Search This Blog

Sunday 11 February 2018

Part 4 of 80 - Surat-ul-Faatiha(Tafseer)

Bismillahhirrahmanirrahim
✦ Part 4 of 80 - Surat-ul-Faatiha
✦ Al-Quran (Tafseer Ibn-e-Kaseer)
-----------------------------
Aur Tisra Qaul Ye Hai Ke Sabse Pehle “ Iqrah Bisme Rabbekal Razi Khalaqa” Nazil Huyi Aur Yahi Sahih Hai Iski Tafseel Aage Ayegi Inn Shaa Allah,..
Surah Fateha Ki Fazilat:
Musnad Ahmad Me Hazrat Abu Sayeed Bin Ma’ala (RaziAllahu Anhu)Se Marwi Hai Ke, Mai Namaz Padh Raha Tha Aur Rasul’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Mujhe Bulaya, Maine Koi Jawab Na Diya, Jab Namaz Se Farig Hokar Mai Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Khidmat Me Hazir Hua Tou Aap Ne Farmaya: “Ab Tak Kis Kaam Me They ?”
Maine Kaha Huzur (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Mai Namaz Me Tha,Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam)Ne Farmaya: “Kya Allah Ta’ala Ka Ye Farman Tumne Nahi Suna?”
“Ya Ayyohal Lazina Amanus Tajibulillahe Walirasule Iza Da’akum Lema Yuhyikum”
(Aye Iman Walon ! Allah Ke Rasul Jab Tumhe Pukarein, Tum Jawab Do), Achha Suno Mai Tumhe Masjid Se Nikalne Se Pehle Batladunga Ke Quran Paak Me Sabse Badi Surat Kaun Si Hai?
Phir Mera Haath Pakde Huye Jab Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Masjid Se Jane Ka Irada Kiya Tou Maine Apka Wada Yaad Dilaya,..
Aap Ne Farmaya:“Surat Alhamdullillahi Rabbil Almeen Hai Yahi Saba Misani Hai Aur Yahi Wo Quran Azeem Hai Jo Mujhko Diya Gaya Hai,..”Isi Tarah Ye Riwayat Sahih Bukhari Sharif, Abu Daud Nisai Aur Ibn Majja Me Bhi Dusri Sanadon Ke Sath Hai,..● (1)
Waqdi Ne Ye Waqya Hazrat Abi Bin Ka’ab Ka Bayan Kiya Hai, Muwatta Imam Malik Me Hai Ke Rasul’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hazrat Abi Bin Ka’ab Ko Awaz Di, Wo Namaz Me Mashgul They, Farig Hokar Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) se miley, farmatey hai ki Aapne Apna Haath Mere Haath Par Rakh Diya, Uss Waqt Masjid Se Bahar Nikal Hi Rahe They Ke Farmaya: “Mai Chahta Hun Ke Masjid Se Nikalne Se Pehle Tujhe Aisi Surat Bataon Ke Taurat, Injil Aur Quran Me Iski Misal Nahi”Ab Maine is umeed par Apni Chal naram Kar Di Aur Puchha “Huzur (Sallallahu Alaihi Wasallam Wo Surat Kaun Si Hai? ”Aap Ne Farmaya: “Namaz Ke Shuru Me Tum Kaun Si Surah Padhte Ho?”Mai Ne Kaha “Alhamdullillah Rabbil Almeen Puri Surat Tak,”Aap (Sallallahu Alaihi Wassalam) Ne Farmaya: “Yahi Wo Surat Hai, Saba Masani Aur Quran Azeem Jo mujhe Diya Gaya Hai ● (2) .Is Hadis Ke Akhiri Rawi Abu Sayeed Hain,
Is Bina Par Ibn Kaseer Aur Unke Sath Wale yaha Dokha Kha Gaye Hain Aur Wo Unhe Abu Sayeed Bin Maula Samajh baithe Hai, Darhaqiqat Ye Abu Sayeed dusrey hai , Ye Maula Khajai Hai Aur Tabayeen Me Se Hain Aur Wo Abu Sayeed Ansari Sahabi Hain Unki Hadis Muttasil Aur Sahi Hai Aur Ye Hadis Bazahir Manqata Malum Hoti Hai Agar Abu Sayeed Tabayi Ka Hazrat Abi Se Sunna Sabit Na Hua Aur Agar Sunna Sabit Ho Tou Ye Hadis Shart Musallim Par Hai, Wallahu Alam,..
-----------------------------------------------------------

● (1)  Musnad Ahmad(Sahih),Sahih Bukhari
● (2)  Muwatta Imaam Malik(Sahih)
◆◆◆To be continued....... In sha Allah

No comments:

Post a Comment