Search This Blog

Sunday 15 October 2017

Part 5 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 5 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
2) Lakhm aur Juzaam: Inhi Lakhmiyo me Nasar bin Rabia tha jo Heera ka Shaahaan-e-aal Munzir ka jadd-e-a'ala hai.
3) Banu Tai: Is qabeele ne Banu Azd ke tark-e-watan ke baad Shumaal ka rukh kiya aur Aja aur Salma naami do pahadion ke atraaf me mustaqil taur par sukoonat pazeer ho gaya. Yahan tak ki ye dono pahadian Qabeela-e-Tai ki nisbat se mashhoor ho gaye.
★4) Kindah: Ye log pahle Behrain , maujoodah Al-Ahsaa me khema zan hue lekin mazbooran waha se dastkash hokar Hazr-e-Maut gaye magar waha bhi aman na mili aur aakhirkar Najd me dere dalne padey. Yaha unlogo ne ek azeemusshaan hukoomat ki daagh bail dali magar ye hukoomat paaidaar na sabit hue aur iske asar jald hi naapaaid ho gaye.
Kahlaan ke elaavah himyar ka bhi sirf ek qabeela Quzaa'h aisa hai aur uska Himyari hona bhi mukhtalif feeh hai. Jisne Yemen se tark-e-watan karke hudood-e-Iraq me baadyatus-Samaawah ke andar bood-o-bash ikhtiyar ki.
-----------------------------------------------------------

Note-1: In Qabaail ki aur inke tark-e-watan ki tafseelat ke liye mulaahza ho. Muhaazaraat-e-tareekh-ul-umam-ul-Islaamia lil khazan 1/11/-13, qalb-e-Jazeera-tul-Arab, Safha 231-235. Tark-e-watan ke in waaqiaat ke zamaana aur asbaab ke ta'iyyun mein tareekhi maakhaz ke darmiyaan bada sakht ikhtilaaf hai. Hum ney mukhtalif pahluon par ghaur kar ke jo baat raajeh mahsoos ki use darj kar diya hai.

No comments:

Post a Comment