Search This Blog

Sunday 28 January 2018

Part 2 of 80 - Surat-ul-Faatiha(Tafseer)

Bismillahhirrahmanirrahim
✦ Part 2 of 80 - Surat-ul-Faatiha
✦ Al-Quran (Tafseer Ibn-e-Kaseer)
-----------------------------
★Ibn Abbas Ise Isasul Quran Kehte They Yani Quran Ki Jad Ya Buniyad Aur Is Surat Ki Buniyat Ayat “Bismillah Irrehman Nirahim” Hai,
-Sufiyan Bin Ayiniya Farmate Hain: Is Ka Naam Waqya Hai,
-Yahhiya-Bin-Kaseer Kehte Hain Is Ka Naam Kafiya Bhi Hai Isliye Ke Ye Apne Alawa Sab Ki Kifayat Karti Hai Aur Dusri Surat Is Surat Kifayat Nahi Karti,
-Baaz Marsal Hadison Me Bhi Ye Mazmun Aaya Hai Ke Ummul Quran Badal Hai Iske Gair Ka Magar Iska Gair Iska Badal Nahi,• (1) Ise Suratul Salat Aur Suratul Kinz Bhi Kaha Gaya Hai,
-Zamehshari Ki Tafseel Kishaf Dekhiye, Ibn Abbas, Qitada, Abulaliya Farmate Hai Ke: “Ye Surat Makki Hai,.”
-Hazrat Abu Huraira Mujahid, Ata Bin Yasar Aur Zehri Farmate Hai: “Ye Surat Madni Hai Aur Ye Bi Ek Qaul Hai Ke Ye Surat Do Martaba Nazil Huyi Ek Martaba Makka Aur Ek Martaba Madine Me Lekin Pehla Qaul Hi Zyada Thik Hai Isliye Ki Dusri Ayat Me Hai. “Walakad Atainaka Sab’am Minal Masani”• (2) Yani Humne Tumhe Saba Misani Saat Ayatein Dohrai Jaane Wali Di Hai,
– Wallah-O-Alam, Abulast Samar Kandi Ka Ek Qaul Qartabi Ne Ye Bhi Naql Kiya Hai Ke Is Surat Ka Nisf Tou Makka Sharif Me Nazil Hua Aur Aakhiri Nisf Hissa Madina Sharif Me Nazil Hua Lekin Ye Qaul Bilkul Gareeb Hai,
– In Ayaton Ki Nisbat Ittefaq Hai Ke Saat Hai Lekin Umru Bin Abid Ne 8 Aur Husain Jafi Ne 6 Bhi Kaha Hai Aur Ye Dono Qaul Shaaz Hain,..
Bismillah Irrehman Nirahim Aur Mukhtalif Aqwal Aur Surah Fateha:
“Bismillah Irrehman Nirahim”(Al-Quran 1:1)
Ye Surat Ki Mustakil Ayat Hai Ya Nahi Isme Ikhtelaf Hai, Tamam Kufi Qari Aur Sahaba (Razi’Allahu Anhu) Aur Tabey Aur Taba’in (R.A.) Ki Ek Jamat Aur Pichhle Bahut Se Buzurg Tou Usey Surah Fateha Ke Awwal Ki Ek Puri Aur Mustakil Ayat Kehte Hain, Baaz Isey Iska Jaso Mante Hain Aur Baaz Sire Se Is Ayat Ko Is Ke Shuru Me Mante Hi Nahi, Jaise Ke Madine Sharif Ke Qariyon Aur Faqihon Ke Ye Teeno Qaul Hain, Iski Tafseel Inn Shaa Allah Aage Ayegi,..
– Is Surah Ke Kalimat 25 Hain Aur Haruf 113 Hain, Imam Bukhari Kitab Al-Tafseer Ke Shuru Me Sahih Bukhari Me Likhte Hain “Ummul Kitab Is Surah Ka Naam Isliye Hai Ki Quran Sharif Ki Kitabat Usi Se Shuru Hoti Hai • (3)Aur Namaz Ki Qirat Bhi Usi Se Shuru Hoti Hai”
– Ek Qaul Ye Bhi Hai Kyunki Tamam Quran Sharif Ke Mazameen Ajmali Taur Se Usi Me Hain, Isliye Is Ka Naam Ummul Kitab Hai, Arab Ki Adat Hai Ke Har Ek Jama Kaam Aur Kaam Ki Jad Ko Jiski Shakhein Aur Ajzah Usi Ke Tabey Hon Umm Kehte Hain,. Dekhiye Ummul Raas-Us-Jild Ko Kehte Hain Jo Dimag Ki Jama Hai Aur Lashkari Jhande Aur Nishan Ko Bhi Jis Ke Niche Log Jama Hote Hain,
-----------------------------------------------------------

• (1) Dar-Qutni
• (2) Al~Quran,Surat-ul-Hujurat
• (3) Sahih Bukhari
◆◆◆To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment