Search This Blog

Thursday 23 November 2017

Part 16 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 16 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★4. 300 A.D. ke ba'd se Aaghaaz-e-Islaam tak ka daur:
Is daur mein Yemen ke andar musalsal iztiraab wa intishaar barpaa rahaa. Inqilabaat aaye, khaana jangian huin aur bairooni qaumaon ko mudaakhalat ke mawaaqe haath aaye, hattaa ke ek waqt aisaa bhi aayaa ke Yemen ki aazaadi salb ho gai. Chunaanche yehi daur hei jis mein Roomion ne Adn par fauji tasallut qaayam kiyaa aur unki madad se habshion ne Himyar wa Hamdan ki baahami kashaakash ka faaida uthaate hue 340 A.D. mein pehli baar Yemen par qabzaa kiyaa jo 378 A.D. tak barqaraar rahaa. Us ke baad Yemen ki aazaadi to behaal ho gai, magar "Ma'rib" ke mashhoor band mein rakhne padnaa shuroo ho gaye yahaan tak ke bil-aakhir 450 ya 451 A.D. mein band toot gayaa aur wa azeem sailaab aayaa jis ka zikr Qur’aan Majid (Surah Saba) mein sail-e-arim ke naam se kiyaa gayaa hei. Yeh badaa zabardast haadsa tha. Is ke nateeje mein bastion ki bastian viraan ho gaein aur bahut se qabaail idhar-udhar bikhar gaye
★Phir 523 A.D. mein ek aur sangeen haadsa pesh aayaa yaani Yemen ke Yahoodi Baadshaah Dhu-Nawas ne Najran ke Iesaaion par ek haibat naak hamla kar ke unhein Iesaai mazhab chodne par majboor karna chaahaa aur jab weh is par aamaadah na hue to Dhu-Nawas ne khandaqein khudwa kar unhein bhadakti hui aag ke alaao mein jhonk diya. Qur’aan Majid ne Surah Burooj ki aayaat
قُتِلَ اَصۡحٰبُ الۡاُخۡدُوۡدِ
mein isi larza khaiz waaqie ki taraf ishaarah kiyaa hai. Is waaqie ka nateeja yeh huaa ke Iesaaiyat, jo Roomi Baadshaahon ki qayaadat mein Bilaad-e-Arab ki futoohaat aur tausee' pasandi ke liye pehle hi se chust-o-chaabukdast thi, intiqaam lene par tul gai aur habshion ko Yemen par hamle ki targheeb dete hue unhein behri bedah muhaiyya kiyaa. Habshion ne Roomion ki sheh paa kar 525 A.D. mein Eriat ki zair-e-qiyaadat sattar hazaar (70,000) fauj se Yemen par doobaarah qabzah kar Hya. Qabza ke ba'd ibtidaan to Shaah-e-Habsh ke Governor ki haisiyat se Eriat ne Yemen par hukumraani ki. lekin phir us ki Fauj ke ek maa-tahat Commander - Abraha - ne use qatl kar ke khud iqtidaar par qabzaa kar liyaa aur Shaah-e-Habsh ko bhi apne is tasarruf par raazi kar Iiyaa.
-----------------------------------------------------------
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment