Search This Blog

Monday 19 March 2018

Part 40 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 40 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Hami’ us nar oont ko kehte the jiski jufti se pai-dar-pai das (10) maadah bachche paida hote, darmiyan mein koi nar na paida hota. Aise oont ki peetth mahfooz kar di jaati thi. Na us par sawaari ki jaati thi, na us ka baal kaataa jaataa tha. Balki use oonton ke rewad mein jufti ke liye aazaad chhod diya jaataa thaa. Aur is ke siwaa us se koi doosra faidah na utthaayaa jaataa thaa. Daur-e-Jaahiliyyat ki butparasti ke in tareeqon ki tardeed karte hue Allah Ta'ala ne farmaayaa; "Allah ne na koi Bahira, na kai Sa'iba na koi Wasila aur na koi Hami banaayaa hai, lekin jin logon ne kufr kiyaa weh Allah par jhoot ghadte hain aur un mein se aksar aqal nahein rakhte." Ek doosri jagah farmaayaa: "In (mushrikeen ) ne kahaa ke in chaupaion ke pet mein jo kuchh hei woh khalis hamaare mardon ke liye hei aur hamaari auraton par haraam hei. Albatta agar weh murda ho to us mein mard-aurat sab shareek hain."
★Chaupaaion ki mazkoorah aqsaam yaani Bahirah, Sa'iba waghairah ke kuchh doosre mataalib bhi bayan kiye gay hain jo Ibn-e-Ishaq ki mazkoorah tafseer se qadre mukhtalif hain. • (4)
Hazrat Syed bin Musayyib (rh.) ka bayaan hei ke yeh jaanwar un ke taaghooton ke liye the.'• (5)
Aur Saheeh Bukhari mein marfooan marvi hei ke 'Amr bin Iuhai pehla shakhs hei jis ne butaon ke naam par jaanwar chhode.• (6)
-----------------------------------------------------------
ENGLISH TRANSLATION
-----------------------------------------------------------
★The Hami was a male camel which produced ten progressive females, and was thus similarly forbidden. In mention of this, the Qur’ânic verses go: “Allâh has not instituted things like Bahira( a she-camel whose milk was spared for the idols and nobody was allowed to milk it) or a Sa’iba (a she camel let loose for free pasture for their false gods, e.g. idols, etc., and nothing was allowed to be carried on it), or a Wasila (a she-camel set free for idols because it has given birth to a she camel at its first delivery and then again gives
birth to a she-camel at its second delivery) or a Hâm (a stallion-camel freed from work for their idols, after it had finished a number of copulations assigned for it, all these animals were liberated in honour of idols as practised by pagan Arabs in the pre-Islamic period). But those who disbelieve, invent lies against Allâh, and most of them have no understanding.”[5:103]
★ALLAH also says: “And they say: What is in the bellies of such and such cattle (milk or foetus) is for our males alone, and forbidden to our females (girls and women), but if it is born dead, then all have shares therein.” [6:139].It has been authentically reported that such superstitions were first invented by ‘Amr bin Luhai.
-----------------------------------------------------------

• (4) Seerat-e-Ibn-e-Hisham 1/89-90
• (5) Saheeh Bukhari, 1/499
• (6) Saheeh Bukhari 1/499
To be continued....... In  shaa Allah

No comments:

Post a Comment