Search This Blog

Showing posts with label Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam. Show all posts
Showing posts with label Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam. Show all posts

Tuesday, 31 March 2020

Part 84 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim

✦  Part 84 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum (The sealed Nectar )

✦  Biography of Nobel Prophet Muhammad ﷺ by Maulana Safiur Rahman Al-Mubarakpuri
-----------------------------

★Jab Muttalib ki wafaat ho gayi to Nawfal ne Abdul Muttalib ke sehan par ghaasibaana qabza kar liya. Abdul Muttalib ne Quraish ke kuch logo se apne chacha ke khilaaf madad chahi , lekin unhone ye kahkr mazrat kar di ke hum tumharey aur tumharey chachaa ke darmiyan dakheel nahi ho saktey. Aakhir Abdul Muttalib ne Banu Najjar me maamon ko kuch ashaar likh bhejey jismey unse madad ki darkhuwasht ki thi jawab me unka maamon Abu sa'd bin adi assi (80) sawar lekar rawana hua aur makkey ke karib Abtah me utra , Abdul Muttalib ne wahi mulaqat ki aur kaha maamujan ghar tashreef le chaliye. Abu Sa'd ne kaha nahi khuda ki kasam yaha tak ki nawfal se mil lu. Uske bad Abu sa'd aagey badha aur aur Nawfal ke sar pe aan khada hua . Nawfal hateem mein mashaaikh-e-quraish ke hamrah baitha tha.
-----------------------

★जब मुत्तलिब की मृत्यु हो गयी तो नौफुल ने अब्दुल मुत्तलिब के आंगन पर बलात कब्जा कर लिया . अब्दुल मुत्तलिब ने क़ुरैश के कुछ लोगो से अपने चाचा के खिलाफ मदद चाही , लेकिन उन्होंने ये कहकर विवशता व्यक्त कर दी के हम तुम्हारे और तुम्हारे चाचा के बीच हस्तकछेप नही कर सकते , आखिर अब्दुल मुत्तलिब ने बनु नज्जार में अपने मामा को कुछ कविता लिख भेजी जिसमे उनसे सहायता मांगी थी . जवाब में उनका मामा अबु साद बिन अदि अस्सी सवार लेकर रवाना हुआ और मक्का के करीब अबतह में उतरा . अब्दुल मुत्तलिब ने वही मुलाक़ात की और कहा मामूजान ! घर तशरीफ़ ले चलिये . अबु साद ने कहा नही खुदा की कसम ! यहां तक की नौफुल से मिल लू ! इसके बाद अबु साद आगे बढ़ा और नौफुल के सर पे आ खड़ा हुआ ! नौफुल हतीम में क़ुरैश के सरदारों के साथ बैठा था
-----------------------

★When Al-Muttalib died, Nawfal usurped ‘Abdul-Muttalib of his charges, so the latter asked for help from Quraish but they abstained from extending any sort of support to either of them. Consequently, he wrote to his uncles of Bani An-Najjar (his mother’s brothers) to come to his aid. His uncle, Abu Sa‘d bin ‘Adi (his mother’s brother) marched to Makkah at the head of eighty horsemen and camped in Abtah in Makkah. ‘Abdul-Muttalib received the men and invited them to 
go to his house but Abu Sa‘d said: “Not before I meet Nawfal.” He found Nawfal sitting with some old men of Quraish in the shade of Al-Ka‘bah.
-----------------------------------------------------------

Part 85 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim

✦  Part 85 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam 

✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum (The sealed Nectar )
-----------------------------

★Abu Sad ne talwaar be niyaam karte hue kaha " is ghar ke rabb ki kasam agar tumney mere bhaanje ki zameen waapas na ki to ye talwaar tumharey andar pewast kar dunga. Nawfal ne kaha achha lo main ne waapas kar di. Ispar Abu Sad ne masaikh-e-quraish ko gawaah banaya phir Abdul Muttalib ke ghar gaya aur teen (3) roz muqeem rahkar umrah karne ke baad Madeena wapas chala gaya. Is waaqie ke baad Nawfal ne Bani Hashim ke khilaaf Abd Shams se baahamai taawun ka ahd-o-paimaan kiya. Udhar Banu Khuzaa ne dekha ki Banu Najjar ne Abdul Muttalib ki is tarah madad ki hai to kahne laga ki Abdul Muttalib jis tarah tumhari aulaad hai hamari bhi aulaad hai lihaza hamapr uski madad ka haqq jydah hai.iski wajah ye hai ki Abd Manaf ki maa qabeela khuzaa hi se talluq rakhti thi-chunaanche Banu khuzaa ne darul nadwa me jakr Banu Abd Shams aur Banu Nawfal ke khilaf Banu Hashim se taawun ka ahd-o-paimaan kiya. Yahi paimaan tha Jo aagey chalkr islaami daur me fateh-e-makka ka sabab bana. Tafseel apni jagah aa rahi hai.
-----------------------

★अबु साद ने तलवार भांजते हुए कहा "इस घर के रब की कसम अगर तुमने मेरे भांजे की जमीन वापस ना की तो ये तलवार तुम्हारे अंदर घुस दूंगा । नौफुल ने कहा अच्छा लो मैंने वापस करदी । इसपर अबु साद ने क़ुरैश के सरदारों को गवाह बनाया फिर अब्दुल मुत्तलिब के घर गया और तीन दिन ठहर कर उमरा करने के बाद मदीना वापस चला गया ।  इस घटना के बाद नौफुल ने बनी हाशिम के खिलाफ बनी अब्द-ए-शम्स से आपस में एक दूसरी की सहायता का समझौता किया इधर बनु खुजाआ ने देखा की बनु नज्जार ने अब्दुल मुत्तलिब की इस तरह मदद की है तो कहने लगे की अब्दुल मुत्तलिब जिस तरह तुम्हारी सन्तान है हमारी भी सन्तान है इसलिए हमपर उसकी मदद का हक़ ज्यादा है । इसकी वजह ये थी अब्दे-ए-मुनाफ की माँ क़बीला खुजाआ ही से ताल्लुक रखती थी। चुनांचे बनु खुजाआ ने दारुनन्दवा में जाकर बनु अब्द शम्स और बनु नौफुल के खिलाफ बनु हाशिम से सहयोग का समझौता किया । यही समझौता था जो आगे चलकर इस्लामी युग में मक्का विजय का कारण बना । विस्तृत विवरण आगे आ रहा है.
-----------------------

★Abu Sa‘d drew his sword and said: “I swear by Allâh that if you don’t restore to my nephew what you have taken, I will kill you with this sword.” Nawfal was thus forced to give up what he had usurped, and the notables of Quraish were made to witness to his words. Abu Sa‘d then went to ‘Abdul-Muttalib’s house where he stayed for three nights, made ‘Umra and left back for Madinah. Later on, Nawfal entered into alliance with Bani ‘Abd Shams bin ‘Abd Munaf against Bani Hashim. When Khuza‘a, a tribe, saw Bani An-Najjar’s support to ‘Abdul-Muttalib they said: “He is our son as he is yours. We have 
more reasons to support him than you.” ‘Abd Munaf’s mother was one of them. They went into An-Nadwa House and entered into alliance with Bani Hashim against Bani ‘Abd Shams and Nawfal. It was an alliance that was later to constitute the main reason for the conquest of 
Makkah.
-----------------------------------------------------------

Friday, 6 September 2019

Part 83 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 83 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum (The sealed Nectar )
-----------------------------
★Makke waalon ne dekha to kahaa yeh Abdul Muttalib hai yaani Muttalib ka ghulaam hai. Muttalib ne kahaa nahein. nahin, yeh meraa bhateeja yaani mere bhaai Hashim ka ladka hei. Phir Shaiba ne Muttalib ke paas parwarish pai aur jawaan hue - Ke ba'd Maqaam-e-Roomaan (Yemen) mein Muttalib ki wafaat ho gai aur un ke chhode hue manaasib Abdul Muttalib ko haasil hue. Abdul Muttalib ne apni qaum mein is qadar sharaf-o-ai'zaaz haasil kiya ke un ke aabaa-o-ajdaad mein bhi koi is maqaam ko na pahunch sakaa tha. Qaum ne unhein dil se chaahaa aur un ki badi izzat-o-qadar ki.
-----------------------
★मक्का वालो ने देखा तो कहा यह अब्दुल मुत्तलिब हैं यानी मुत्तलिब का दास , मुत्तलिब ने कहा नही नही यह मेरा भतीजा , अर्थात मेरे भाई हाशिम का लड़का है . फिर शैबा मुत्तलिब के पास पले बढ़े और जवान हुए । इसके बाद रोमान (यमन) नामी जगह पर मुत्तलिब की मृत्युं हो गयी और उनके छोड़े हुए पद अब्दुल मुत्तलिब को मिल गए . अब्दुल मुत्तलिब ने अपनी क़ौम में इतना ऊँचा स्थान प्राप्त किया की उनके बाप दादो में भी कोई इस स्थान को नही पहुंच सका था . क़ौम ने उन्हें दिल से चाहा और उनका बड़ा मान सम्मान किया
-----------------------
★There in Makkah, people wondered at seeing Abdul-Muttalib, and they considered him the slave of Muttalib. Al-Muttalib said: “He is my nephew, the son of my brother Hashim.” The boy was brought up in Al-Muttalib’s house, but later on Al-Muttalib died in Bardman in Yemen so ‘Abdul Muttalib took over and managed to maintain his people’s prestige and outdo his grandfathers in his honourable behaviour which gained him Makkah’s deep love and high esteem.
-----------------------------------------------------------
To Be Continued ... In Shaa Allah

Wednesday, 28 August 2019

Part 82 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 82 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum (The sealed Nectar )
-----------------------------
★Abdul Muttalib: Pichhle safhaat se ma'loom ho chuka hei Siqaayaa aur Rifaadah ka mansab Hashim ke ba'd un ke bhaai Muttalib ko mila. Yeh bhi apni qaum mein badi khoobi wa ea’zaaz ke maalik the. Un ki baat taali nahin jaati thi. Unki sakhaawat ke sabab Quraish ne un ka laqab faiyyaz rakh chhoda tha. Jab Shaiba yaani Abdul Muttalib - das-baarah baras ke ho gaye to Muttalib ko un ka ilm huaa aur woh unhein lene ke live rawaana hue. Jab Yasrib ke qareeb pahunehe aur Shaiba par nazar padi to ashkbaar ho gaye, unhein seene se lagaa liya aur phir apni sawaari par pichhe bitha kar Makkah ke liye rawaana ho gae. Magar Shaiba ne Maa ki ijaazat ke baghair saath jaane se inkaar kar diva. Is liye Muttalib un ki maa se ijaazat ke taalib hue. Magar maa ne ijaazat na di. Aakhir Muttalib ne kahaa ke yeh apne waalid ki hukoomat aur Allah ke Haram ki taraf jaa rahe bain. Is par maa ne ijaazat de di aur Muttalib unhein apne oont par bitha kar Makkah le aaye.
-----------------------
★पिछले पृष्ठों से मालूम हो चूका है कि सिकाया और रिफादा का पद हाशिम के बाद उनके भाई मुत्तलिब को मिला . इनमे भी बड़ी खूबियां थी और इन्हें भी अपनी क़ौम में बड़ी प्रतिष्ठा प्राप्त थी . इनकी बात टाली नही जाती थी . इनकी दानशीलता के कारण क़ुरैश ने इनको दानी की उपाधि दे रखी थी. जब शैबा यानी अब्दुल मुत्तलिब 7 या 8 साल के हो गए तो मुत्तलिब को इनके बारे में मालूम हुआ और वह इन्हें लेने के लिए रवाना हुए. जब यसरीब के करीब पहुंचे और शैबा पर नजर पड़ी तो आँखों में आँसू आ गए । उन्हें सीने से लगा लिया और फिर अपनी सवारी पर पीछे बिठाकर मक्का के लिए रवाना हो गए मगर शैबा ने माँ की इजाज़त के बिना साथ जाने से इंकार कर दिया । इसलिए मुत्तलिब उनकी माँ से इजाज़त चाहने लगे पर माँ ने इजाज़त न दी , आखिर मुत्तलिब ने कहा यह अपने बाप की हुकूमत और अल्लाह के हरम की ओर जा रहे हैं इसपर माँ में इजाज़त दे दी और मुत्तलिब उन्हें ऊँट पर बिठाकर मक्का ले आए
-----------------------
★Abdul-Muttalib: We have already known that after the death of Hashim, the charge of pilgrims’ food and water went to his brother Al-Muttalib bin ‘Abd Munaf (who was honest, generous and trustworthy). When ‘Abdul-Muttalib reached the age of boyhood, his uncle Al-Muttalib heard of him and went to Madinah to fetch him. When he saw him, tears filled his eyes and rolled down his cheeks, he embraced him and took him on his camel. The boy, however abstained from going with him to Makkah until he took his mother’s consent. Al-Muttalib asked her to send the boy with him to Makkah, but she refused. He managed to convince her saying: “Your son is going to Makkah to restore his father’s authority, and to live in the vicinity of the Sacred House.
-----------------------------------------------------------
To Be Continued ... In Shaa Allah

Friday, 23 August 2019

Part 81 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 81 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum (The sealed Nectar )
-----------------------------
★Un ka ek aham waaqiaa yeh hei ke woh tijaarat ke liye mulk-e-sham tashreef le gaye. Raaste mein Madinah pahunche to wahaan qabeela bani Najjar ki ek khaatoon Salma bin 'Amr se shaadi kar li aur kuchh dinon wahein thehre rahe. Phir Beewi ko haalat-e-hamal mein maike hi mein chhod kar mulk Sham rawaanaa ho gaye aur wahaan jaa kar Palestine ke shehar Ghazza mein intiqaal kar gaye. Idhar Salma ke batan se bachcha paida hua. Yeh 497 (A.D.) ki baat hei, choonki bachche ke sar ke baalon mein safedi thi is liye Salma ne us ka naam Shaiba rakha aur Yasrib mein apne maike hi ke andar us ki parwarish ki. Aage chal kar yehi bachcha Abdul Muttalib ke naam se mashhoor huaa. Arse tak khaandaan-e -Hashim ke kisi aadmi ko us ke wujood ka ilm na ho saka. Hashim ke kul chaar (4) bete aur paanch (5) betian thein jin ke naam yeh hain. Asa'd, Abu Saifi, Nazla. Abdul Muttalib - Shifa, Khalida, Za’ifa. Ruqyah aur Jannah.
-----------------------
★उनकी एक महत्वपूर्ण घटना ये है कि वे व्यापार के लिए शाम देश गये . रास्ते में मदीना पहुंचे तो वहां क़बीला बनी नज्जार की एक महिला सलमा बिन्त अम्र से विवाह कर लिया और कुछ दिनों वही ठहरे रहें . फिर बीवी को हमल के हालत में माँ के यहाँ छोड़कर शाम देश रवाना हो गए और वहां जाकर फ़लस्तीन के शहर गज्जा में देहांत हो गया . इधर सलमा के पेट से बच्चा पैदा हुआ . यह सन 497 ई०की बात है , चुकी बच्चे के सर के बालों में सफेदी थी इसलिए सलमा ने उसका नाम शैबा रखा . और यसरीब में अपने माँ के घर ही में उसकी परवरिश की . आगे चलकर यही बच्चा अब्दुल मुत्तलिब के नाम से मशहूर हुआ . एक समय तक हाशिम परिवार के किसी व्यक्ति को उसके अस्तित्व का ज्ञान ना हो सका . हाशिम के कुल चार बेटे और पाँच बेटियाँ थी - असद , अबू सैफी , फुज़ला ,अब्दुल मुत्तलिब , शिफा,खालिदा, जईफा , रुकैया और जन्न
-----------------------
★It was reported that he went to Syria as a merchant. In Madinah, he married Salma — the daughter of ‘Amr from Bani ‘Adi bin An-Najjar. He spent some time with her in Madinah then he left for Syria again while she was pregnant. He died in Ghazza in Palestine in 497 A.D. Later, his wife gave birth to ‘Abdul Muttalib and named him Shaiba for the white hair in his head , and brought him up in her father’s house in Madinah. None of his family in Makkah learned of his birth. Hashim had four sons; Asad, Abu Saifi, Nadla and ‘Abdul-Muttalib, and five daughters Ash-Shifa, Khalida, Da‘ifa, Ruqyah and Jannah.
-----------------------------------------------------------
To Be Continued ... In Shaa Allah

Monday, 19 August 2019

Part 80 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 80 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum (The sealed Nectar )
-----------------------------
★Phir yehi Hashim woh pehle aadmi hein jinhon ne Quraish ke liye garmi aur jaade ke do saalana tijaarati safaron ki buniyad rakhi. Un ke baare mein shaae'r kehta hai: "Yeh Amr hi hein jinhon ne qahat ki maari hui apni laaghar qaum ko Makkah mein rotian tod kar shorbe mein bhigo bhigo kar khilaain aur jaade aur garmi ke donon safaron ki buniyad rakhi."
-----------------------
★फिर यही हाशिम वो पहले आदमी है जिन्होंने क़ुरैश के लिए गर्मी और जाड़े के लिए दो वार्षिक व्यापारिक यात्राओ की दो बुनियाद रखी . उनके बारे में कवी कहता है ," यह अम्र ही है जिन्होंने अकाल की मारी हुई अपने कमजोर क़ौम को मक्के में रोटियाँ तोड़कर शोरबे में भिंगो भिंगो कर खिलायी और जाड़े और गर्मी की दोनों यात्राओ की बुनियाद रखी".
-----------------------
★He (Hashim) was also the first man who started Quraish’s two journeys of summer and winter.
-----------------------------------------------------------
To Be Continued ... In Shaa Allah

Monday, 8 April 2019

Part 79 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 79 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Is liye munaasib malum hota hai Hashim aur unke baad ke ba'z afraad ke mukhtasar halat pesh kar diye jaye.
1. Hashim: Ham bata chuke hai ke jab banu 'Abd-e-Manaf aur Banu Abd-e-Dar ke darmiyaan ohdon ki taqseem par musaalahat ho gai to 'Abd Manaf ki aulaad mein Hashim hi ko Siqaaya aur Rifaadah yaani Hujjaj-e-kiram ko paani pilaane aur on ki mezbaani karne ka mansab haasil huaa. Hashim bade muaziz aur maldaar the. Yeh pehle shakhs hain jinhone Makke mein Hajion ko shorba roti saan kar khilaane ka ehtimaam kiya in ka asal naam 'Amr tha lekin roti tod kar shorbe mein saanne ki wajah se un ko Hashim kaha Jane laga kyuki Hashim ke ma'ne hai todne wala.
-----------------------
★इसलिए मुनासिब मालूम होता है कि हाशिम और उसके बाद के कुछ लोगो के संछिप्त  हालात पेश किये जाए
1) हाशिम - हम बता चुके है कि जब बनु अब्दे मुनाफ और बनु अब्दुद्दार के बीच पदों के बंटवारे पर समझौता हो गया तो अब्दे मुनाफ की संतान में हाशिम ही को सिकाया और रिफाया यानी हाजियों को पानी पिलाने और उनका सत्कार करने का पद प्राप्त हुआ । हाशिम बड़े प्रतिष्टित और मालदार व्यक्ति थे , यह पहले व्यक्ति है जिन्होंने मक्के में हाजियों को शोरबा रोटी सान कर खिलाने का प्रबंध किया । उनका असल नाम अम्र था , लेकिन रोटी तोड़कर शोरबे में सानने की वजह से उनको हाशिम कहा जाने लगा क्योंकि हाशिम का अर्थ है तोड़ने वाला
-----------------------
★Let us now speak a little about Hashim and his descendants:
1. Hashim: As we have previously mentioned, he was the one responsible for giving food and water to the pilgrims. This had been his charge when the sons of ‘Abd Munaf and those of ‘Abd Ad-Dar compromised on dividing the charges between them. Hashim was wealthy and honest. He was the first to offer the pilgrims sopped bread in broth. His first name was ‘Amr but he was called Hashim because he had been in the practice of crumbling bread (for the pilgrims).
-----------------------------------------------------------
■ To Be Continued ... In Shaa Allah

Tuesday, 2 April 2019

Part 78 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 78 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Teesra Hissa: Hazrat Ibrahim (a.s.) se oopar. Ibrahim bin Tarih (Azar) bin Nahur bin Saru’ (ya Sarugh) bin Ra’u bin Falikh bin Abirbin Shalikh bin Arfakhshad bin Sam bin Noah (a.s.) bin Lamik bin Mutwashlakh bin Akhnukh (kahaa jaataa hei ke yeh Idris (a.s.) ka naam hai) bin Yarid bin Mahla'il bin Qainan bin Anusha bin Shis (a.s.) bin Adam (a.s.). Khaanwaada: N'abi Sall-Allahu Alaihi Wasallam ka khaanwaada apne jadd-e-aala Hashim bin 'Abd-e-Manaf ki nisbat se khaanwaqadaa-e-Hashmi ke naam se maroof hai.
-----------------------
★तीसरा भाग - हजरत इब्राहिम अलैहि सलाम से ऊपर । इब्राहिम बिन तारेह (आज़र) बिन नाहूर बिन सारूउ (या सारूग) बिन रावू बिन फालिख बिन आबिर बिन शालिख बिन अरफखशद बिन साम बिन नूह अलैहिस्सलाम बिन लामिक बिन मतवशलिख बिन अखनुक (कहा जाता है कि यह इदरीस अलैहिस्सलाम का नाम है) बिन यर्द  बिन महलाइल बिन किनान बिन आनुशा बिन शीस बिन आदम अलैहिस्सलाम
परिवार:- नबी सल-अल्लाहु अलैहि वसलम का परिवार अपने पूर्वज हाशिम बिन अब्दे मुनाफ से जुड़ने से हाशमी परिवार के नाम से प्रसिद्ध है
-----------------------
★The third part: beyond Abraham (Peace be upon him) , Ibn Tarih (Azar) bin Nahur bin Saru‘ bin Ra‘u
bin Falikh bin Abir bin Shalikh bin Arfakhshad bin Sam bin Noah (Peace be upon him) , bin Lamik bin Mutwashlack bin Akhnukh [who was said to be Prophet Idris(Enoch) (Peace be upon him) bin Yarid
bin Mahla’il bin Qabin Anusha bin Shith bin Adam (Peace be upon him) THE PROPHETIC FAMILY: The family of Prophet Muhammad (Peace be upon him) is called the Hashimite family after his grandfather Hashim bin ‘Abd Munaf.
-----------------------------------------------------------
■ To Be Continued ... In Shaa Allah

Tuesday, 26 March 2019

Part 77 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 77 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Zail mein teenon hisson ki qadre tafseel pesh ki jaa rahi hai.
Pehla Hissa: Muhammad bin 'Abdullah bin 'Abdul-Muttalib (Shaiba) bin Haashim (Amr) bin 'Abd-e-Manaf (Mugheera) bin Qusai (Zaid) bin Kilab bin Murra bin Ka'b bin I-o'i bin Ghalib bin Fahr (inhi ka laqab Quraish tha aur inhi ki taraf qabeela-e-Quraish mansoob hai) bin Malik bin Nazar (Qais) bin Kinana bin Khuzaima bin Mudrika (Amir) bin Elias bin Muzar bin Nizar bin Ma'ad bin Adnan. • (1)
Doosra Ilissa: Adnan se oopar yaani Adnan bin Add bin Humaisi' bin Salaman bin Awz bin Buz bin Qamwal bin Ubai bin 'Awwam bin Nashid bin Haza bin Bildas bin Yadlaf bin Tabikh bin Jahim bin Nahish bin Makhi bin Aiz bin 'Abqar bin 'Ubaid bin Ad-Da’a bin Hamdan bin Sanbir bin Yasrabi bin Yahzin bin Yalhan bin Ar'awi bin Aiz bin Desban bin Aisar bin Afnad bin Aiham bin Muksar bin Nahis bin Zarib bin Sami bin Mazzi bin 'Awza bin Aram bin Qaidar bin Ismail (a.s.) bin Ibrahim (a.s.).• (2)
-----------------------
★नीचे इन तीनो भागो को कुछ विस्तार में लिखा जा रहा है.
पहला भाग - मुहम्मद बिन अब्दुल्ला बिन अब्दुल मुत्तलिब (शैबा) बिन हाशिम (अम्र) बिन अब्दे मुनाफ(मुगिरह) बिन कुसई(ज़ैद) बिन किलाब बिन मुर्रा बिन काब बिन लुई बिन ग़ालिब बिन फहर (इन्ही की उपाधि क़ुरैश थी और कबीला क़ुरैश इन्ही से जुड़ा हुआ है ) बीन मालिक बिन नज्र (कैस)बिन किनाना बिन खुज़ैमा बिन मुदरिका(आमिर) बीन इलयास बिन मुज़र बिन नज्जार बिन मअद्द बिन अदनान
दुसरा भाग अदनान से ऊपर यानी अदनान बिन औ बिन हमीसा बीन सलामान , बिन औस बिन पोज़ बिन कमवाल बिन ऊबई बिन अव्वाम बीम नाशीद बिन हजा बीन बलदास बिन यदलाफ बिन ताबिख बिन ज़ाहिम बिन नाहिश बिन माखी बीन ऐज़ बिन अबकर बिन उबैद बिन दुआ बिन हमदान बिन संबर बिन यसरीबी बिन यलहन बिन उरअवी बिन ऐज़ बिन ज़ीशन बिन ऐसर बिन अफनाद बिन ऐहाम बिन मक्सर बिन नाहीस बीम ज़ारेह बिन समी बिन मज़ी बिन अवज़ा बिन कीदार बिन इसमाईल बिन इब्राहिम अलैहस्स्लाम
-----------------------
★After this rapid review, now ample details are believed to be necessary. The first part: Muhammad bin ‘Abdullah bin ‘Abdul-Muttalib (who was called Shaiba) bin Hashim, (named ‘Amr) bin ‘Abd Munaf (called Al-Mugheera) bin Qusai (also called Zaid) bin Kilab bin Murra bin
Ka‘b bin Lo’i bin Ghalib bin Fahr (who was called Quraish and whose tribe was called after him) bin Malik bin An-Nadr (so called Qais) bin Kinana bin Khuzaiman bin Mudrikah (who was called ‘Amir) bin Elias bin Mudar bin Nizar bin Ma‘ad bin ‘Adnan.
The second part: ‘Adnan bin Add bin Humaisi‘ bin Salaman bin Aws bin Buz bin Qamwal bin Obai bin
‘Awwam bin Nashid bin Haza bin Bildas bin Yadlaf bin Tabikh bin Jahim bin Nahish bin Makhi bin Aid bin ‘Abqar bin ‘Ubaid bin Ad-Da‘a bin Hamdan bin Sanbir bin Yathrabi bin Yahzin bin Yalhan bin Ar‘awi bin Aid bin Deshan bin Aisar bin Afnad bin Aiham bin Muksar bin Nahith bin Zarih bin Sami bin Mazzi bin ‘Awda bin Aram bin Qaidar bin Ishmael son of Abraham (Peace be upon them
-----------------------------------------------------------

■ To be Continued... In shaa Allah
• (1) Ibn-e-Hisham 1/1-2, Talkeeh-ul-fuloom Ahl-e-Asaar Safha 5-6, Rahmatul-lil-Alameen 2/11-14,52
• (2) Allama Mansoor Puri ne badi Daqeeq tehqeeq ke baad ye hissa-e-nasab kalbi ki riwayat se Jama kiya hai dekhiye rahmatul-lil-Alameen 2-14-17, Tareekhi maakhaz mein is hissey ki baabat bada ikhtilaaf hai

Thursday, 21 March 2019

Part 76 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 76 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Nasab: Nabi ka silsila-e-Nasab teen hisson par taqseem kiya jaa sakta hei. Ek hissa jis ki sehat par ahl-e-siyar aur maahireen-e-ansaab ka ittifaaq hei. Yeh Adnan tak muntahi hota hei. Doosra hissa jis mein ahl-e-siyar ka ikhtilaaf hei kisi ne tawaqquf kiya hei aur koi qaail hei. Yeh Adnan se oopar Ibrahim (a.s.) tak muntahi hota hai. Teesre hissa jis mein yaqeenan kuchh ghalatian hain yeh Hazrat Ibrahim (a.s.) se oopar Hazrat Adam (a.s.) tak jaataa hei. Is ki jaanib ishaarah guzar chuka hai.
-----------------------
★नबी सल-अल्लाहु अलैहि वसलम का वंश. वंश- नबी सल-अल्लाहु अलैहि वसलम का वंश-क्रम तीन भागों में बांटा जा सकता है। एक भाग जिसके सही होने पर वंश-विशेषज्ञ सहमत है, यह अदनान तक पहुंचता है । दुसरा भाग जिसमे विशेषज्ञयो का मतभेद है, किसी ने माना किसी ने नही माना , यह अदनान से उपर हजरत इब्राहिम अलैहिस्सलाम तक का है । तीसरा भाग जिसमे निश्चित रूप से कुछ ग़लतिया है यह हजरत इब्राहिम अलैहिस्सलाम से ऊपर हजरत आदम अलैहस्सलाम तक जाता हैं इसकी ओर इशारा गुजर चुका है
-----------------------
★THE LINEAGE AND THE FAMILY OF MUHAMMAD (Peace be upon him)
With respect to the lineage of Prophet Muhammad (Peace be upon him), there are three versions: The
first was authenticated by biographers and genealogists and states that Muhammad’s genealogy has been traced to ‘Adnan. The second is subject to controversies and doubt, and traces his lineage beyond ‘Adnan back to Abraham. The third version, with some parts definitely incorrect,traces his lineage beyond Abraham back to Adam (Peace be upon him).
-----------------------------------------------------------

Wednesday, 28 November 2018

Part 75 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 75 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Kyunki ye akhlaq agarche ba'z auqaat sharr-o-fasaad ka sabab ban jatey they aur inki wajah se aalamnaak haadsat pesh aa jate they.Lekin ye fi nafsihi badey keemti akhlaq they jo thodi si islaah ke baad insaani muashrey ke liye nihaayat mufeed ban saktey they.aur yehi kaam Islam ne anjaam diya. Ghaaliban in akhlaq mein bhi eifaa-e-ahad ke baad izzat-e-nafs aur pukhtagi-e-azm sab se giraan qeemat aur nafa baksh jauhar tha. Kyuki is quwwat-e-qahira aur azm-e-musammam ke bagair ka sharr-o-fasaad ka khaatma aur nizaam-e-adl ka qayaam mumkin nahin. Ahl-e-Jaahiliyyat ke kuchh aur bhi akh!aaq-e-faazila the lekin yahaan sab ka ihaata karna maqsood nahein.
-----------------------
★क्योंकि ये चरित्र यधपि कभी कभी फसाद और बिगाड़ का कारण बन जाते थे और इनकी वजह से दुखद घटनाएँ घट जाती थी , लेकिन ये अपने आप में बड़े मूल्यवान गुण थे, जो थोड़ा सा सुधरने के बाद मानव-समाज के लिए बड़े ही उपयोगी बन सकते थे और यही काम इस्लाम ने अंजाम दिया । शायद इन गुणों में भी वायदों का पूरा करना , उसके बाद स्वाभिमान और जो कह देते वह कर बैठते सरीखे गुण सबसे मूल्यवान गुण थे ,क्योंकि महान शक्ति और दृढ संकल्प के बिना बिगाड़ और फसाद का अन्त और न्याय-व्यवस्था की स्थापना संभव नही। अज्ञानता-युग के लोगो के कुछ और भी अच्छे गुण थे लेकिन यहाँ सबका उल्लेख करना आवश्यक नही है
-----------------------
★In this regard, these ethics per se, though detrimental in some areas, and in need of rectification in certain aspects, were greatly invaluable to the ultimate welfare of the human community and Islam has did it completely. The most priceless ethics, next to covenant-keeping, were no doubt their sense of self-esteem and strong determination, two human traits indispensable in combatting evil and eliminating moral corruption on the one hand, and establishing a good and justice-orientated society, on the other. Actually, the life of the Arabs in the pre-Islamic period was rich in other countless virtues we do not need to enumerate for the time being.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa  Allah

Friday, 23 November 2018

Part 74 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 74 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------
★5) Hilm-o-Burdbaari aur Sanjeedgi: Yeh bhi ahl-e-jaahiliyyat ke nazdeek qaabil-e-sataaish khoobi thi, magar yeh un ki had se badhti hui shujaa'at aur jang ke liye hama waqt aamaadgi ki aadat ke sabab naadir-ul-wujood thi.
6) Badwi Saadgi: Yaani taraddun ki aalaaishon aur daau paich se naa-waaqiiat aur doori. Is ka nateeja yeh tha ke un mein sachhaai aur amaanat paai jaati thi. Weh fareb kari aur bad ahdi se door aur mutanaffir the. Ham samajhte hain ke jazeeratul Arab ko saari duniya se jo jughrafiyaai nisbat baasil thi uske alawa yehi wo qeemti akhlaaq the jin ki wajah se Insaan ki qiyaadat aur risaalat-e-aamma ka bojh uthane ke liye muntakhab kiya gaya tha.
-----------------------
★5 ) सहनशीलता और गम्भीरता - यह भी अज्ञानता युग के लोगो के नजदीक एक बड़ा गुण था , पर यह उनकी हद से बढ़ी हुई वीरता और लड़ाई के लिए हर वक़्त तैयार रहने की आदत की वज़ह से कम पाया जाता था
6) बदवी सादगी - यानी सभ्यता की गंदगियों और दांव-पेंच का न जानना और उनसे दूरी । इसका नतीजा यह था कि उनमें सच्चाई और अमानतदारी पायी जाती थी। धोखाधड़ी और वायदों के पूरा न करने से दूर रहते और इन चीजों से नफरत करते थे. हम समझते हैं कि अरब प्रायद्वीप को सारी दुनिया से जो भौगोलिक सम्बन्ध था , उसके अलावा यही वे मूल्यवान गुण थे , जिनकी वजह से अरबो को मानव जाति का नेतृव करने और आम लोगो के लिए रिसालत का बोझ उठाने के लिए चुना गया
-----------------------
★6) Forbearance, perseverance and mildness: The Arab regarded these traits with great admiration,
no wonder, his impetuosity and courage-based life was sadly wanting in them.
7) Pure and simple bedouin life, still untarnished with accessories of deceptive urban appearances,
was a driving reason to his nature of truthfulness and honesty, and detachment from intrigue and treachery.Such priceless ethics coupled with a favourable geographical position of Arabia were in fact the factors that lay behind selecting the Arabs to undertake the burden of communicating the Message (of Islam) and leading mankind down a new course of life.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah

Thursday, 22 November 2018

Part 73 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 73 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------
★3) Khuddaari wa Izzat-e-Nafs : Is par qaayam rahna aur zulm-O-jabar bardaasht na karna bhi jahiliyyat ke ma'roof akhlaaq mein se tha. Is ka nateeja yeh the ke un ki shujaat wa ghairat had se badhi hui tht Woh fauran bhadak utthte the aur zara-zara si baat par jis se zillat-o-ihaanat ki boo aati, shamsheer-o-sinaan utha lete aur nihaayat khoonrez jang chhed dete. Unhein is raah mein apni jaan ki qat'an parwa na rahti.
4) Azaaim ki takmeel : Ahl-e-Jaahiliyyat ki ek khusoosiyat yeh bhi thi ke jab we kisi kaam ko mujd wa iftikhaar ka zariya samajh kar anjaam dene par tul jaate to phir koi rukaawat unhein rok nahin sakli thi. We apni jaan par khel kar is kaam ko anjaam de daalte the.
-----------------------
★3) स्वाभिमान - स्वाभिमान पर स्थिर और ज़ुल्म और जब्र  सहन न करना भी अज्ञानता के जाने-पहचाने चरित्र में से था । इसका नतीजा ये था कि उनकी वीरता और स्वाभिमान सीमा से बढ़ा हुआ था । वे तुरन्त भड़क उठते थे और छोटी छोटी बात पर , जिस से अपमान की गंध आती,तलवारें खिंच लेते और बड़ी ही खूनी लड़ाई छेड़ देते । उन्हें इस राह में अपनी जान की कदापि परवाह न रहती
4) जो कह देते वो कर बैठते- अज्ञानियों की विशेषता यह थी कि जब वे किसी काम को अपनी बड़ाई का जरिया समझकर अंजाम देने पर तुल जाते , तो फिर कोई रुकावट उन्हें रोक ना सकती थी, वे अपनी जान पर खेल कर उस काम को अंजाम दे डालते थे
-----------------------
★Keeping a covenant: For the Arab, to make a promise was to run into debt. He would never grudge the death of his children or destruction of his household just to uphold the deep-rooted
tradition of covenant-keeping. The literature of that period is rich in stories highlighting this
merit.
Sense of honour and repudiation of injustice : This attribute stemmed mainly from excess courage, keen sense of self-esteem and impetuosity. The Arab was always in revolt against the least allusion to humiliation or slackness. He would never hesitate to sacrifice himself to maintain his ever alert sense of self-respect.
Firm will and determination: An Arab would never desist an avenue conducive to an object of pride or a standing of honour, even if it were at the expense of his life.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah

Tuesday, 13 November 2018

Part 72 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 72 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------
★Un ke karam hi ka nateeja tha ki we Juwaa khelte the. Un ka khayaal tha ke yell bhi sakhaawat ki ek raah hai, kiyuonke unhein jo nafa haasil hota, ya nafa haasil karne waalon ke hisse se jo kuchh faazil bacha rahta use miskeenon ko de dete the. Isi liye Qur'aan-e-Paak ne sharaab aur Juwe ke nafe ka inkaar nahin kiya balki yeh farmaayaa ki "In donon ka gunaah un ke nafe se badh kar hei. (Al~Quran : 2•219)
2) Wafaa-e-Ahad: Yeh bhi daur-e-jaahiliyyat ke akhlaaq-e-faazila mein se hei. Ahad ko un ke nazdeek deen ki haisiyyat haasil thi jise woh bahar haal chimte rahte the. Aur is raah mein apni aulaad ka khoon aur apne ghar-baar ki tabaahi bhi heech (kam) samajhte the. Use samajhne ke liye Haiti bin Mas’ud Sheibaani, Samwaal bin Aadya aur Haajib bin Zurarah ke waaqiaat kaafi hain.
-----------------------
★उनके दया भाव का ही नतीजा था कि वे जुवा खेलते थे । उनका विचार था की यह भी दानशीलता का एक रास्ता है , क्योंकि उन्हें जो लाभ मिलता या लाभ प्राप्त करने वाले के हिस्से से जो कुछ ज्यादा बचा रहता , उसे मिस्कीनों (दीन-दुखियों) को दे देते थे। इसलिये क़ुरान ने शराब और जुए के लाभ का इंकार नही किया , बल्कि यह फ़रमाया की-
"इन दोनों का गुनाह उनके लाभ से बढ़कर है"(अल~क़ुरान 2•219)
2) वचन का पालन - यह भी अज्ञानता-युग के उच्च चरित्र में से हैं । वचन को उनके नजदीक दीन (धर्म) की हैसियत हासिल थी , जिस से वे बहरहाल चिमटे रिहते थे और इस राह में अपनी औलाद का ख़ून और अपने घर-बार की तबाही को भी कुछ नही समझते थे । इसे समझने के लिए हानी बिन मसऊद शैबानी,समवाल बिन आदिया और हाजिब बिन जरारा की घटनाएं पर्याप्त है
-----------------------
★Gambling was also another practice of theirs closely associated withgenerosity since   proceeds would always go to charity. Even the Noble Qur’ân does not play down the benefits that derive from wine drinking and gambling, but also says, “And the sin of them is greater than their benefit.” [2:219]
-----------------------------------------------------------

Saturday, 3 November 2018

Part 71 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 71 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------
★ Jaahili asha'aar ke dawaaween par nazar daaliye to yeh madah-o-fakhar ka ek aham baab nazar aayega. Antarah bin Shadaad Absi apne mua'llaqa mein kehta hai: "Mein ne dopahar ki tezi rukne ke ba'd ek zard rang ke dhaari daar jaam billorin se jo baain jaanib rakhi hui taabnaak aur munh band khum ke saath tha. nishaan lagi huii saaf-shaffaaf sharaab pee. Aur jab mein pee letaa hoon to apna maal luta daalta hoon. Lekin meri aabru bhar-poor rahti hei, us par koi chot nahein aati. Aur jab mein hosh mein aataa hoon tab bhi sakhaawat mein kotaahi nahin karta aur mera akhlaaq-o-karam jaisa kuchh hei tumhein ma'loom hai.
-----------------------
★अज्ञानता युग की काव्य साहित्य पर नजर डालिये तो ये प्रशंसा और गर्व का एक महत्वपूर्ण अध्याय दिखाई पड़ेगा । अंतरा बिन शद्दाद अबसी अपने मुअल्लका में कहता है " मैने दोपहर की तेज़ी रुकने के बाद एक पीले रंग के धारीदार बिल्लोरी जाम से , जो बायीं ओर रखे हुए चमकदार और मुंहबन्द जग के साथ था , निशान लगी हुई पाक चमकदार शराब पी और जब मै पि लेता हु , तो अपना माल लूटा देता हूँ , लेकिन मेरी आबरू भरपूर रहती है ,उसपर कोई चोट नही आती । और जब मै होश में आता हूं , तब भी दानशीलता में कोताही नही करता और मेरा चरित्र व आचरण जैसा कुछ है, तुम्हे मालूम है ।"
-----------------------
★ 2) In the context of hospitality, there springs up their common habits of drinking wine which was regarded as a channel branching out of generosity and showing hospitality. Wine drinking was a genuine source of pride for the Arabs of the pre-Islamic period. The great poets of that era never forgot to include their suspending odes the most ornate lines pregnant with boasting and praise of drinking orgies. Even the word ‘grapes’ in Arabic is identical to generosity in both pronunciation and spelling.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah

Monday, 22 October 2018

Part 70 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 70 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------
★Akhlaaq: Yeh to apni jagah musallam hei hi ke ahl-e-jaahiliyyat mein khasees wa razeel aadatein aur wijdaan wa shau'oor aur aql-e-saleem ke khilaaf baatein paai jaati thein, lekin un mein aise pasandeeda akhlaaq-e-faazila bhi the jinhein dekh kar insaan dang aur shashdar rah jaataa hai. Masalan: (1) Karam wa Sakhaawat: Yeh ahl-e-jaahiliyyat ka aisa wasf tha jis mein woh ek dusre se aage nikal jaane ki koshish karte the aur is par is tarah fakhar karte the ke Arab ke aadhe asha'aar isi ki nazar ho gaye haye. Is wasf ki buniyaad par kisi ne khud apni ta'reef ki hei to kisi ne kisi aur ki. Haalat yeh thi ke sakht jaade aur bhook ke zamaane mein kisi ke ghar koi mahmaan aa jaataa aur us ke paas apni is ek oontni ke siwa kuchh na hota jo us ki aur us ke kunbe ki zindagi ka waahid zariya hoti to bhi - aisi sangeen haalat ke ba-wajoo us par sakhaawat ka josh ghaalib aa jaataa aur woh utth kar apne mehmaan ke liye apni oontni zibah kar deta. Un ke karam hi ka nateeja tha ke woh badi-badi deyat aur maali zimmedaarian uthaa lete aur is tarah insaanon ko barbaadi aur khoonrezi se bacha kar doosre rae'eeson aur sardaaron ke muqaabil fakhar karte the. Isi karam ka nateeja tha ke woh sharaab nooshi par fakhar karte the. Is liye nahein ke yeh bazaat-e-khud koi fakhar ki cheez thi balki is liye ke yeh karam-o-sakhaawat ko aasaan kar deti thi, kiyuonki nashe ki haalat mein maal lutaanaa insaani tabeea’t par giraan nahin guzarta. Is liye yeh log Angoor ke darakht ko Karam aur Angoor ki sharaab ko Binatul-Karam kehte the.
-----------------------
★चरित्र: यह तो अपनी जगह तै है कि अज्ञानता युग में घटिया और ओछी आदते और बुद्धि व विवेक के खिलाफ बाते पायी जाती थी , लेकिन उनमे ऐसे पसंदीदा उच्च आचरण भी थे , जिन्हें देख कर इंसान दंग रह जाता है , जैसे
1) दया-भाव और दानशीलता- यह अज्ञानियों की ऐसी विशेषता थी , जिसमें वे एक दुसरे से आगे निकल जाने की कोशिश करते थे और इस पर इस तरह गर्व करते थे की अरब का आधा काव्य साहित्य उसी की भेंट चढ़ गया है। इस गुण के आधार पर किसी ने खुद अपनी प्रशंसा की है , तो किसी ने किसी और की । हालत यह थी की कड़े जाड़े और भूख के जमाने में किसी के घर कोई मेहमान आ जाता और उसके पास अपनी उस एक ऊंटनी के अलावा कुछ ना होता जो उसकी और उसके परिवार का मात्र साधन होती,तो भी - ऐसी संगीन हालात के बावजूद उसपर दानशीलता छा जाती और उठकर अपने मेहमान के लिए अपनी ऊंटनी जिब्ह कर देता उनके दया भाव का ही नतीजा था कि वे बड़ी-बड़ी दियत और माली जिम्मेदारियां उठा लेते और इस तरह दूसरे रईसों और सरदारों के मुकाबले में इंसानो को बर्बादी और खून बहाने से बचाकर एक प्रकार के गर्व का अनुभव करते थे । इसी दया भाव का नतीजा था कि वे मदिरा पान (शराब) पर भी गर्व करते थे , इसलिए नही की यह अपने आप में कोई गर्व की बात थी , बल्कि इसलिए की यह दया-भाव और शालीनता को आसान कर देती थी क्युकी नशे की हालत में माल लुटाना मानव-स्वभाव पर बोझ नही होता । इसलिए ये लोग अंगूर के पेड़ को करम (दया) और अंगूर की शराब को बिन्तुल करम (दया की बेटी) कहते थे।
-----------------------
★ETHICS: We cannot deny that the pre-Islam Arabs had such a large bulk of evils. Admittedly, vices and evils, utterly rejected by reason, were rampant amongst the pre-Islam Arabs, but this could never screen off the surprise-provoking existence of highly praiseworthy virtues, of which we could adduce the following:
1. Hospitality: They used to emulate one another at hospitality and take utmost pride in it. Almost half of their poetry heritage was dedicated to the merits and nobility attached to entertaining one’s guest. They were generous and hospitable on the point of fault. They would sacrifice their private sustenance to a cold or hungry guest. They would not hesitate to incur heavy blood-money and relevant burdens just to stop blood-shed, and consequently merit praise and eulogy.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah

Part 69 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 69 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------
★Jahaan tak sana'ton ka mua'amla hei to Arab is maidaan mein saari duniya se pichhe the. Kapde ki bunaai aur chamde ki dibaaghat waghairah ki shakl mein jo chand sana'tein paai bhi jaati thein woh ziyaadah tar Yemen, Heerah aur Sham ke muttasil elaaqon mein thein. Albatta androon-e-Arab kheti-baadi aur galla baani ka kisi qadar riwaaj tha. Saari Arab auratein soot kaatti thein, lekin mushkil yeh thi ke saaraa maal wa mataa' hameshaa ladaaion ki zad mein rahta tha. Faqar wa bhook ki wabaa aam thi aur log zaroori kapdon aur libaas se bhi badi had tak mehroom rahte the.
-----------------------
★जहाँ तक उद्योगों का मामला है तो अरब इस मैदान में सारी दुनिया से पीछे थे । कपड़े की बुनाई और चमड़े की सफाई आदि की शक्ल में जो कुछ उद्योग पाये भी जाते थे , वे अधिकतर यमन , हियरा और शाम से मिले हुए क्षेत्रों में थे अलबत्ता अरब के भीतरी भागो में खेती-बाड़ी और जानवरों के चराने का कुछ रिवाज था । सारी अरब औरते सूत कातती थी , लेकिन मुश्किल यह थी की सारा माल व मता हमेशा लड़ाइयों के निशाने पर रहता  था । भुखमरी आम थी और लोग जरूरी कपडो और पहनावों  से भी बड़ी हद तक महरूम रहते थे
-----------------------
★Industry was alien to the Arabian psychology. Most of available industries of knitting and tannage in Arabia were done by people coming from Yemen, Heerah and the borders of Syria. Inside Arabia there was some sort of farming and stock-breeding. Almost all the Arabian women worked in yarn spinning but even this practice was continually threatened by wars. On the whole, poverty, hunger and insufficient clothing were the prevailing features in Arabia, economically.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah

Sunday, 14 October 2018

Part 68 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 68 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Iqtisaadi Haalat: Iqtisaadi haalat, Ijtimaai' haalat ke taabe thi. Is ka andaaza Arab ke zaraae' mua'ash par nazar daalne se ho sakta hei ke tijaarat hi un ke nazdeek zarooriyat-e-zindagi haasil kare ka sabse aham zariya thi. Aur ma'loom hei ke tijaarati aamad-o-raft aman-o-salaamati ki t'azaa ke baghair aasaan nahin aur jazeeratul-Arab ka haal yeh tha ke siwaa-e-hurmat waale maheenon ke aman-o-salaamati ka kahein wujood na tha. Yehi wajah hei ke sirf haraam maheenon hi mein Arab ke mashhoor baazaar Ukaz, Zhil-Majaz, aur Majinnah waghairah lagte the.
-----------------------
★आर्थिक स्तिथि : आर्थिक स्थिति , सामाजिक स्थिति के अधीन थी । इसका अंदाजा अरब के आर्थिक साधनों पर नजर डालने से हो सकता है कि व्यापार ही उनके नजदीक जीवन की आवश्यकताओ को पूरा करने का सबसे महत्वपूर्ण साधन था और मालुम है कि व्यापार के लिए आना-जाना देश में शान्ति के बिना संभव नही और अरब प्रायद्वीप का हाल ये था कि हराम महीनों के अलावा शान्ति का कही वुजूद ना था । यही वजह है कि सिर्फ हराम महीनों ही में अरब के मशहूर बाज़ार उकाज, ज़िल मजाज और मजिन्ना वगैरह लगते थे
-----------------------
★THE ECONOMIC SITUATION: The economic situation ran in line with the social atmosphere. The Arabian ways of living would illustrate this phenomenon quite clearly. Trade was the most common means of providing their needs of life. The trade journeys could not be fulfilled unless security of caravan routes and inter-tribal peaceful co-existence were provided – two imperative exigencies unfortunately lacking in Arabia except during the prohibited months within which the Arabs held their assemblies of ‘Ukaz, Dhil-Majaz, Mijannah and others.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah

Wednesday, 3 October 2018

Part 67 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 67 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------
★Jahaan tak mukhtalif qabaail ke ek-doosre se ta'lluqaat ka mua'amla hei to yeh poori tarah shikasta wa rekhta the. Qabaail ki saari quwwat ek-doosre ke khilaf jang mein fanaa ho rahi thi, albatta deen aur khuraafaat ke aameze se tayyar shudah ba'z rusoom-o-aadaat ki badaulat basaa auqaat jang ki hiddat wa shiddat mein kami aa jaati thi aur ba'z haalaat mein muwaalaat. halaf aur tabedaari ke usoolon par mukhtalif qabaail yakja ho jaate the. Elaawah azein haraam maheene un ki zindagi aur husool-e-mua'ash ke liye saraapaa rahmat wa madad the. Khulaasa yeh ke ijtimaai haalat zua'f wa be-baseerati ki pasti mein giri hui thi. jahal apni tanaabein taane hue tha aur khuraafaat ka daur-daurah tha. Log jaanwaron jaisi zindagi guzaar rahe the. Aurat bechi aur khareedi jaati thi aur ba'z auqaat us se mitti aur patthar jaisa sulook kiya jaataa tha. Qaum ke baahami ta'lluqaat kamzor balki toote hue the aur hukoomaton ke saare azaaim apni ria’ayaa se khazaane bharne ya mukhaalifeen par fauj kashi karne tak mahdood the.
-----------------------
★जहाँ तक विभिन्न क़बीलों के एक दूसरे से ताल्लुक़ात का मामला है तो ये पूरी तरह खंडित थे , क़बीलों की सारी ताक़त एक दुसरे के खिलाफ लड़ने में खत्म हो रही थी , अलबत्ता दीन और अंधविश्वास की मिलावट से तैयार हुए कुछ रस्म व रिवाज और आदतों की वजह से कभी कभी लड़ाई की गर्मी और तेजी में कमी आ जाती थी और कुछ हालात में समझौते और ताबेदारी के नियमो पर विभिन्न क़बीले इकठ्टे हो जाते थे । इनके अलावा हराम महीने उनके जीवन के लिए और रोज़ी रोटी हासिल करने में पुरी तरह सहायक थे क्योंकि अरब उनके सम्माननिय होने पर बहुत ध्यान देते थे । सार यह है कि सामुहिक दशा कमजोरी और बेसुझ-बुझ के गढ़े में गिरी हुई थी , अज्ञान अपनी कमाने ताने हुए था और अंध्विश्वास का दौर-दौरा था । लोग जानवरो जैसी जिंदगी गुजार रहे थे । औरत बेचीं और खरीदी जाती थी और कभी कभी उस से मिट्टी और पत्थर जैसा व्यवहार किया जाता था । क़ौम के आपसी ताल्लुक़ात कमजोर , बल्कि टूटे हुए थे और राज्यो की सारी गतिविधियां अपनी जनता से खजाने भरने या विरोधियो पर हमला कर देने तक सीमित थी
-----------------------
★Inter-tribal relationships were fragile and weak due to continual inter-tribal wars of attrition. Deep
devotion to religious superstitions and some customs held in veneration, however, used to curb their impetuous tendency to quench their thirst for blood. In other cases, there were the motives of, and respect for, alliance, loyalty and dependency which could successfully bring about a spirit of rapport, and abort groundless bases of dispute. A time-honoured custom of suspending hostilities during the prohibited months (Muharram, Rajab, Dhul-Qa‘dah, and Dhul-Hijjah) functioned favourably and provided an opportunity for them to earn their living and coexist in peace. We may sum up the social situation in Arabia by saying that the Arabs of the pre-Islamic period were groping about in the dark and ignorance, entangled in a mesh of superstitions paralyzing their mind and driving them to lead an animal-like life. The woman was a marketable commodity and regarded as a piece of inanimate property. Inter-tribal relationships were fragile. Avarice for wealth and involvement
in futile wars were the main objectives that governed their chiefs’ self-centred policies.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah

Wednesday, 26 September 2018

Part 66 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 66 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------
★Jahaan tak sage bhaaion chachere bhaaion, aur kunbe-qabeele ke logon ke baahami ta'lluqaat ka mua'amla hei to yeh khaasse pukhta aur mazboot the, kiyuon ke Arab ke log qabaaili asbiyyat hi ke sahaare jeete aur usi ke liye marte the. Qabeele ke andar baahami ta'aawun aur ijtimaaiyyat ki rooh poori tarah kaar farma hoti thi. Jise asbiyyat kaa jazba mazeed do aatsha rakhta tha. Dar haqeeqat qaumi asbiyyat aur qaraabat ka ta'lluq hi un ke ijtimaai nizaam ki buniyaad thaa. Woh log is masal par is ke lafzi ma'na ke mutaabiq amal pairaa the ke (apne bhaai ki madad karo khuwah zaalim ho yaa mazloom) is masal ke ma’na mein abhi woh islaah nahin hui thi jo ba’d mein Islam ke zariye ki gai. Yaani zaalim ki madad yeh hei ke use zulm se baaz rakha jae. Albatta sharaf-o-sardaari mein ek doosre se aage nikal jaane ka jazba bahut si daf'a ek hi shakhs se wujood mein aane wale qabaail ke darmiyan jang ka sabab ban jaayaa kartaa thaa jaisaa ke Aws wa Khazraj , Abs wa Zubyaan aur Bakr wa taghlib waghairah ke waaqiaat mein dekha jaa sakta hai.
-----------------------
★जहाँ तक सगे भाइयो , चचेरे भाइयो और कुंबे-क़बीले के लोगो के आपसी ताल्लुक़ात का मामला है , तो ये अच्छे भले पक्के और मजबूत थे , क्योंकि अरब के लोग कबिलेवार पक्षपात ही के सहारे जीते और उसी के लिए मरते थे । क़बीले के भीतर आपसी सहयोग और सामूहिकता की भावना पूरी तरह काम कर रही होती थी , जिसे पक्षपाती भावना और अधिक जगाये रखती थी । सच तो यह है कि क़ौमी लगाव और रिश्ते-नाते का ताल्लुक ही उनकी सामूहिक व्यवस्था की बुनियाद थी । वे लोग इस कहावत के शब्दों पर पूरी तरह अमल कर रहे थे की ' अपने भाई की मदद करो , चाहे वह ज़ालिम हो या मज़लूम ' इस कहावत के अर्थ  में अभी वह सुधार नही हुआ था , जो बाद में इस्लाम द्वारा किया गया अर्थात ज़ालिम की मदद यह है कि उसे ज़ुल्म से रोका जाए , अलबत्ता बुजुर्गी और सरदारी में एक दूसरे से आगे निकल जाने की  भावना बहुत बार एक ही व्यक्ति से वजूद में आने वाले क़बीलों के बीच लड़ाई का वज़ह बन जाया करती थी , जैसा की औस व खजरज, अबस व जुबयान और बिक्र और तगलब आदि की घटनाओं में देखा जा सकता है
-----------------------
★Another aspect of the Arabs’ life which deserves mention is the bedouin’s deep-seated emotional attachment to his clan. Family, or perhaps tribal-pride, was one of the strongest passions with him. The doctrine of unity of blood as the principle that bound the Arabs into a social unity was formed
and supported by tribal-pride. Their undisputed motto was: “مظلوما أو ظالما أخاك انصر — Support your brother whether he is an oppressor or oppressed” in its literal meaning; they disregarded the Islamic amendment which states that supporting an oppressor brother implies deterring him from transgression. Avarice for leadership, and keen sense of emulation often resulted in bitter tribal warfare despite descendency from one common ancestor. In this regard, the continued bloody conflicts of Aws and Khazraj, ‘Abs and Dhubyan, Bakr and Taghlib, etc. are striking examples.
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah