Search This Blog

Monday 12 March 2018

Part 39 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 39 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★6) Un hi jaanwaraon mein Bahira, Sa'iba, Wasila, aur Hami the. Ibn-e-Ishaq kehte hain ki Bahira, Sa'iba ki bachchi ko kahaa jaataa hai. Aur Sa'iba us Oontni ko kahaa jaataa hei jis se das (10) baar pai-dar-pai maadah bachche paida hon, darmiyaan mein koi nar paida na ho. Aisi Oontni ko aazaad chhod diyaa jaataa tha, us par sawaari nahin ki jaati thi, us ke baal nahin kaate jaate the. Aur mehmaan ke siwaa koi us ka doodh nahein peeta tha. Us ke ba'd yeh oontni jo maadah bachcha janti us ka kaan cheer diya jaataa aur ise bhi us ki maa ke saath aazaad chhod diyaa jaataa. Us par sawaari na ki jaati. Us ka baal na kaataa jaataa. Aur mehmaan ke siwaa koi us ka doodh na peetaa. Yehi Bahira hai aur us ki maa Sa'iba hai.
Wasila us bakri ko kahaa jaataa tha jo panch (5) daf’a pai-dar-pai do-do maadah bachche janti (yaani panch baar mein das (10) maadah bachche paida hote), darmiyaan mein koi nar na paida hota. Is bakri ko is liye Wasila kahaa jaataa tha ke woh saare maadah bachchon ko ek-doosre se jod deti thi. Us ke ba'd us bakri se jo bachche paida hote unhein sirf mard khaa sakte the auratein nahein khaa sakti thein. Albatta agar koi bachcha murda paida hota to us ko mard-aurat sabhi kha sakte the.
-----------------------------------------------------------
ENGLISH TRANSLATION
-----------------------------------------------------------
Dedication of certain animals (such as Bahira, Sa’iba, Wasila and Hami) to idols, which meant
sparing such animals from useful work for the sake of these heathen gods. Bahira, as reported by the well-known historian, Ibn Ish, was daughter of Sa’iba which was a female camel that gave birth to ten successive females animals, but no male ones, was set free and forbidden to yoke, burden or being sheared off its wool, or milked (but for guests to drink from);and so was done to all her female offspring which were given the name ‘Bahira’, after having their ears slit.
The Wasila was a female sheep which had ten successive female daughters in five pregnancies.Any
new births from this Wasila were assigned only for male people.
-----------------------------------------------------------

To be continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment