Bismillahhirrahmanirrahim
✦ Part 37 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦ Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Phir Ahl-e -Jaahiliyyat ke yahaan butparasti ke kuchh khaas tareeqe aur maraasim bhi raa'ij the jo ziyaadah tar 'Amr bin Luhai ki ikhtiraa’ the. Ahl-e-Jaahiliyyat samajhte the ke 'Amr bin Luhai ki ikhtiraa’aat Deen-e-Ibrahimi mein tabdeeli nahein balki bid'at-e-hasana hain. Zail mein ham Ahl-e-Jaahiliyyat ke andar raa'ij butparasti ke chand aham maraasim ka zikr kar rahe hain.
1) Daur-e-Jaahiliyyat ke mushrikeen butaon ke paas mujaavir ban kar beitthte the, unki panaah dhoondhte the, unhein zaur-zaur se pukaarte the aur haajat rawaai wa mushkil kushaai ke liye un se fariyaad aur iltijaaein karte the aur samajhte the ki woh Allah se sifaarish karke hamaari muraadein poori karaa deinge.
2) Butaon ka Hajj wa Tawaaf karte the, un ke saamne ajaz wa niyaaz se pesh aate the aur unhein sajdah karte the.
3) Butaon ke liye nazraane aur qurbaanian pesh karte aur qurbaani ke in jaanwaron ko kabhi butaon ke aastaanon par le jaakar zabah karte the aur kabhi kisi bhi jagah zabah kar lete the. Magar butaon ke naam par zabah karte the. Zabah ki in donon sooraton ka zikr Allah Ta'ala ne Qur'aan Majid mein kiya hai. Irshaad hai; yaani "weh jaanwar bhi haraam hain jo aastaanon par zabah kiye gae hon.” Doosri jagah irshaad hai, yaani "us jaanwar ka gosht mat khaao jis par Allah ka naam na liyaa gayaa ho."
★ 4) Butaon se taqarrub ka ek tareeqa yeh bhi thaa ke mushrikeen apni sawaabdeed ke mutaabiq apne khaane-peene ki cheezon aur apni kheti aur chaupaae ki paidaawaar ka ek hissaa butaon ke liye khaas kar dete the. Is silsile mein un ka dilchasp rawaaj yeh tha ke weh Allah ke liye bhi apni kheti aur jaanwaron ki paidaawaar ka ek hissa khaas karte the phir mukhtalif asbaab ki binaa par Allah ka hissa to butaon ki taraf muntaqil kar sakte the lekin butaon ka hissaa kisi bhi haal mein Allah ki taraf muntaqil nahein kar sakte the.
-----------------------------------------------------------
ENGLISH TRANSLATION
-----------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------
ENGLISH TRANSLATION
-----------------------------------------------------------
★Traditions and ceremonies of the worship of their idols had been mostly created by ‘Amr bin Luhai, and were deemed as good innovations rather than deviations from Abraham’s religion.Some features oftheir worship of idols were:
1) Self-devotion to the idols, seeking refuge with them, acclamation of their names, calling for their help in hardship, and supplication to them for fulfillment of wishes, hopefully that the idols (i.e., heathen gods) would mediate with Allâh for the fulfillment of people’s wishes.
2) Performing pilgrimage to the idols, circumrotation round them, self-abasement and even prostrating themselves before them.
3) Seeking favour of idols through various kinds of sacrifices and immolations, which is mentioned
in the Qur’ânic verses:
A) “And that which is sacrificed (slaughtered) on An-Nusub (stone-altars)” [5:3]
in the Qur’ânic verses:
A) “And that which is sacrificed (slaughtered) on An-Nusub (stone-altars)” [5:3]
★Allâh also says: B) “Eat not (O believers) of that (meat) on which Allâh’s Name has not been pronounced (at the time of the slaughtering of the animal).” [6:121]
4) Consecration of certain portions of food, drink, cattle, and crops to idols. Surprisingly enough, portions were also consecrated to Allâh Himself, but people often found reasons to transfer parts of Allâh’s portion to idols, but never did the opposite.
-----------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------
To be continued....... In sha Allah
No comments:
Post a Comment