Search This Blog

Thursday 16 November 2017

Part 14 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 14 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Arab: Hukoomatein aur Sardaarian
Islam sc pahle Arab ke jo haalaat the un par guftagoo karte hue munaasib Hukoomaton, Sardarion aur Mazaahib-o-Adyaan ka bhi ek mukhtasar saa khaakaa pesh kar diyaa jaaye taaki Zuhoor-e-Islaam ke waqt jo position thi woh ba-asaani samajh mein aa sake. Jis waqt Jazeerat-ul-Arab par khursheed-e-Islaam ki taabnaak shua’aein zau fagan huin wahaan do qisam ke hukumran the. Ek taaj posh baadshaah jo darhaqeeqat mukammal taur par aazaad wa khud mukhtaar na the doosre qabaaili sardaar jinhein ikhtiyaaraat-o-imtiyaazaat ke a’tibaar se wahi haisiyyat haasil thi jo taaj posh baadshaahon ki thi. Lekin unki aksariyat ko ek mazeed imtiyaaz yeh bhi haasil thaa ke woh poore taur par aazaad wa khud mukhtar the. Taaj posh hukumraan yeh the. Shaahaan-e-Yemen. Shaahaan-e-Aal-e-Ghassaan (Shaam) aur Shaahaan-e-Heerah (Iraq), baqiya Arab Hukumraan taaj posh na the.
★Yemen ki Baadshaahi:
Arab Aariba mein se jo qadeem tareen Yamaani qaum ma’loom ho saki woh qaum-e-Sabaa hei. Aur (Iraq) se jo kutbaat bar aamad hue hain un mein dhaai hazaar saal qabl-e-maseeh is qaum ka zikr milta hai. Lekin iske urooj ka zamaana giyaarah (II) sadi qabl-e-maseeh (B.C.) se shuroo hota hai. Is ki tareekh ke aham advvaar yeh hain:
-----------------------------------------------------------
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment