Search This Blog

Tuesday 6 February 2018

Part 36 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 36 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
'Hubal' ke elaawah Arab ke qadeem tareen butaon mein se 'Manat' hei. Yeh Bahr-e-Ahmar ke saahil par Qudaid ke qareeb Mushallal mein nasab ● (2) tha. Us ke ba'd Ta'if mein 'Lat' naami but wujood mein aayaa. Phir waadi-e-Nakhlah mein 'Uzza' ki tanseeb amal mein aai'. Yeh teenon Arab ke sabse bade but the. Us ke ba'd Hijjaz ke har khitte mein shirk ki kasrat aur butaon ki bharmaar ho gai. Kahaa jaataa hei ke ek Jin Amr bin Luhai ke taabe thaa. Usne bataayaa ke Qaum-e-Nooh ke but - yaani Wadd, Suaw, Yaghus, Ya'uk aur Nasr - Jeddah mein madfoon hain. Is ittila' par Amr bin Luhai Jeddah gayaa aur un butaon ko khod nikaalaa. Phir unhein Tihama laayaa aur jab Hajj ka zamaanaa aayaa to unhein mukhtalif qabaa’il ke hawaale kiya. Yeh qabaa'il in butaon ko apne-apne elaaqon mein le gac. Is tarah har-har qabeele mein, phir har-har ghar mein ek-ek but ho gayaa.
Phir mushrikeen ne Masjid-e-Haraam ko bhi butaon se bhar diya. Chunaanche jab Makkah fatah kiyaa gayaa to Baitullah ke girda-gird 360 but the jinhein khud Rasoolullah Sall-Allahu Alaihi Wasallam ne apne dast-e-mubaarak se toda. Rasoolullah har ek ko chhadi se tthokar maarte jaate the aur woh girtaa jaataa thaa. Phir Aap Sall-Allahu Alaihi Wasallam nehukm diyaa aur unsaare butaon ko Masjid-e-Haraam se baahar nikaal kar jalaa diyaa gayaa?● (3)
Garz shirk aur butparasti Ahl-e-Jaahiliyyat ke Deen ka sab se bada mazhar ban gai thi. Jinhein ghamand tha ki woh Hazrat Ibrahim (Alaihi Salam) ke deen par hain.
-----------------------------------------------------------
ENGLISH TRANSLATION -----------------------------------------------------------
A great many idols, bearing different names, were introduced into the area. An idol called ‘Manat’, for instance, was worshipped in a place known as Al-Mushallal near Qadid on the Red Sea. Another, ‘Al-Lat’ in Ta’if, a third, ‘Al-‘Uzza’ in the valley of Nakhlah, and so on and so forth.
Polytheism prevailed and the number of idols increased everywhere in Hijaz. It was even mentioned that ‘Amr bin Luhai, with the help of a jinn companion who told him that the idols of Noah’s folk – Wadd, Suwa‘, Yaguth, Ya‘uk and Nasr – were buried in Jeddah, dug them out and took them to Tihama.Upon pilgrimage time, the idols were distributed among the tribes to take back home. Every tribe, and house, had their own idols, and the Sacred House was also overcrowded with them. On the Prophet’s conquest of Makkah, 360 idols were found around Al-Ka‘bah. He broke them down and had them
removed and burned up.
Polytheism and worship of idols became the most prominent feature of the religion of pre-Islam Arabs despite alleged profession of Abraham’s religion.Traditions and ceremonies of the worship of their idols
-----------------------------------------------------------
● (2) Saheeh Bukhari, 1/222
● (3) Mukhtasar Seerat-e-Rasool, Sheikh Muhammad bin Abdul Wahhaab(r.h) Safha 13,50,51,52,54
To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment