Bismillahhirrahmanirrahim
✦ Part 11 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦ Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
-----------------------------
★Qidar bin Ismail Alaihi Salam ki nasal Makka hi mein phailti phoolti rahi. yahaan tak ki Adnaan aur phir unke bete Ma'ad ka zamaana aa gayaa. Adnaani Arab ka silsila-e-nasab saheeh taur par yahi tak mahfooz hai.
Adnaan, Nabi karim Sall-Allahu Alaihi Wasallam ke silsila-e-nasab mein ikkeeswin (21) pusht par padte hai. Ba'z rivaayaton mein bayaan kiya gayaa hai ki Aap Sall-Allahu Alaihi Wasallam jab apna silsila-e-nasab zikr farmaate to Adnaan par pahoonch kar ruk jaate aur aage na badhte. Farmaate ke Maahireen-e-Ansaab ghalat kahte hai (•11). Magar ulamaa ki ek jama'at ka khayaal hai ki Adnaan se aage bhi nasab bayaan kiyaa ja sakta hai. Unhon ne is rivaayat ko za'ef qaraar diya hai. Un ki tehqeeq ke mutaabiq Adnaan aur Hazrat Ibrahim Alaihi Salam ke darmiyaan Chaalis (40) pushtein hai.
★Beherhaal Ma'ad ke bete Nizar se, jin ke mutaa'lliq kahaa jaata hai ke unke elaavah Ma'ad ko koi aulaad na thi, kayi khaandan wujood me aaye. Dar haqeeqat Nizar ke chaar (4) bete the aur har beta ek bade qabeele ki buniyaad sabit hua. Chaaron ke naam yeh hai: Eyad, Anmar, Rabi'ah aur Mudar, in mein se muakhkhar-ul-zikr do qabeelon ki shaakhein aur shaakhon ki shaakhein bahut ziyaadah huin. Chunaanche Rabi'ah se Asad bin Rabi'ah, Anazah, Abdul-Qais, Wail, Bakr, Taghlib, aur banu Hanifah wagairah wujood mein aaye.
-----------------------------------------------------------
•11: Tabri- Tareekh-ul-Umam-wal-Mulook 2/191-194, Al-A'laam 5/6
-----------------------------------------------------------
•11: Tabri- Tareekh-ul-Umam-wal-Mulook 2/191-194, Al-A'laam 5/6
To be continued....... In sha Allah
No comments:
Post a Comment