to the Sacred Land.
Sahih Bukhari,Book-23,Hadith-468
------------------------------
✏To be Continued in shaa  Allah...