Search This Blog

Sunday, 4 February 2018

Part 3 of 80 - Surat-ul-Faatiha(Tafseer)

Bismillahhirrahmanirrahim
✦ Part 3 of 80 - Surat-ul-Faatiha
✦ Al-Quran (Tafseer Ibn-e-Kaseer)
-----------------------------
★Umm Kehte Hain Shayeron Me Bhi Iska Subut Paya Jata Hai Makka Sharif Ko Ummul Qari Kehne Ki Bhi Yahi Wajah Hai Ke Ye Sabse Pehle Aur Sab Ka Jama Hai, Zameen Wahin Se Failai Gai Hai • (1) Kyunki Isse Namaz Ki Qir’at Shuru Hoti Hai. Quran Sharif Ko Likhte Waqt Bhi Sahaba (RaziAllahu Anhu) Ne Usi Ko Pehle Likha Is Liye Fateh Bhi Kehte Hain.
– Is Ka Ek Sahi Naam Saba Masani Bhi Hai Isliye Ke Ye Baar-Baar Namaz Me Padhi Jati Hai. Har Rak’at Me Usey Padha Jata Hai Aur Masani Ke Maney Aur Bhi Hai Jo Inn Shaa Allah Apni Jagah Bayan Honge Wallahu Alam.
– Musnad Ahmad Me Hazrat Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke Rasul’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Ye Ummul Quran Ke Bare Me Farmaya: “Yahi Saba Masani Hai Aur Yahi Quran Azeem Hai,..”• (2) Ek Aur Hadis Me: “Yahi Ummul Quran Hai Yahi Fatehaul Kitab Hai Aur Yahi Saba Masani Hai”• (3) Tafseer Marduwiya Me Hai Ke: Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Alhamdullillah Rabbil Almeen” Ki Saat Ayetein Hain.
“Bismillah Irrehaman Nirahim” Bhi Inme se Ek Ayat Hai,Isi Ka Naam Saba Misani Hai, Yahi Quran Azeem Hai, Yahi Ummul Kitab Hai, • (4) Yahi Tatehatul Kitab Hai,..
Darqatni Me Bhi Isi Mafhoom Ki Ek Hadis Hai Aur Baqaul Imam Darqatni Uss Ke Sab Rawi Sakiya Hain,
-Baihaqi Me Hai Ki Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu), Hazrat Ibn Abbas (RaziAllahu Anhu), Hazrat Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Ne Saba Misani Ki Tafseer Me Yahi Kaha Hai Ki Ye Surah Fateha Hai Aur Bismillah Iski Satwin Ayat Hai ,..
-Bismillah Ki Behas Me Ye Bayan Pura Ayega Inn Shaa Allah Ta’ala !
Hazrat Ibn Masud Se Kaha Gaya Ke Aapne Surah Fateha Ko Apne Likhe Huye Quran Sharif Me Shuru Me Kyun Nahi Likha?
Tou Kaha “Agar Mai Aisa Karta Tou Har Surat Ke Pehle Isko Likhta,.”
Abu Bakar Bin Abu Daud Farmate Hain, Is Qaul Ka Matalab Ye Hai Ke Namaz Me Padhe Jaane Ki Haisiyat Se Aur Kyunki Tamam Musalmano Ko Hifz Hai Isliye Likhne Ki Chanda Zarurat Nahi,
– Dalail Nabuwat Me Imam Baihqi Ne Ek Hadis Naql Ki Hai Jis Me Hai Ke Ye Surat Sabse Pehle Nazil Huyi,
– Baqlani Ne Naql Kiya Hai Ke Surah Fateha Sabse Pehle Nazil Huyi Aur Dusra Qaul Ye Hai Ke
“Ya’ayyohal Muddaseru”
• (5) Sabse Pehle Nazil Huyi Jaisa Ki Sahih Hadis Hazrat Jabir Se Marwi Hai.
-----------------------------------------------------------

• (1) Tafseer At-Tabrani
• (2) Musnad Ahmad-Sahih
• (3) Tafseer Ibn-e-Jareer
• (4) Dar-Qutni-Zaef
• (5) Al~Quran,Surat-ul-Mudassir
◆◆◆To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment