Search This Blog

Sunday 28 January 2018

Part 34 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 34 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★In elaaqon ke padaus mein rahne waale qabaail tazabzub ka shikaar the. Unhein aghraaz wa khuahishaat idhar se udhar, aur udhar se idhar phainkti rahti thin. Kabhi we Iraaqion ke hamnawaan ho jaate the aur kabhi shaamion ki haan mein haan milaate the.
Jo qabaail andaroon-e-Arab aabaad the un ke bhi jod dheele aur sheeraazah muntashir tha. Har taraf qabaaili jhagdon, nasli fasaadaat aur mazhabi ikhtilaafaat ki garanm baazaari thi, jis mein har qabeele ke afraad behar soorat apne apne qabeele ka saath dete the khuwaah weh haq par ho ya baatil par. Chunaanche un ka tarjumaan kehta hai:
"Mai bhi to qabeela ghaziyya hi ka ek fard hoon. Agar woh ghalat raah par chalega to mein bhi ghalat raah par chaloonga aur agar woh saheeh raah par chlega to mein bhi saheeh raah par chaloonga."
Andaroon-e-Arab koi baadshaah na tha jo unki aawaaz ko quwwat pahunchaataa aur na koi marja hi thaa jis ki taraf mushkilaat wa shadaa'id mein rujoo' kiya jaataa aur jis par waqt padne par ae’timaad kiya jaataa.
★Han Hijaaz ki hukoomat ko qadar-o-ehtiraam ki nigaah se  yaqeenan dekhaa jaataa tha aur use markaz-e-deen ka qaid-o-paasbaan bhi tasawwur kiya jaataa tha. Yeh hukoomat dar haqeeqat ek tarah ki dunyaavi qiyaadat aur deeni peshwaai ka ma'joon murakkab thi. Use ahl-e-Arab par deeni peshwaai ke naam se baalaadasti haasil thi aur Haram aur atraaf-e-Haram par us ki ba-qaaidah hukumraani thi. Wahi zaa'ireen-e-Baitullah ki zarooriyaat ka intizaam aur sharee'at-e-Ibrahimi ke ehkaam ka nifaaz karti thi aur uske paas parliamaani idaaron jaise idaare aur tashkeelaat bhi thin. Lekin yeh hukoomat itni kamzoor thi ke andaroon-e-Arab ki zimmedaarion ka bojh utthaane ki taaqat na rakhti thi jaisaa ke habshion ke hamle ke mauqe par zaahir hua.
-----------------------------------------------------------
ENGLISH TRANSLATION
-----------------------------------------------------------
★The tribes living near these
regions were fluctuating between Syria and Iraq, whereas those living inside Arabia were disunited and
governed by tribal conflicts and racial and religious disputes.
They had neither a king to sustain their independence nor a supporter to seek advice from, or depend
upon, in hardships.
★The rulers of Hijaz, however, were greatly esteemed and respected by the Arabs, and were considered
as rulers and servants of the religious centre. Rulership of Hijaz was, in fact, a mixture of secular and
official precedence as well as religious leadership. They ruled among the Arabs in the name of religious
leadership and always monopolized the custodianship of the Holy Sanctuary and its neighbourhood.
They looked after the interests of Al-Ka‘bah visitors and were in charge of putting Abraham’s code into
effect. They even had such offices and departments like those of the parliaments of today. However,
they were too weak to carry the heavy burden, as this evidently came to light during the Abyssinian
(Ethiopian) invasion.
-----------------------------------------------------------
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment