Search This Blog

Thursday 9 November 2017

Part 13 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 13 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Bahar haal Adnaan ki nasal jab ziyaadah badh gayi to woh chaare-paani ki talaash mein Arab ke mukhtalif atraaf mein bikhar gai, chunaanche qabeela Abdul-Qais ne, Bakr bin Wa'il ki kai shaakhon ne aur Banu Tamim ke khaandaanon ne Bahrain ka rukh kiyaa aur usi ilaaqe mein jaa base.
Banu Hanifa Bin Sa'b bin Ali bin Bakr ne Yamamah ka rukh kiyaa aur us ke markaz Hajr mein sukoonat pazeer ho gaye. Bakr bin Wa'il ki baqiaa shaakhon ne, Yamamah se le kar Bahrain, Saahil Kazimah, Khaleej, Sawaad-e-Iraq, Ablah, aur Hait tak ke ilaaqon mein bood-o-baash ikhtiyaar ki.
Banu Taghib Jazeera-e-faraatia mein iqaamat   guzin hue. Albatta un ki ba'z shaakhon ne Banu Bakr ke saath sukoonat ikhtiyaar ki.
Banu Tamim ne Baadia-e-Basra ko apna watan banaaya.
★Banu Sulaim ne Madinah ke qareeb dere daale. Unka maskan Wadi-ul-Qura se shuroo ho kar khaibar aur Madinah ke mashriq se guzarta huaa Harrah-e-Banu Sulaim se muttasal do pahadon tak muntahi hota thaa.
Banu Saqif ne Ta'if ko watan bana liya aur Banu Hawazin ne Makkah ke mashriq mein Wadi-e-Awtas ke gird-o-pesh dere daale. Un ka maskan Makkah-Bashrah shaahraah par waaqe thaa.
Banu Asad Taima ke mashriq Aur kufa ke magrib mein khema zan hue. Un ke aur Taima ke darmiyaan Banu Tai ka ek khaandaan Behtar aabaad tha. Banu Asad ki aabadi Aur kufe ke darmiyaan paanch (5) din Ki masaafat thi.
Banu Zubyan Taima ke qareeb Hawran ke atraaf mein aabaad hue.
Tihamah mein Banu Kinanah ke khaandaan rah gaye the. Un me se Quraishi khaandaano ki bood-o-baash Makka Ayr us ke atraaf mein thi. Yeh log paraaganda the, un ki koi sheeraaza na thi yahan tak ke Qusai bin Kilab ubhar kar manzar-e-aam par aaya Ayr Quraishiyon ko muttehid karke sharaf-o-izzat aur bulandi-o-waqaar se behraawar kiya•(15)
•15) Muhaazirat-e-Khazri 1/15-16
-----------------------------------------------------------
To be continued....... In sha Allah

https://quran-hadith-only.blogspot.com/2017/11/seerat-quiz-7_9.html

No comments:

Post a Comment