Search This Blog

Monday 25 December 2017

Part 25 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 25 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★1). Haajion ko Araafat se Muzdalifah le jaanaa aur Yaum-un-Nafar - 13 Zil-Hijja ko jo ki Hajj ke silsila ka aakhiri din hai - Mina se rawaangi ka parwaanaa denaa. Yeh ea'zaaz Elias bin Muzar ke khaandaan Banu Ghaws bin Murra ko haasil tha jo Sufa kehlaate the. Is ea'zaaz ki tauzeeh yeh hai ki 13 zil-hijja ko Haaji kankari na maar sakte the jab tak ke pehle Sufa ka ek-ek aadmi kankari na maar letaa. Phir Haaji  kankari maar kar faarigh ho jaate aur Mina se rawaangi ka iraadaah karte to Sufah ke log Mina ki waahid gujar gaah aqabah ke dono jaanib ghera daal kar khade ho jaate aur jab tak khud guzar na Iete kisi ko guzarne na dete. Un ke guzar lene ke baad baqia logon ke liye raasta khaali hota. Jab Sufah khatam ho gaye to yeh ea'zaaz Banu Tamim ke ek khaandaan Banu Sa'd bin Zaid Manat ki taraf muntaqil ho gaya.
2).10 Zil-Hijja ki subah ko Muzdalifah se Mina ki jaanib Ifaza (rawaangi): Yeh ea'zaaz Banu Adwan ko haasil thaa.
3). Haraam mahinon ko aage-peeche karna: Yeh ea'zaaz Banu Kinanah ki ek shaakh Banu Tamim bin 'Adi ko haasil tha • (12)
Makkha par Banu Khuza'aa ka iqtidaar koi teen sau (300) baras tak qaayam raha • (13) aur yehi zamaana tha jab Adnaani qabaail Makka aur Hijjaz. se nikal kar Najd. Atraaf-e-Iraq aur Bahrain waghairah mein phaile aur Makkah ke atraaf mein sirf Quraish ki chand shaakhein baaqi rahin jo khaana badaosh thein. Un ki alag-alag tolian thein aur Banu Kinanah mein un ke chand mutafarriq gharaane the. Magar Makkah ki hukoomat aur Baitullaah ki tauliyat mein unka koi hissaa na tha yahaan tak ki Qusai bin Kilab ka zuhoor hua. • (14)
-----------------------------------------------------------
• (12) Ibn-e-Hisham 1/119-122
• (13) Yaqoot Madaah-e-Makkah
• (14) Muhaaziraat-e-Khazri 1/35, Ibn-e-Hisham 1/117
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment