Search This Blog

Sunday, 21 January 2018

Part 1 of 80 - Surat-ul-Faatiha(Tafseer)

Bismillahhirrahmanirrahim
✦ Part 1 of 80 - Surat-ul-Faatiha
✦ Al-Quran (Tafseer Ibn-e-Kaseer)
-----------------------------
★ Is Surah Ka Naam Surah Fateha Hai, Fateha Kehte Hain Shuru Karne Wali Ko, Kyunki Quran Kareem Me Sab Se Pehle Yahi Surat Likhi Gayi Hai, Isliye Ise Surah Fateha Kehte Hain Aur Isliye Bhi Ki Namazon Me Qir’at Bhi Isi Se Shuru Hoti Hai,
– Iska Naam Ummul Kitab Bhi Hai, Jamhur Yahi Kehte Hain, Hasan Aur Ibn Sareen Iske Kayal Nahi, Wo Kehte Hai Ke Lohe Mehfuz Ka Naam Ummul Kitab Hai, Hasan Ka Khayal Hai Ki Muhaqqam Ayaton Ko Ummul Kitab Kehte Hain, Tirmizi Ki Ek Sahih Hadis Me Hai Ke Rasul’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
“Alhamdullillah Rabil Alameen” Puri Surat Tak Yahi Surat Ummul Quran Hai Aur Ummul Kitab Hai Aur Sab’a Misani Hai Aur Quran Azeem Hai.• (1)Is Surat Ka Naam Suratul Hamd Aur Suratul Salat bhi Hai,..
★ Aahazrat (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hain Ke: Allah Ta’ala Ne Farmaya Hai:
“Maine Salat (Yani Surah Fateha) Ko Apne Aur Apne Bande Ke Darmiyan Nisf Nisf Taqseem Kar Diya, Jab Banda Kehta Hai “Alhamdullillah Rabil Almeen” Tou Allah Ta’ala Fermata Hai: “Mere Bande Ne Meri Tarif Ki,”
Puri Hadis Tak, • (2) Is Hadis Se Malum Hua Ke Surah Fateha Ka Naam Salat Bhi Hai Isliye Ki Is Surat Ka Namaz Me Padhna Shart Hai,
– Is Surah Ka Naam Suratul Shafa bhi Hai,
Darmi Me Hazrat Abu Sayeed Se Marfua Riwayat Hai Ke Surah Fateha Har Zeher Ki Shifa Hai Aur Is Ka Naam Suratul Ruqqayya Bhi Hai.• (3)
Hazrat Abu Sayeed (RaziAllahu Anhu) Ne Jab Sanp Ke Kate Huye Shakhs Par Is Surat Ko Padh Kar Dam Kiya, Wo Achha Ho Gaya Tab Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam)Ne Un Se Farmaya:
“Tumhe Kaise Malum Ho Gaya Ke Ye Ruqqayya Hai, Yaani Padh Kar Phunkne Ki Surat Hai ?• (4)
-----------------------------------------------------------
• (1) Sahih Bukhari
• (2) Sahih Muslim
• (3) Sahih Bashwahid
• (4) Sahih Bukhari, Sahih Muslim
◆◆◆To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment