Search This Blog

Monday 18 December 2017

Part 22 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 22 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
Hijaaz ki Imaarat:
★Yeh baat to ma'roof hai ke Makka mein aabaadi ka aaghaaz Hazrat Ismail (a.s.) se huaa. Aap (a.s.) ne 137 saal ki umr paai • (3)aur Ta hayaat Makka ke sarbaraah aur Baitullaah ke mutawalli rahez • (4) Aap (a.s.) ke ba'd Aap (a.s.) ke do saahab zaadgan - Nabet phir Qidar, ya Qidar phir Nabet - yake ba'd deegre Makka ke waali hue. Un ke ba’d un ke naanaa Muzaz bin Amr Jurhumi ne zamaam-e-kaar apne haath mein le li aur is tarah Makka ki sarbaraahi banu Jurhum ki taraf muntaqil ho gai aur ek arse tak unhin ke haath mein rahi. Hazrat Ismail (a.s.) choonki (apne waalid ke saath mil kar) Baitullah ke baani wa me’maar the is liye un ki aulaad ko ek baa-waqaar maqaam zaroor haasil rahaa, lekin iqtidaar wa ikhtiyaar mein un ka koi hissaa na thaa. • (5)
★Phir din par din aur saal par saal guzarte gaye lekin Hazrat Ismail (a.s.) ki aulaad goshaa-e-gumnaami se na nikal saki. yahaan tak ke Bukhtanassar ke zuhoor se kuchh pehle Banu Jurhum ki taaqat kamzoor pad gai aur Makka ke ufaq par Adnan ka siyaasi sitaarah jagmagaana shuroo hua. Is ka suboot yeh hai ki Bukhtanassar ne Zaat-e-Irq mein Arabon se jo ma'rika aaraai ki thi us mein Arab fauj ka commander Jurhumi na thaa.• (6)
-----------------------------------------------------------
• (3)Paidaaish (Majmuaa-e-Bible) 25:17
• (4)Qalb-e-Jazeeratul-Arab, Safha, 230-237.
• (5)Qalb-e-Jazeeratul-Arab, Safha. 230-237, wa ibn-e-Hlsham 1/111-113, Ibn-e-Hisham ne Isma'el (a.s.) ki aulaad mein se sirf Nabet ki tauliat ka zikr kiya hai.
• (6)Qalb-e-Jazeeratul-Arab. Safha 230.

No comments:

Post a Comment