Search This Blog

Wednesday, 27 December 2017

Part 26 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 26 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Qusai ke muta’lliq bataaya jaataa hai ke woh abhi god hi mein tha ke us ke waalid ka intiqaal ho gayaa, Us ke ba'd us ki waalida ne Banu Uzrah ke shakhs Rabi’a bin Haram se shaadi kar li. Yeh qabeela choonki MuIk-e-Sham ke atraaf mein rahtaa thaa is liye Qusai ki waalida wahein chali gai aur woh Qusai ko bhi apne saath leti gai. Jab Qusai jawaan hua to Makkah waapas aayaa. Us waqt Makkah ka waali Hulail bin Habsha Khuzaai’ thaa. Qusai ne us ke paas us ki beti Hobbah se nikaah ke liye peighaam bheja. Hulail ne manzoor kar liya aur shaadi kar di.• (15) Us ke ba'd jab Hulail ka intiqaal hua to Makkah aur Baitullah ki tauliyat ke liye Khuza'ah aur Quraish ke darmiyaan jang ho gai aur is ke nateeje mein Makkah aur Baitullah par Qusai ka iqtidaar qaayam ho gayaa.
★Jang ka sabab kya thaa? Is bare mein teen bayaanaat milte hain:
1). Ek yeh ke jab Qusai ki aulaad khoob phal-phool gai, us ke paas daulat ki bhi faraawaani ho gai aur us ka waqaar bhi badh gayaa aur idhar Hulail ka intiqaal ho gayaa to Qusai ne mahsoos kiyaa ke ab Banu Khuza'ah aur Banu Bakr ke bajaae main Ka'bah ki tauliyat aur Makkah ki hukoomat ka kahein ziyaadah haqdaar hoon. Use yeh ehsaas bhi thaa ke Quraish khaalis Ismaai'li Arab hain aur baqiya Aal-e-lsmaai'l ke sardaar bhi hain (lihaazaa sarbaraahi ke mustahiq wahein hain). Chunaanche us ne Quraish aur Banu Khuza'ah ke kuchh logon se guftagoo ki ke kiyuon na Banu Khuza'ah aur Banu Bakr ko Makkah se nikaal baahar kiya jaae. Un logon ne us ki raai se ittifaaq kiya. • (16)
2) Doosra bayqan yeh hai ki - Khuza'ah ke baqaul, khud Hulail ne Qusai ko wasiyat ki thi ke woh Ka'bah ki nigehdaasht karegaa aur Makkah ki baag-daur sambhaalega.
• (17)
-----------------------------------------------------------
• (15) Ibn-e-Hisham 1/117,118
• (16) Ibn-e-Hisham 1/117,118
• (17) Ibn-e-Hisham 1/117,118
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment