Bismillahhirrahmanirrahim
✦ Part 33 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦ Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
-----------------------------
★Sardaaron ke kuchh makhsoos aur imtiyaazi huqooq bhi hua karte the jinhein ek shaair ne yuon bayaan kiya hai
"Hamaare darmiyaan tumhaare liye maal-e-ghaneemat ka chauthaai hai aur muntakhab maal hai aur woh maal hai jis ka tum faisla kar do aur jo sar-e-raah haath aa jae aur jo taqseem se bach rahe."
Mirbaa: Maal-e-ghaneemat ka chauthaai hissaa.
Safiyun: Woh maal jise taqseem se pehle hi sardaar apne liye muntakhab kar le.
Nasheetatun: Woh maal jo asal qaum tak pahoonchne se pehle raaste hi mein sardaar ke haath lag jaae.
Fuzool: Woh maal jo taqseem ke baad bach rahe aur ghaazion ki tadaad par baraabar taqseem na ho. Masalan taqseem se bache hue oont. ghode waghairah. In sab aqsaam ke maal sardaar-e-qabeele ka haq hua karte the.

★ Siyaasi Haalat:
Jazeeratul-Arab ki hukoomaton aur hukumraanon ka zikr ho chuka. Bejaa na hoga ki ab un ke kisi qadar siyaasi haalaat bhi zikr kar diye jaein.
Jazeeratul-Arab ki hukoomaton aur hukumraanon ka zikr ho chuka. Bejaa na hoga ki ab un ke kisi qadar siyaasi haalaat bhi zikr kar diye jaein.
Jazeeratul-Arab ke woh teenon sarhadi elaaqe jo ghair mamaalik ke paraus mein parte the un ki siyaasi haalat sakht iztiraab wa intishaar aur intihaai zawaal wa inhitaat ka shikaar thi. Insaan, maalik aur ghulaam ya haakim aur mehkoom ke do tabqon mein bataa hua tha. Saare fawaaid sarbaraahon - aur khusoosan ghair mulki sarbaraahon - ko haasil the aur saaraa bojh ghulaamon ke sar thaa. Ise ziyaadah w'aazeh alfaaz mein yuon kahaa jaa saktaa hei ke ri'aayaa darhaqeeqat ek kheti thi jo hukoomat ke liye mahaasil aur aamdam faraaham karti thi aur hukoomatein ise lazzaton shahwaton, aishraani aur zulm-o-jaur ke liye iste'maal karti thin. Aur un par har taraf se zulm ki baarish ho rahi thi. Magar woh harf-e-shikaayat zabaan par na laa sakte the. Balki zaroori tha ke tarah-tarah ki zillat-o-ruswaai aur zulm-o-cheeradasti bardaasht karein aur zabaan band rakhein, kiyuonki jabr wa istibdaad ki hukumraani thi aur insaani huqooq naam ki kisi cheez ka kahin koi wujood na tha.
-----------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------
To be continued....... In sha Allah
No comments:
Post a Comment