Search This Blog

Sunday 14 January 2018

Part 31 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 31 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Un ke elaawa kuchh aur manaasib bhi the jinhein Quraish ne baaham taqseem kar rakhaa thaa. In manaasib aur intizaamaat ke zareeye Quraish ne ek chhoti si hukoomat - balki hukoomat numaa intizaamiya - qaayam kar rakhi thi jis ke sarkaari idaare aur tashkeelaat kuchh isi dhang ki the.
Jaisi aaj kal Parliament Majlisein aur idaare hua karte ham.
In manaasib ka khaka hasb-e-zail hai:
1) Isaar: Yaani faal giri aur qismat daryaaft karne ke liye buton ke paas jo teer rakhe rahte the un ki tauliyat, Yeh mansab Banu Jamah ko haasil tha.
2) Maaliyaat ka nazm: Yaani buton ke taqarrub ke liye jo nazraane aur qurbaaniaan pesh ki jaati thin un ka intizaam karna, neez jhagde aur maqdamaat ka faislaa karna, Yeh kaam Banu Sahm ko sonpaa gayaa thaa.
3) Shoora: Yeh ea'zaaz Banu Asad ko haasil tha.
4) Ashnaaq: Yaani diyat aur jurmaanon ka nazm. Is mansab par Banu Tayim faaiz the.
5) Uqaab: Yaani qaumi parcham ki alambardaari. Yeh Banu Umaiyah ka kaam tha.
6) Quba: Yaani fauji camp ka intizaam aur shehsawaaron ki qiyaadat. Yeh Banu Makhzum ke hisse mein aayaa tha.
7) Sifaarat: Banu Adi ka mansab tha. • (26)
-----------------------------------------------------------
• (26)  Tareekh Ar-zul-Quran 2/104 , 105 , 106
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment