Search This Blog

Thursday 26 October 2017

Part 9 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 9 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Is Waaqiye se saabit hota hai ki Hazrat Ismail Alaihi Salam ke Jawan hone se pahle kam-az-kam ek baar hazrat Ibrahim Alaihi Salam ne Makka ka safar zarur kiya tha , baqiya teen safaron ki tafseel Saheeh Bukhari ki ek Taweel Rivayat me hai jo Ibn e Abbas Radhi Allah Anhu se marfooa'n Marvi hai•(7). Uska Khulaasa Yeh hai !
2) : Hazrat Ismail Alaihi Salam jab Jawaan ho gaye jurhum se Arabi seekh li aur unki nigaahon me jachne lage to un logon ne apne khaandan ki ek khatoon se Aap Alaihi Salam ki shadi kar di. Usi dauran Hazrat Haajirah ka inteqaal ho gyaa. Udhar Hazrat Ibrahim Alaihi Salam ko khayaal hua ki apna tarka dekhna chaahiye. Chunanche woh Makka Tashreef le gaye. Lekin Hazrat Ismail Alaihi Salam se mulaaqat na hue. Bahu se halaat daryaaft kiye. Usne tangdasti ki shikaayat ki. Aap Alaihi Salam ne wasiyyat ki ke Ismail Alaihi Salam aaein to kehna apne darwaaze ki chaukhat badal dein. Is wasiyyat ka matlab Hazrat Ismail Alaihi Salam samajh gaye. Beevi ko talaaq de di aur ek dusri aurat se shaadi kar li jo Jurhum ke sardar Muzaaz bin Amr ki saahab zaadi thi•(8)
3) : Is doosri shaadi ke ba'd ek baar phir Hazrat Ibrahim Alaihi Salam Makka tashreef le gaye , magar is dafah bhi Hazrat Ismail Alaihi Salam se mulaaqaat na hue. Bahu se ahwaal daryaaft kiye to us ne ALLAH ki hamd-o-sanaa ki. Aap ne wasiyyat ki ke Ismail Alaihi Salam apne darwaze ki chaukhat barqaraar rakhein aur Palestine wapas ho gaye.
4) : Us ke ba'd phir tashreef laai to Ismail Alaihi Salam Zamzam ke qareeb darakht ke neeche teer ghad rahe the , dekhte hi lapak pade aur wahi kiya jo aise mauqe par ek baap apne bete ke saath aur beta baap ke saath karta hai. Yeh mulaaqaat itne taweel arse ke ba'd hue thi ke ek naram dil aur shafeeq baap apne bete se aur ek itaa't shia'aar beta apne baap se ba-mushkil hi itni lambi judaai bardaasht kar sakta hai. Isi dafa donon ne mil kar khaana-e-Ka'aba tameer kiya. Buniyaad khod kar deewarein utthaain aur Ibrahim Alaihi Salam ne saari duniya ko Hajj ke liye aawaaz di.
-----------------------------------------------------------
•7-Saheeh Bukhari 1/475-476
•8- Qalb-e-jazeerat-ul-Arab,Safha-230
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment