Search This Blog

Sunday 15 October 2017

Part 6 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 6 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
Arab Musta'raba:  Unke jadde aala Syedna Ibrahim Alaihi Salam asaan Iraq ke ek sheher Oour ke bashende the. Yeh Sheher darya-e-Furat ke magribi sahil par kofe ke qarib waqia tha. Iski khudai ke dauraan jo khudbaat baraamad hue hai in se is sheher ke mutaaliq bahut si tafsilaat manzar-e-aam par aati hai aur Hazrat Ibrahim Alaihi Salam ke khandaan ki baaz tafsilaat aur bashindegaan-e-mulk ke deeni aur ijtimaai halaat se bhi pardah hai.
★Ye malum hai ki Hazrat Ibrahim Alaihi Salam yahaan se hijrat kar ke sheher-e-Harran tashreef  le gae the aur phir wahaan se Palestine jaa kar isi mulk ko apni peighambaraana sargarmion ka markaz banaa liya tha aur dawat-o-tableegh ke liye yahin se androon-o-beiroon-e-mulk masroof-e-tag-taaz raha karte the. Ek baar aap Misr tashreef le gaye . Firaon ne aap Ki beewi Hazrat Saarh ki kaifiyat suni to unke bare me bad niyat ho gaya aur apne darbar me bure iraade se bulaaya. Lekin ALLAH ne Hazrat Saarah ki Dua ke nateeje mein ghaibi taur par Firaon ki aisi giraft ki ke wo haath-paaon maarne aur phainkne lagaa. Us kj niyat-e-bad uske munh par maar di gai aur wo haadse ki naoiyat se samajh gayaa ki Hazrat Saraah ALLAH Ta'ala ki nihayat khaas aur muqarrab bandi hai aur wo Hazrat Saarah ki is khusoosiyat se is qadar mutassir hua ki apni beti Hazrat Haajirah ko unki khidmat mein de diya. Phir Hazrat Saarah ne Hazrat Haajirah ko Hazrat Ibrahim Alaihi Salam ki Zaojiyat mein de diya.
-----------------------------------------------------------
Note-2:  Mashoor hai ki Hazrat Haajira laundi thin, lekin Allama Mansoorpuri ne mufassal tahqeeq kar ke ye baat saabit kiya hai ki wo laundi nahin, balki aazad thi aur Firaon ki beti thi. Dekhiye Rahmat-ul-Aalameen 2/36-37.
Note-3: Rahmat-ul-Aalameen 2/34 waaqie ki tafseel ke liye mulaahaza ho Saheeh Bukhaari 1/484
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment