Search This Blog

Sunday 29 October 2017

Part 10 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam*

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 10 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★ALLAH Ta'ala ne Muzaaz ki saahab zaadi se Ismail Alaihi Salam ko baarah beta ataa farmaae (•9) jin ke naam ye hai : Nabet ya Nabaayut, Qidar, Edbael, Mebsham, Mishma, Duma, Micha, Hudud, Yetma, Yetour, Nafis, Qidman.
In Baarah(12) beto se baarah qabeele wujood mein aayein aur sab ne Makka hi mein bood-o-baash ikhtiyaar ki. Un ki ma'eeshat ka daaromdaar ziyaada tar Yemen aur Misr wo Shaam ki tijaarat par tha. Ba'd mein yeh qabaail Jazeeratul Arab ke Mukhtalif atraaf mein, balki bairoon-e-Arab bhi, phail gaye aur unke haalat, zamaane ki dabeez taarikion mein dab kar rah gaye. Sirf Nabet aur Qidar ki aulaad is gumnaami se mustasnaa hai.
★Nabetion ke tamaddun ko Shumaali hijaaz mein faraogh aur urooj haasil hua. Unhon ne ek taaqatqar hukoomat qaayam karke gird-o-pesh ke logon ko apna baajguzaar bana liyaa. Batra un ka daarul-hukoomat thaa. Kisi ko unke muqaable ki taab na thi. Phir Roomion ka daur aaya aur unhon ne Nabetion ka qissa-e-paarina bana diya. Maulana Syed Sulaiman Nadwi(r.a.) ne ek dilchasp behas aur gehri tehqeeq ke ba'd saabit kiya hai ki Aal-e-Ghassan aur Ansaar yani Aws-o-Khazraj Qahtaani Arab na the. Balki is ilaaqe mein Nabet bin Ismail Alaihi Salam ki jo nasal bachi-khuchi rah gai thi wahi the.(•10)
-----------------------------------------------------------

•9 : Qalb-e-Jazeerat-ul-Arab
•10 : Dekhye Tareekh Arz-ul-Qur'aan- 2/76-78
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment