Search This Blog

Monday, 18 December 2017

Part 23 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 23 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Phir Bukhtanassar ne jab 587 (B.C.) mein doosra hamla kiya to Banu Adnan bhaag kar Yemen chale gaye. Us waqt Banu Isra'el ke Nabi Hazrat Yermiah the. Woh Adnan ke bete Ma'ad ko apne saath muIk-e-Shaam le gaye aur jab Bukhtanassar ka zor khatam huaa aur Ma'ad Makka aaye to unhein Makkah mein qabeela Jurhum ka sirf ek shakhs Jursham bin Jalhamah milaa. Ma'ad ne us ki ladki Mu'anah se shaadi ki aur usi ke batan se Nizar paida hua. •(7)
Is ke ba'd Makka mein Jurhum ki halat kharaab hoti gai. Unhein tangdasti ne aa ghera. nateeja yeh hua ki unhon ne zaa'ireen-e-BaituIlah par ziyaadatian shuroo kar dein aur Khaan-e-Ka'bah ka maal ko khaane se bhi dareegh na kiya. •(8) Idhar Banu Adnan andar hi andar un ki in harkaton par kudhte bhadakte rahe. Isi liye jab Banu Khuza'aa ne Marr-uz-Zahran mein padaao kiya aur dekha ki Banu Adnan Banu Jurhum se nafrat karte hain to us ka faaida utthaate hue ek Adnani qabeele (Banu Bakr bin 'Abd Manaf' bin Kinanah) ko saath le kar Banu Jurhum ke khilaf jang chhed di aur unhein Makkah se nikaal kar iqtidaar par khud qabzaa kar liyaa, Yeh waaqia doosri eiswi ke wast kaa hai
-----------------------------------------------------------
•(7) Rahmatul-lil-Aalameen 2/48
•(8)  Qalb-e-Jazeeratul-Arab Safha 231
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment