Search This Blog

Wednesday 13 December 2017

Part 21 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 21 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Eyas ke ba'd Kisraa ne Heerah par ek Faarsi haakim muqarrar kiya. Lekin 632  A.D mein Luqmion ka iqtidar phir bahaal ho gaya aur Munzir bin Ma'rur naami is qabeele ke ek shakhs ne baag-daud sambhaali, magar abhi us ko barsar-e-iqtidaar aaye sirf aatth (8) maah hue the ki Hazrat Khaalid bin Waleed (r.a.) islaam kaa sail-e-rawaan le kar Heerah mein daakhil ho gaye.
Shaam ki Baadshaahi:
★Jis zamaane mein Arab qabaail ki hijrat zauron par thi qabeela Quda'aa ki chand shaakhein hudood-e-Shaam mein aa kar aabaad ho gaein. Un ka ta'lluq Bani Sulaim bin Halvvan se thaa aur un hin mein ek shaakh Banu Zaj'am bin Sulaim thi jise Zaja'imah ke naam se shohrat haasil hui, Quda'aa ki is shaakh ko Roomion ne Sehra-e-Arab ke badduon ki loot-maar rokne aur Faarsion ke khilaaf istimaal karne ke live apnaa ham-navvaa banaayaa aur usi ke ek fard ke sar par hukumraani ka taaj rakh diya. Us ke ba'd muddaton un ki hukumraani rahi. Un ka mushhoor tareen Baadshaah Zyiad bin Habulah guzra hai. Andaaza kiya gayaa hai ki Zaja'mah ka daur-e-hukoomat poori doosri sadi eisvi par muheet rahaa hai. Us ke ba'd is diyaar mein Aal-e-Ghassan ki aamad-aamad hui aur Zaja'ma ki hukumraani jaati rahi. Aal-e-Ghassan ne Banu Zaj'am ko shikast de kar un ki saari qalamrauon par qabza kar liya. Yeh soorat-e-haal dekh kar Roomion ne bhi Aal-e-Ghassan ko diyaar-e-Shaam ke Arab baashindon ka Baadshaah tasleem kar liya. Aal-e-Ghassan paaya-e-takht Daumat-ul-Jandal tha. Aur Roomion ke aala-e-kaar ki haisiyat se diyaar-e-Shaam par unki hukumraani musalsal qaayam rahi yahaan tak ke khilaafat-e-farooqi mein 13 Hijrt mein Yarmook ki jang pesh aai' aur Aal-e-Ghassan ka aakhiri hukumraan Jabalah bin Aihum halqa bagosh-e-lslam ho gayaa. •(2)
(Agarche us ka ghuroor-e- Islaami masaawaat ko ziyaadah der tak bardasht na kar sakaa aur woh murtad ho gayaa.)

-----------------------------------------------------------
•(2).Muhaziraat-e-Khazri.1/34.Tareekh Arz-ul Qur'aan 2/80-82.
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment