Search This Blog

Wednesday 17 January 2018

Part 32 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 32 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
Baqia Arab Sardaarian:
Ham pichhle safhaat mein Qahtani aur Adnani qabaail ke tark-e-watan ka zikr kar chuke hain aur batlaa chuke hain ke poora mulk-e-Arab in qabaail ke darmiyaan taqseem ho gayaa tha. Us ke ba'd un ki imaarton aur sardaarion ka naqshaa kuchh yuon thaa ke jo qabaail llerah ke ird-gird aabaad the unhein hukoomat-e-Heerah ke taabe maanaa gayaa. Aur jin qabaail ne Baadia-tus-Shaam mein sukoonat ikhtiyaar ki thi unhein Ghassani hukumraanon ke taabe qaraar diyaa gayaa.  magar ye ma-tahati sirf naam ki thi, amalan na thi. In do maqaamaat ko chhod kar andaroon-e-Arab aabaad qabaail bahar taur aazaad the.
In qabaail mein sardaari nizaam raaij tha. Qabeele khud apnaa sardaar muqarrar karte the. Aur in sardaaron ke liye unkaa qabeela ek mukhtasar si hukoomat hua kartaa thaa. Siyaasi wujood-o-tehaffuz ki buniyaad, qabaaili wahdat par mabni asbiyyat aur apni sarzameen ki hifaazat-o-difaa ke mushtaraka mafaadaat the.
★Qabaaili sardaaron ka darja apni qaum mein baadshaahon jaisa tha, qabeela sulah-o-jang mein baharhaal apne sardaar ke faislo ke Thabe hota tha aur kisi haal mein us se alag-thalag nahin rah sakta thaa. Sardaar ko wahi mutlaqul-anaani aur istibdaad haasil tha jo kisi Dictator ko haasil hua kartaa hai hattaa ke ba’z sardaaron ka yeh haal tha ke agar weh bigad jaate to hazaaron talwaarein yeh poochhein baghair be niyaam ho jaati ke sardaar ke ghusse ka sabab kya hai. Taaham choonke ek hi kunbe ke checheire bhaaion mein sardaari ke liye kashaakash bhi hua karti thi. Is liye is ka taqaaza  tha ke sardaar apne qabaaili awaam ke sath rawaadaari barte, khoob maal kharch kare, mehmaan nawaazi mein pesh-pesh rahe. karam-o-burdbaari se kaam le, shuja'at ka amali muzaaharaa kare aur ghairatmandaana umoor ki taraf se difaa' kare taaki logon ki nazar mein umooman, aur shua'raa ki nazar mein khusoosan khoobi wa kamaalaat ka jaame ban jaae (kyu ke shua'raa us daur mein qabeele kl zubaan hua karte the) aur is tarah sardaar apne madd-e-muqaabil hazaraat se buland-o-baalaa darja haasil kar le.
-----------------------------------------------------------
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment