Search This Blog

Saturday, 23 December 2017

Part 24 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 24 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Banu Jurhum ne Makkah chodte waqt zamzam ka ku'an paat diya aur us mein kai tareekhi cheezen dafan karke us ke nishaanaat bhi mita diye.Mohammad Ibn-e-Ishaaq ka bayaan hai ke Amr bin Haaris bin Muzaz  • (9) ne Khaana Ka'bah ke donon  •(10) Hiran aur us ke kone me lagaa hua Patthar  Hajra-e-Aswad - nikaal kar Zamzam ke kuein mein dafan kar diya aur apne qabeele Banu Jurhum ko saath le kar Yemen chalaa gayaa. Banu Jurhum ko Makkah se jilaa watni aur wahaan ki hukoomat se mahroom hone ka badaa qalaq thaa. Chunaanche Amr-e-mazkoor ne is isilsile mein yeh ash'aar kahe.
كان لم يكن بين الحجون إلى الصفا             انيس ولم يسمد بمكة سامر
بلى  نحن  كنا  اهلها  فابادنا                    صروف الليالي والجدود العواثر
• (11)
"lagta hai Hajoon se Safaa tak koi aashna tha hi nahin aur na kisi qissaa go ne Makkah ki shabaana mehfilon mein qissaa goi ki. Kiyon nahin! yaqeenan ham hi is ke baashinde the, lekin zamaane ki gardishon aur tooti hui qismaton ne hamein ujaad phainka."• (11)
★Hazrat Ismail (a.s.) ka zamaana taqreeban do hazaar baras qabl-e-maseeh (B.C.) hai. Is hisaab se Makkah mein qabeela-e-Jurhum ka wujood koi do hazaar ek sau (2100) baras tak rahaa aur unki hukumraani lag-bhag do hazaar baras tak rahi. Banu Khuza'aa ne Makkah par qabzaa karne ke ba'd Banu Bakr ko shaamil kiye baghair tanha apni hukumraani qaayam ki, albatta teen aham aur imtiyaazi manaasib aise the jo Muzari qabaail ke hisse mein aaye.
-----------------------------------------------------------
• (9) Yeh wo Mazaaz-e-Jurhum nahi hai jiska zikr Hazrat Ismail Alaihi ke waaqie mein guzar chuka hai.
• (10) Masoodi ne likha hai ki Ahl-e-Faaris pichle daur me amwaal-o-jawahiraat bhejtey rahte they Saasaan bin Baabaan ne sone ke bane hue do hiran ,jawahiraat ,talwaarein aur bahut sa sona bheja. Amr ne ye sab zamzam ke kuwey me daal diya tha.
(Murauwajul Jahab 1/205)

• (11)  Ibn-e-Hisham 1/114-115
To be continued....... In sha Allah
-----------------------------------------------------------


No comments:

Post a Comment