Search This Blog

Sunday, 22 October 2017

Part 7 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 7 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Hazrat Ibrahim Alaihi Salam Hazrat Saarah aur Hazrat Haajirah ko hamraah le kar Palestine waapas tashreef le aaye. phir ALLAH Ta'ala ne Hazrat Ibrahim Alaihi Salam ko Hazrat Haajirah ke batan se ek farzandar beta Hazrat Ismail Alaihi Salam ataa farmaaya. Lekin is par Hazrat Saarah ko jo be aulaad thi badi ghairat aayi aur unhone hazrat Ibrahim Alaihi Salam ko majboor kiya ki Hazrat Haajirah ko un ke naozaaida bachhe samet jila watan kar de. Halaat ne aisa rukh ikhtiyaar kiya ki unhein Hazrat Saarah ki baat maanni padi aur wo Hazrat Haajirah aur Hazrat Ismail Alaihi Salam ko hamraah le kar hijaaz tashreef le gae aur wahaan ek be aab-o-giyaah waadi me Baitullah Shareef ke qareeb thehra diya. Us waqt Baitullah Shareef na tha. Sirf teele ki tarah ubhri hue zameen thi. Selaab aata tha to daaye baaye se katra kar nikal jaata tha.
★Wahin Masjid-e-Haraam ke baalaai hisse mein Zamzam ke paas ek bahut bada darakht tha. Aapny usi darakht ke paas Hazrat Haajirah aur Hazrat Ismail Alaihi Salam ko chodha tha. Us waqt Makka mein na Paani tha na aadam aur na aadam zaad. Isliye Hazrat Ibrahim Alaihi Salam ne ek toshadaan me khajoor aur ek Mashkeeze mein paani rakh diya. Us ke baad Palestine waaps chale gaye. Lekin chand hi din mein khajoor aur paani khatm ho gaya aur sakht mushkil pesh aayi. Magar isi mushkil waqt par ALLAH ke fazal se Zamzam ka chasma phoot pada aur ek arsa tak ke liye saamaan-e-rizq aur mataa-e-heyaat ban ban gaya.Tafseelat ma'loom-o-ma'roof hai.
-----------------------------------------------------------
Note-4: Mulaahaza ho Saheeh Bukhari , Kitabul-Ambiya 1/474, 475.
To be continued....... In sha Allah

-----------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment