Bismillahhirrahmanirrahim
✦ Part 29 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦ Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Qusai ko sarbaraahi aur azmat ke hasb-e-zail mazaahir haasil the:
1) Daar-un-Nadwa ki sadaarat, jahaan bade-bade mua'malaat ke mula'lliq mashware hote the aur jahaan log apni ladkion ki shaadian bhi karte the.
2) Liwa: Yaani jang ka purcham Qusai hi ke haathon baandha jaata tha.
3) Hijaabat: Yaani khaana-e-Ka'bah ki paasbaani. Is ka matlab yeh hai ki Khaana-e-Ka'bah ka darwaaza Qusai hi kholtaa thaa aur wahi Khana-e-Ka’bah ki Khidmat aur kaleed bardaari ka kaam anjaam deta thaa.
4) Saqaaya (paani pilaana): Is ki soorat ye thi ke kuchli Hawz mein Haajion ke liye paani bhar diya jaataa thaa aur us mein kuchh khajoor aur Kishmish daal kar ise sheerein banaa diyaa jaataa thaa. Jab Hujjaaj Makkah aate the to ise peete the.• (23)
★ 5) Rifaadah (Haajion ki mezbaani): Is ke mana ye hain ke Haajion ke liye bataur-e-ziyaafat khaanaa tayyaar kiyaa jaataa thaa. Is maqsud ke liye Qusai ne Quraish par ek khaas raqam muqarrar kar rakhi thi. Jo mausam-e-hajj mein Qusai ke paas jama ki jaati thi. Qusai is raqam se Haajion ke liye khaanaa tayyaar karaataa thaa. Jo log tangdast hone, ya jin ke paas tosha na hotaa woh yehi khaanaa khaate the. • (24)
-----------------------------------------------------------
• (23) Muhaaziraat-e-Khazri 1/36
• (24) Ibn-e-Hisham 1/130
-----------------------------------------------------------
• (23) Muhaaziraat-e-Khazri 1/36
• (24) Ibn-e-Hisham 1/130
To be continued....... In sha Allah
No comments:
Post a Comment