Search This Blog

Showing posts with label Ahkam (Judgments). Show all posts
Showing posts with label Ahkam (Judgments). Show all posts

Saturday, 28 March 2020

Jinko Allah subhanahu ne apni risalat aur apne kalam se nawaza

Bismillahhirrahmanirrahim

Jinko Allah subhanahu ne apni risalat aur apne kalam se nawaza 
-------------

✦Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sal-alalahu alaihi wasallam ne farmaya hazrat musa aur hazrat adam alaihi salam ne aapa mein bahas ki hazrat musa alaihi salam ne unse kaha ki aap wahi adam hain jinko unki  lagjish (khata) ki wajah se jannat se bahar bheja gaya. Hazrat Adam alaihi salam ne kaha ki aap wahi musa alaihi salam hai na jinko Allah subhanahu ne apni risalat aur apne kalam se nawaza phir bhi aap mujhe ek aise muaamle par malamat karte hain jo Allah subhanahu ne meri paidayeesh se bhi pahle muqaddar kar diya tha  Rasool-Allah sal-alalahu alaihi wasallam ne do baar ye farmaya ki "is tarah hazrat Adam aalihi salam , hazrat musa alaihi salam par galib aa gaye."
Sahih Bukhari,Hadith-3409
-----------------------

✦हजरत अबु हुरैरा रदि अल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूल अल्लाह सल-अल्लाहु अलैहि वसलम ने फरमाया हजरत मूसा और हजरत आदम अलैहि सलाम ने आपस में बहस की, हजरत मूसा अलैहि सलाम ने उनसे कहा कि आप वही आदम है जिनको उनकी लग्जिश (खता) की वजह से जन्नत से बाहर भेजा गया . हजरत आदम अलैहि सलाम ने कहा कि आप वही मूसा अलैहि सलाम हैं ना जिनको अल्लाह सुब्हानहु ने अपनी रिसालत और अपने कलम से नवाजा फिर फिर भी आप मुझे एक ऐसे मामले पर मलामत करते हैं , जो अल्लाह सुब्हानहु ने मेरी पैदाइश से भी पहले मुकर्रर कर दिया था , रसूल अल्लाह सल-अल्लाहु अलैहि वसलम ने दो बार ये फ़रमाया की इस तरह हजरत आदम अलैहि सलाम हजरत मूसा अलैहि सलाम पर ग़ालिब आ गए
सही बुखारी,हदिस-3409
-----------------------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”موسیٰ اور آدم علیہم السلام نے آپس میں بحث کی۔ موسیٰ علیہ السلام نے ان سے کہا کہ آپ آدم ہیں جنہیں ان کی لغزش نے جنت سے نکالا۔ آدم علیہ السلام بولے اور آپ موسیٰ علیہ السلام ہیں کہ جنہیں اللہ تعالیٰ نے اپنی رسالت اور اپنے کلام سے نوازا ‘ پھر بھی آپ مجھے ایک ایسے معاملے پر ملامت کرتے ہیں جو اللہ تعالیٰ نے میری پیدائش سے بھی پہلے مقدر کر دیا۔“ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”چنانچہ آدم علیہ السلام، موسیٰ علیہ السلام پر غالب آ گئے۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے یہ جملہ دو مرتبہ فرمایا۔ 
صحيح بخارى،حديث-٣٤٠٩
-----------------------

✦Narrated Abu Huraira Radi allahu anhu Allah's Messenger (ﷺ) said, "Adam alaihi salam and Musa alaihi salam  argued with each other. Musa alaihi salam  said to Adam alaihi salam . 'You are Adam whose mistake expelled you from Paradise.' Adam alaihi salam  said to him, 'You are Musa  whom Allah selected as His Messenger and as the one to whom He spoke directly; yet you blame me for a thing which had already been written in my fate before my creation?"' Allah's Messenger (ﷺ) said twice, "So, Adam alaihi salam  overpowered Musa alaihi salam ."
Sahih Bukhari,Book-55,Hadith-621

Monday, 3 April 2017

Aur usi haalat me mar gaya to Allah us par jannat haram kar deta hai

Bismillahhirrahmanirrahim
Aur usi haalat me mar gaya to Allah us par jannat haram kar deta hai
-----------------------
✦Maqil Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar koi shaksh musalmano ka hakim banaya gaya aur usney unkey muaamley mein khayanat ki aur usi haalat mein mar gaya to Allah taala us par jannat haram kar deta hai.
Sahih Bukhari,Jild-7151
-----------------------
✦माकील रदि अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सल-अल्लाहु अलैही वसलम ने फ़रमाया अगर कोइ सख्स मुसलमानो का हाकिम बनाया गया और उसने उनके मामले में खयानत की और उसी हालत में मर गया तो अल्लाह ताला उसपर जन्नत हराम कर देता है
सही बुखारी,जिल्द-7,7151
-----------------------
معقل رضی اللہ عنہ نے کہا کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا تھا۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ اگر کوئی شخص مسلمانوں کا حاکم بنایا گیا اور اس نے ان کے معاملہ میں خیانت کی اور اسی حالت میں مر گیا تو اللہ تعالیٰ اس پر جنت کو حرام کر دیتا ہے۔
سحى بخارى، جلد-7، 7151
-----------------------
✦Narrated Ma'qil Radi Allahu Anhu that Allah's Apostle said, "If any ruler having the authority to rule Muslim subjects dies while he is deceiving them, Allah will forbid Paradise for him."
Sahih Bukhari,Vol-9,Book-89,265
------------------------------
Islamic Quiz-208
⏰ Daily Islamic Quiz ⏰
Maqil Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar koi shaksh musalmano ka hakim banaya gaya aur usney unkey muaamley mein khayanat ki aur (-----------) to Allah taala us par jannat haram kar deta hai.
A) Khayant se Baaj aa gaya
B)  Khayant karta hi rah gya
C) Usi haalat mein mar gaya
D) Upar ke sab sahi hai.
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------
C is the correct answer

Corrupt Haakim ( Ruler) jannat ki khushbu bhi nahi payega

Bismillahhirrahmanirrahim
Corrupt Haakim ( Ruler) jannat ki khushbu bhi nahi payega
-----------------------
✦Maqil Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Allah kisi bandey ko kisi jagah ke logon ka haakim(ruler)  banata hai aur wo Imandari ke saath uski hifazat nahi karta to wo jannat ki khushbu bhi nahi payega.
Sahih Bukhari,Jild-8,7150
-----------------------
✦माकील रदि अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सल-अल्लाहु अलैही वसलम ने फरमाया जब अल्लाह किसी बन्दे को किसी जगह के लोगो का हाकिम बनाता है औऱ वो ईमानदारी के साथ उसकी हिफाज़त नही करता तो वो जन्नत की खुश्बू भी नही पायेगा
सही बुखारी, जिल्द-8,7150
-----------------------
معقل بن یسار رضی اللہ عنہ نے کہا کہ میں تمہیں ایک حدیث سناتا ہوں جو میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنی تھی۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا تھا ”جب اللہ تعالیٰ کسی بندہ کو کسی رعیت کا حاکم بناتا ہے اور وہ خیر خواہی کے ساتھ اس کی حفاظت نہیں کرتا تو وہ جنت کی خوشبو بھی نہیں پائے گا۔“
سحى بخارى،جلد،د-8-7150
-----------------------
✦Narrated Ma'qil Radiallahu anhu I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "Any man whom Allah has given the authority of ruling some people and he does not look after them in an honest manner, will never feel even the smell of Paradise."
Sahih Bukhari,Vol-9,Book-89,264
------------------------------
Islamic Quiz-207
⏰ Daily Islamic Quiz ⏰
Maqil Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Allah Kisi bandey ko kisi jagah ke logon ka haakim(ruler)  banata hai aur wo Imandari ke saath uski hifazat nahi karta to ?
A) Uskey 70 darjaat kam ho jaayengey
B) Wo jannat ki khushbu bhi nahi payega.
C) Wo majmueat qasia(cruel groups) me se hoga
D) Upar ke sab Sahi hai
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------
B is the correct answer