Search This Blog

Thursday, 11 January 2018

Part 30 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 30 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Yeh saare manaasib Qusai ko haasil the. Qusai ka pehla betaa 'Abd-ud-Dar tha. magar us ke bajae doosraa betaa 'Abd Manaf'. Qusai ki zindagi mein sharaf-o-siyaadat ke maqaam par pahoonch gaya tha. Is liye Qusai ne 'Abd-ud-Dar se kahaa ke yeh log agarche saraf-o-siyaadat mein tum par baazi lejaa chuke hain. magar mein tumhein in ke ham-pallaa kar ke rahoonga. Chunaanche Qusai ne apne saare manaasib aur ea’zaazaat ki wasiyyat 'Abd-ud-Dar ke liye kar di. yaani Darul-Nadwa  ki riyasat, Khaana-e-Ka'bah ki hijaabat. Liwa, Siqaayat aur Rifaadah sab kuchh 'Abd-ud-Dar ko de diyaa. Choonke kisi kaam mein Qusai ki mukhaalafat nahein ki jaati thi aur na us ki koi baat mustard ki jaati thi, balki us ka har iqdaam, us ki zindagi mein bhi aur us ki maut ke ba'd bhi waajib-ul-ittibaa' deen samjhaa jaataa thaa. Is liye us ki wafaat ke ba’d us ke beton ne kisi nizaa ke baghair us ke wasiyyat qaayam rakhi.
★Lekin jab 'Abd-e-Manaf ki wafaat ho gai to us ke beton ka in manaasib ke silsile mein apne checheire bhaaion yaani 'Abd Dar ki aulaad se jhagdaa hua. Is ke nateeje mein Quraish do giroh mein bat gai aur qareeb tha ki donon mein jang ho jaati magar phir unhon ne sulah ki aawaaz buland ki aur un manaasib ko baaham taqseem kar diya. Chunaanche Siqaayat aur Rifaadah ke manaasib Banu 'Abd Manaf ko diye gaye. Aur Dar-un-Nadwa ki sarbaraahi, liwa aur hijaabat Banu 'Abd Dar ke haath mein rahi. Phir Banu 'Abd Manaf ne apne haasil shudah manaasib ke liye qura' daalaa to qura’ Hashim bin 'Abd Manaf ke naam nikla. Lihaazaa Hashim hi ne apni zindagi bhar Siqaaya-o-Rifaadah ka intizaam kiya. Albattaa jab Hashim ka intiqaal ho gayaa to unke bhai Muttalib ne unki jaanasheeni ki, magar Muttalib ke ba'd un ke bhateeje Abdul Muttalib bin Hashim ne, jo Rasoolullah Sall-Allahu Alaihi Wasalam ke daadaa the, yeh mansab sambhaal liyaa aur un ke ba'd un ki aulaad un ki jaanasheen hui. Yahaan tak ke jab Islam ka daur aayaa to Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib is mansab par faaiz the.• (25)
-----------------------------------------------------------
.• (25) Ibn-e-Hisham 1/129-132 , 137 , 178 , 179
To be continued....... In sha Allah


No comments:

Post a Comment