Search This Blog

Thursday 1 February 2018

Part 35 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 35 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★ Arab: Adyaan-o-Mazaahib
Aam baashindegaan-e-Arab Hazrat Ismail (a.s.) ki dawat-o-tableegh ke nateeje mein Deen-e-Ibrahimi ke pairao the, is liye sirf Allah ki ibaadat karte the aur Tauheed par kaarband the. Lekin waqt guzare ke saath-saath unhon ne khudaai dars-o-naseehat ka ek hissaa bhulaa diyaa. Phir bhi unke andar Tauheed aur kuchh Deen-e-Ibrahimi ke sha'aair baaqi rahe, yahaan tak ke Banu Khuza’ah ka sardaar Amr bin Luhai manzar-e-aam par aayaa. Uski nash-o-numa badi nekookaari, sadqa-o-kheiraat aur deeni umoor se gehri dilchaspi par hui thi. Is liye logon ne use mohabbat ki nazar se dekha aur use akaabir-e-ulama aur afaazil-e-auliya mein se samajh kar uski pairavi ki.
Phir is shakhs ne mulk-e-Sham ka safar kiyaa. Dekhaa to wahaan butaon ki pooja ki jaa rahi thi. Us ne samjhaa ke yeh bhi behtar aur barhaq hai kiyonke mulk Sham Paighambaraon ki sarzameen aur Aasmaani Kitaabaon ki nuzool gaah thi. Chunaanche woh apne saath 'Hubal' but bhi le aayaa aur use Khaana-e-Ka'bah ke andar nasab kar diyaa aur ahl-e-Makkah ko Allah ke saath shirk ki dawat di. Ahl-e-Makkah ne is par labbaik kahaa. Us ke ba'd bahut jald baashindegaan-e-Hijaaz bhi ahl-e-Makkah ke naqsh-e-qadam par chal pade. kiyuonki we Baitullah ke waali aur Haram ke baashinde the.• (1) Is tarah Arab mein butparasti ka aaghaaz huaa.
-----------------------------------------------------------
ENGLISH TRANSLATION
-----------------------------------------------------------
RELIGIONS OF THE ARABS
Most of the Arabs had complied with the call of Ishmael (Peace be upon him) , and professed the
religion of his father Abraham (Peace be upon him) They had worshipped Allâh, professed His Oneness
and followed His religion a long time until they forgot part of what they had been reminded of.However, they still maintained such fundamental beliefs such as monotheism as well as various other aspects of Abraham’s religion, until the time when a chief of Khuza‘a, namely ‘Amr bin Luhai,
Who was renowned for righteousness, charity, reverence and care for religion, and was granted unreserved love and obedience by his tribesmen, came back from a trip to Syria where he saw people worship idols, a phenomenon he approved of and believed it to be righteous since Syria was the locus of Messengers and Scriptures, he brought with him an idol (Hubal) which he placed in the middle of Al-Ka‘bah and summoned people to worship it. Readily enough, paganism spread all over Makkah and, thence, to Hijaz, people of Makkah being custodians of not only the Sacred House but the whole Haram as well.
-----------------------------------------------------------
• (1) Mukhtasar Seerat-e-Rasool Taleef Sheikh Muhammad bin Abdul Wahhaab Najdi (rh.), Safha 12
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment