Search This Blog

Monday, 27 November 2017

Part 17 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 17 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Yeh wahi Abraha he: jis ne ba'd mein Khaane Ka'bah ko dhaane ki koshish ki aur ek lashkar-r-Jarraar ke elaavah chand Haathion ko bhi fauj kashi ke liye saath laayaa jis ki wajah se yeh lashkar Ashaab-e-Feel ke naam se mashhoor ho gayaa. Edhar Waaqia-e-Feel mein Habshion ki jo tabaahi hui us se faaida uthaate hue ahl-e-Yemen ni hukoomat-e-Faris se madad maangi aur Habshion ke khilaaf alam-e-baghaawat buland kar ke Saif Dhu-Yazin Al-Himyari ke bete Ma'dikarib ki qiyaadat mein Habshion ko mulk se nikaal baahar kiya aur ek aazaad wa khud mukhtaar qaum ki haisiyat se Ma’dikarib ko apnaa Baadshaah muntakhab kar liya. Yeh 575 A.D. kaa waaqia hei.
★Aazaadi ke ba'd Ma'dikarib ne kuchh Habshion ko apne khidmat aur shaahi Jalva ki zeenat ke liye rok liya, lekin yeh shauq mahangaa saabit huaa. In Habshion ne ek roz Ma'dikarib ko dhoke se qatl kar ke Dhu-Yazin ke khaandaan se hukumraani ka chiraagh hameshaa ke liye gul kar diya. Udhar Kisra ne is soorat-e-haal ka faaida utthaate hue San'aa par ek Faarsi-un-nasal Governor muqarrar kar ke Yemen ko Faaras ka ek sooba banaa liya. Us ke ba'd Yemen par yake ba'd deegre Faarsi Governaron ka taqarrur hota rahaa yahaan tak ki aakhiri governor Badhan ne 628 A.D mein Islam qabool kar liyaa aur us ke saath hi Yemen Faarsi (Persian) Iqtidaar se aazad hokr Islam ki amaldaari mein aa gyaa.•(1)
-----------------------------------------------------------
•1) Note: Maulana Syed Sulaiman Nadwi (r.a) ne tareekh  jild awwal Safha 133 se Khaatma-e-kitaab tak mukhtalif tareekhi shawaahid ki raushni mein qaum-e-Sabaa ke halaat badi bast-o-tafseel se raqam farmaae hai. Maulana Maududi ne tafheem-ul-Qur'aan 4/195-198 me kuch tafseelat jamaa ki hai. Lekin tareekhi ma'akhaz mein sineen wagairah ke silsile mein bade ikhtilaaf hai htta ki ba'z muhaqqiqeen ne in tafseelat ko "Pahlon ka afsana" qaraar diya hai.
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment