Search This Blog

Friday, 8 December 2017

Part 20 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 20 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Qabaz ke ba'd Faaras ki baag-daud Kisraa Nau Shairwan  ke haath aai. Use is mazhab se sakht nafrat thi. Us ne Mazdak aur us ke hum-nawaaon ki ek badi tadaad ko qatl karwaa diya. Munzir ko doobaarah Heerah ka hukumraan banaa diyaa aur Haarith bin Amr ko apne haan bulaa bhejaa lekin woh Banu Kalb ke elaaqe mein bhag gayaa aur wahin apni zindagi guzaar di.
Munzir bin Ma'-us-Sama' ke ba'd Nu'man bin Munzir ke ahad tak Heerah ki hukumraani isi ki nasal mein chalti rahi, phir aid bin 'Adi Abbadi ne Kisraa se Nu'man bin Munzir ki jhooti shikaayat ki. Kisraa bhadak utthaa aur Nu'man ko apne paas talab kiya. Nu'man chupke se Banu Shaiban ke sardaar Hani bin Mas'ud ke paas pahunchaa aur apne ahl-o-ayaal aur maal-o-daulaat ko us ki amaanat mein de kar Kisraa ke paas gaya. Kisra ne use qaid kar diyaa aur woh qaid hi mein faut ho gayaa.
★Idhar Kisraa ne Nu’man ko qaid karne ke ba'd us ki jagah Eyas bin Qubaisa Ta'i ko Heerah kaa hukumraan banaayaa aur use hukm diyaa ke Hani bin Mas'ud se Nu'man ki amaanat talab kare. Hani ghairat mand tha. us ne sirf inkaar hi nahin kiya, balki ailaan-e-jang bhi kar diya. Phir kiya tha Eyas apne jalv mein Kisraa ke laaw-o-lashkar aur marzbaanon ki jama’at le kar rawaana hua aur Dher-Qar ke maidaan mein fareeqain ke darmiyaan ghamaasaan ki jang hui jis mein Banu Shaiban ko fatah haasil hui aur Faarsion ne sharmnaak shikast khaai. Yeh pehlaa mauqaa thaa jab Arab ne Ajam par fatah haasil ki thi, Yeh waaqia Nabi Sall-Allahu Alaihi Wasallam ki paidaaish ke thode hi dinon ba'd ka hai. Aap  Sall-Allahu Alaihi Wasallam ki paidaaish Heerah par Eyas ki hukumraani ke aatthvein (8) maheene mein hui thi.
-----------------------------------------------------------
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment