Search This Blog

Friday 5 January 2018

Part 28 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 28 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Is faisle ke nateeje mein Qusai aur Quraish ko Makkah par mukammal nufooz aur siyaadat haasil ho gai, aur Qusai Baitullah kaa deeni sarbaraah ban gayaa jis ki ziyaarat ke liye Arab ke goshe-goshe se aane waalon ka tanta bandhaa rahtaa tha. Makkah par Qusai ke tasallut ka yeh waaqi'aa panchwin (5th) sadi eiswi ke wast yaani 440 A.D. ka hai. • (20)
Qusai ne Makkah ka band-o-bast is tarah kiyaa ki Quraish ko Atraaf-e-Makkah se bulaa kar pooraa shehar un par taqseem kar diyaa aur har khaandaan ki bood-o-baash ka thikaanaa muqarrar kar diyaa. Albattaa maheene aage-pecchhe karne waalon ko, neez Aal-e-Safwan, Banu Adwan aur Banu Murra bin ’Awf ko un ke manaasib par barqaraar rakhaa. Kyonke Qusai samajhtaa thaa ki yeh bhi deen hei jis mein radd-o-badal karnaa durust nahein.• (21)
Qusai ka ek kaarnaama yeh bhi hei ke us ne Haram-e-Ka'bah ke shumaal mein Daar-un-Nadwah ta'meer kiya. (Is ka darwaaza Masjid ki taraf tha). Daar-un-Nadwah dar haqeeqat Quraish ki Parliament thi jahaan tamaam bade-bade aur aham mua'amalaat ke faisle hote the. Quraish par Daar-un-Nadwah ke bade ahsaanaat hain, kiyonke yeh un ki wahdat ka zaamin thaa aur yahein un ke uljhe hue masaail ba-husn-o-khoobi tai hote the. • (22)
-----------------------------------------------------------
• (20) Qalb-e-Jazeeratul-Arab,Safha 232
• (21) Ibn-e-Hisham 1/124-125
• (22) Ibn-e-Hisham 1/125 , Muhaaziraat-e-Khazri 1/36, Akhbaar-ul-Kiraam ,Safha 152
To be continued....... In sha  Allah

No comments:

Post a Comment