Search This Blog

Monday 1 January 2018

Part 27 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 27 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★3) . Teesra bayaan yeh hai ke Hulail ne apni beti Hobbah ko Baitullah ki tauliyat sauonpi thi aur Abu Ghabshan Khuza'i ko us ka wakeel banaayaa thaa. Chunaanche Hobbah ke  naayeb ki haisiyat se wahein Khaana-e-Ka'bah ka kaleed bardaar tha. Jab Hulail ka intiqaal ho gayaa to Qusai ne Abu Ghabshan se ek mushk sharaab ke badle Ka'bah ki tauliyal khareed li. Lekin Khuza'ah ne yeh khareed-o-farokht manzoor na ki aur Qusai ko Baitullah se roknaa chaahaa. Is par Qusai ne Banu Khuza’ah ko Makkah se nikaalne ke liye Quraish aur Banu Kinanah ko jama kiya aur woh Qusai ki aawaaz par labbaik kehte hue jama ho gaye. • (18)
Baharhaal wajah jo bhi ho. waaqi'aat ka silsilaa is tarah hei ke jab Hulail ka intiqaal ho gaya aur Sufah ne wahi karnaa chaahaa jo woh hameshaa karte aaye the to Qusai ne Quraish aur Kinanah ke logon ko hamraah liyaa aur Aqaba ke nazdeek jahaan weh jama the unse aakar kahaa ke turn se ziyaadah ham is ea'zaaz ke haqdaar hain. Is par Sufah ne ladaai chhed di, magar Qusai ne unhein maghloob karke unka ea'zaaz chheen liyaa. Yehi mauqaa thaa jab Khuza'ah aur Banu Bakr ne Qusai se daaman kashi ikhtiyaar kar li. Is par Qusai ne unhein bhi lalkaaraa. phir kiyaa tha. fareeqain mein sakht jang chhid gai aur tarafain ke bahut se aadmi maare gaye. Us ke ba’d sulah ki aawaazein buland huein aur Banu Bakr ke ek shakhs Ya'mur bin Awf ko hakam banaayaa gayaa. Ya'mur ne faislaa kiya ki Khuza'ah ke bajaae' Qusai Khaana-e-Ka'bah ki tailiyat aur Makkah ke iqtidaar ka ziyaadah haqdaar hai. Neez Qusai ne jitnaa khoon bahaayaa hai sab raai'gaan qaraar de kar paaon tale rond rahaa hoon. Albatla Khuza'ah aur Banu Bakr ne jin logon ko qatl kiyaa hai un ki deyat adaa karein aur Khaana-e-Ka'bah ko bilaa rok-tok Qusai ke hawaale kar dain - isi faisle ki wajah se Ya'mur ka laqab Shaddaakh pad gayaa. • (19)
Shaddaakh ke maani hein Paaon tale rondne waalaa.
-----------------------------------------------------------
• (18) Rahmatul-lil-Aalameen, 2/55
• (19) Ibn-e-Hisham, 1/123,124
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment