Bismillahhirrahmanirrahim
Eh Isa Maryam ke bete kya tune logon se kaha tha ki ALLAH ke siwa mujhe mabud(khuda) bana lo
-----------------------
-----------------------
✦Aur (Qayamat ke din) Jab ALLAH farmayega Eh Isa Maryam ke bete kya tune logon se kaha tha ki ALLAH ke siwa mujhe aur meri Maa ko bhi mabud ( khuda) bana lo Wo kahenge ki tu paak hai mujhe layaq nahi aisee baat kahna jiska mujhe haq nahi, agar maine ye kaha hoga to tujhe zaroor malum hoga , jo mere Dil mein hai tu janta hai aur jo tere Dil mein hai wo main nahi janta beshak tu hi Gaib ki baaton ko janne wala hai.Maine to unko uske siwa kuch nahi kaha jiska tune mujhe hukm diya tha ki ALLAH ki bandagi karo jo mera aur tumhara RAB hai aur jab tak main unmein raha Unki khabar rakhta raha aur jab tune mujhe duniya se utha liya to tu hi unka nigran (khabar rakhne wala) tha aur tu har cheez se khabardar hai.Agar tu unhe Azab de to wo tere hi bande hain aur agar tu unhe maaf kar de to beshak tu hi ghalib aur hikmat wala hai.
Al Quran,Surah Al Maida(5),116-118
-----------------------
Al Quran,Surah Al Maida(5),116-118
-----------------------
✦और (क़यामत के दिन) जब अल्लाह फरमाएगा एह ईसा मरयम के बेटे क्या तूने लोगों से कहा था की अल्लाह के सिवा मुझे और मेरी माँ को भी माबूद (रब्) बना लो वो कहेंगे की तू पाक है मुझे लायक़ नही ऐसी बात कहना जिसका मुझे हक़ नही, अगर मैने ये कहा होगा तो तुझे ज़रूर मालूम होगा , जो मेरे दिल में है तू जानता है और जो तेरे दिल में है वो मैं नही जानता बेशक तू ही गैब की बातों को जानने वाला है. मैने तो उनको उसके सिवा कुछ नही कहा जिसका तूने मुझे हुक्म दिया था की अल्लाह की बंदगी करो जो मेरा और तुम्हारा रब है और जब तक मैं उनमें रहा उनकी खबर रखता रहा और जब तूने मुझे दुनिया से उठा लिया तो तू ही उनका निगरान(खबर रखने वाला) था और तू हर चीज़ से खबरदार है.अगर तू उन्हे अज़ाब दे तो वो तेरे ही बंदे हैं और अगर तू उन्हे माफ़ कर दे तो बेशक तू ही ग़ालिब और हिकमत वाला है
अल क़ुरान,सुराह अल मायदा(5),116-118
-----------------------
अल क़ुरान,सुराह अल मायदा(5),116-118
-----------------------
اور جب اﷲ فرمائے گا اے عیسٰی ابن مریم! کیا تم نے لوگوں سے کہا تھا کہ تم مجھ کو اور میری ماں کو اﷲ کے سوا دو معبود بنا لو،وہ عرض کریں گے تو پاک ہے، میرے لئے یہ (روا) نہیں کہ میں ایسی بات کہوں جس کا مجھے کوئی حق نہیں۔اگر میں نے یہ بات کہی ہوتی تو یقیناً تو اسے جانتا، تو ہر اس (بات) کو جانتا ہے جو میرے دل میں ہے اور میں ان (باتوں) کو نہیں جانتا جو تیرے علم میں ہیں۔ بیشک تو ہی غیب کی سبباتوں کو خوب جاننے والا ہے میں نے انہیں سوائے اس (بات) کے کچھ نہیں کہا تھا جس کا تو نے مجھے حکم دیا تھا کہ تم (صرف) اﷲ کی عبادت کیا کرو جو میرا (بھی) رب ہے اور تمہارا(بھی) رب ہے، اور میں ان (کے عقائد و اعمال) پر (اس وقت تک) خبردار رہا جب تک میں ان لوگوں میں موجود رہا، پھر جب تو نے مجھے اٹھا لیا تو تو ہی ان (کے حالات) پر نگہبان تھا، اور توہر چیز پر گواہ ہےاگر تو انہیں عذاب دے تو وہ تیرے (ہی) بندے ہیں اور اگر تو انہیں بخش دے تو بیشک تو ہی بڑا غالب حکمت والا ہے
سورة المائدة(5)ايت-116-118
-----------------------
سورة المائدة(5)ايت-116-118
-----------------------
✦And when ALLAH will say (on the Day of Resurrection) O Isa (Jesus), son of Maryam (Mary)! Did you say unto men: Worship me and my mother as two gods besides ALLAH?He will say: Glory be to You! It was not for me to say what I had no right (to say). Had I said such a thing, You would surely have known it. You know what is in my inner-self though I do not know what is in Yours; truly, You, only You, are the All-Knower of all that is hidden (and unseen).Never did I say to them aught except what You (ALLAH) did command me to say: Worship ALLAH, my Lord and your Lord.' And I was a witness over them while I dwelt amongst them, but when You took me up, You were the Watcher over them; and You are a Witness to all things. (This is a great admonition and warning to the Christians of the whole world).If You punish them, they are Your slaves, and if You forgive them, verily You, only You, are the All-Mighty, the All-Wise .
Al Quran,Surah Al-Maeda(5),116-118
------------------------------
Al Quran,Surah Al-Maeda(5),116-118
------------------------------
Islamic Quiz-205
⏰ Daily Islamic Quiz ⏰
Inmey se kaun si aayat surah maaida se li gyi hai ?
A) Aakhir kiya waja hai kay tum aisay janwar mein say na khao jiss per Allah ka naam liya gaya ho halankay Allah ney unn sab janwaron ki tafseel bata di hai jin ko tum per haram kiya hai
B) Aur woh jo saahir thay sajday mein gir gaye.Kehney lagay hum eman laye rabbul aalameen per.Jo musa aur haroon ka bhi rab hai.
C) Aur (Qayamat ke din) Jab ALLAH farmayega Eh Isa Maryam ke bete kya tune logon se kaha tha ki ALLAH ke siwa mujhe aur meri Maa ko bhi mabud ( khuda) bana lo Wo kahenge ki tu paak hai mujhe layaq nahi aisee baat kahna jiska mujhe haq nahi,
D) Aey nabi apney haath talay kay qaidiyon say keh do kay agar Allah Taalaa tumharay dilon mein nek niyati dekhay ga to jo kuch tum say liya gaya hai uss say behtar tumhen dey ga aur phir gunah bhi moaf farmaye ga aur Allah bakhshney wala meharban hai hi.
E) ~Inmey se koi nahi~
F) Sahi Jawab ka intejar hai
-----------------------------
-----------------------------
C is the correct answer
No comments:
Post a Comment