Bismillahhirrahmanirrahim
✦ Part 12 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦ Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Mudar ki aulaad do (2) bade qabeelon mein taqseem hui.
1) Qais Ailan bin Mudar. 2) Elias bin Mudar.
Qais Ailan se Banu Sulaim, Banu Hawazin, Banu Ghatafan se Abs, Zubyan-Ashja aur Ghani bin A'sur ke qabaail wujood mein aaye.
Elias bin Mudar se Tamim bin Murrarh, Hudhail bin Mudrika, Banu Asad bin Khuzaimah aur Kinanah bin Khuzaimah ke qabaail wujood mein aaye. Phir Kinana se Quraish ka qabeela wujood mein aayaa. Yeh qabeela Fihr bin Malik bin An-Nadr bin Kinanah ki aulaad hai.
Phir Quraish bhi mukhtalif shaakhon mein taqseem hue. Mashhoor Quraishi shaakhon ke naam yeh hain: Jumah, Sahm, 'Adi, Makhzum, Tayim, Zahra, aur Qusai bin Kilab ke khaandaan. Yaani 'Abdud-Dar. Asad bin 'Abdul-'Uzza aur Abd Manaf hue. Jin se chaar zaili qabeele wujood mein aaye. Yani Abd Shams, Nawfal, Muttalib aur Hasim. Inheein Hashim ki nasal se ALLAH Ta'ala ne hamarey Huzoor Muhammad Sall-Allahu Alaihi Wasallam ka intikhaab farmaya•(12).
★Rasool-Allah Sall-Allahu Alaihi Wasallam ka irshaad hei ke ALLAH Ta'ala ne Ibrahim Alaihi Salam ki aulaad mein se Islamail Alaihi Salam ka intekhaab farmaya phir Ismail Alaihi Salam ki aulaad mein se Kinanah ko muntakhab kiya aur Kinanah ki nasal se Quraish ko chuna phir Quraish mein Banu Hashim ka intekhab kiya aur Banu Hashim mein mera intikhaab kiya•(13).
Ibn e Abbas radhi Allah anhu ka bayaan hai ki Rasool-Allah Sall-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaaya : "ALLAH Ta'ala ne khalq ki takhkleeq farmaai to mujhe sab se achhe giroh mein banaayaa, phir un ke bhi do girohon mein se ziyaadah achhe giroh ke andar rakhaa, phir qabaail ko chuna to mujhe sab se achhe qabeele ke andar banaayaa, phir Gharaanon ko chuna to mujhe sab se achhe gharaane mein banaayaa, lihaaza mai apni zaat ke aitbaar se bhi sab se achha hu, aur apne gharaane ke aitbaar se bhi sab se behtar hu•(14).
-----------------------------------------------------------
•12: Muhaaziraat-e-khazn 1/14-15
•13: Saheeh Muslim, 2/245, Jaam-e-Tirmizi 2/201
•14: Tirmizi, 2/201
-----------------------------------------------------------
•12: Muhaaziraat-e-khazn 1/14-15
•13: Saheeh Muslim, 2/245, Jaam-e-Tirmizi 2/201
•14: Tirmizi, 2/201
To be continued....... In sha Allah
https://quran-hadith-only.blogspot.com/2017/11/seerat-quiz-7.html
https://quran-hadith-only.blogspot.com/2017/11/seerat-quiz-7.html
No comments:
Post a Comment