Search This Blog

Sunday 19 November 2017

Part 15 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 15 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★1. 650 (B.C.) se pehle ka daur:
Is daur mein Shaahaan-e-Sabaa ka laqab Makrib Sabaa tha.Un ka paaya-e-takht Sarwah tha jis ka khandar aaj bhi Ma'rib ke maghrib mein ek din ki raah par paaye jaate hain aur Khariba ke naam se mashhoor hain. Isi Daur me Ma'rib ke mashhoor band ki buniyaad rakhi gai jise Yemen ki tareekh mein badi ahmiyat haasil hai. Kahaa jaataa hei ke is daur mein Saltanat-e-Sabaa ko is qadar urooj haasil huaa ke unhoney Arab ke andar aur Arab se baahar jagah-jagah apni nau aabaadian qaayam kar li thin.
2. 650 (B.C.) se 115 (B.C.) ka daur:
Is daur mein Sabaa ke baadshaah ne Makrib ka lafz chhod kar Malik (Baadshaah) ka laqab iklitiyaar kar liya aur Sarwah ke bajaae Ma’rib ko apnaa daarul-saltanat banaava. Is shehar ke khandar aaj bhi San’a ke 60 miles mashriq mein paae jaate hain.
3. 115 (B.C.) se 300 (A.D.) tak ka daur:
Is daur mein Sabaa ki mamlakat par qabeela Himyar ko ghalba haasil rahaa aur us ne Ma'rib ke bajaae Redan ko apnaa paaya-e-takht banaaya. Phir Redan ka naam Zifar pad gayaa jis ke khandaraat aaj bhi shehar "Yarim" ke qareeb ek Mudawwar pahaadi par paaye jaate hain.
★Yehi daur hei jis mein qaum-e-Sabaa ka zawaal shuroo huaa. Pehle Nabeton ne shumaali Hijaaz par apnaa iqtidaar qaayam kar ke Sabaa ko un ki nau aabaadion sc nikaal kar baahar kiya. phir Roomion ne Misr wa Shaam aur shumaali Hijaaz par qabzaa kar ke unki tijaarat ke behri raaste ko makhdoosh kar diya aur is tarah unki tijaarat rafta-rafta tabaah ho gai. Udhar Qahtaani qabaail khud bhi baaham dast-o-gareeban the. In haalaat ka nateeja yeh hua ki Qahtaani qabaail apna watan chhod-chhod kar idhar-udhar paraaganda ho gaye.
---------------------------------------------
--------------
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment