Search This Blog

Monday, 26 March 2018

Part 41 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 41 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------
★Arab apne butaon ke saath yeh sab kuchh is aqeede ke saath karte the ke yeh but unhein Allah ke qareeb kar deinge aur Allah ke huzoor un ki sifaarish kar deinge. Chunaanche Qur'aan Majid mein bataayaa gayaa hei ke mushrikeen kehte the. "Ham unki ibaadat mahaz is liye kar rahe hain ki weh hamein Allah ke qareeb kar dein.Aur (yeh mushrikeen) Allah ke siwaa un ki ibaadat karte hain jo unhein na nafa pahooncha sakein na nuqsaan aur kehte hain ke yeh Allah ke paas hamaare sifaarishi hain." Mushrikeen-e-Arab ’Azlaam’ yaani faal ke teer bhi iste'maal karte they. (Azlaam, Zalam ki jama hei. Aur Zalam us teer ko kehte hain jis mein par na lage hon). Faalgiri ke liye iste'maal hone waale yeh teer teen qism ke hote the. Ek woh jin par sirf "Han" ya "Nahein" Iikhaa hotaa tha. Is qism ke teer Safar aur Nikaah waghairah jaise kaamon ke liye iste'maal kiye jaate the. Agar faal mein "Han" nikalta to matlooba kaam kar daalaa jaataa, agar "Nahein" nikalta to saal bhar ke liye multawi kar diyaa jaataa aur aainda phir faal nikaali jaati.
-----------------------
★अरब अपने बुतो के साथ यह सबकुछ इस श्रद्धा के साथ करते थे कि ये बुत उन्हें अल्लाह से करीब कर देंगे और अल्लाह के हुज़ूर उनकी सिफारिश कर देंगे . चुनांचे क़ुरान मजीद में बताया गया है कि मुशरिक कहते थे. हम उनकी पूजा केवल इसलिये कर रहे है कि वे हमें अल्लाह के करीब कर दे(अल~क़ुरान 39.3) . ये मुशरिक अल्लाह के सिवा उनकी पूजा करते है जो उन्हें ना फायदा पहुंचा सके ना नुकसान और कहते है कि ये अल्लाह के पास हमारे सिफ़ारिशी है (अल~क़ुरान 10.18). अरब के मुशरिक अज़लाम अर्थात फाल (शकुन) के तीर भी इस्तेमाल करते थे। (अज़लाम ज़लम का बहुवचन है) और जलम उस तीर को कहते है, जिसमे पर ना लगे हों, फाल निकालने के लिए इस्तेमाल होने वाले ये तीर तीन तरह के होते थे. एक वे जिनपर केवल हां या नही लिखा होता था. इस प्रकार के तीर यात्रा या विवाह आदि जैसे कामो के लिए इस्तेमाल किये जाते थे . अगर फाल में हां निकलता तो चाहा गया काम कर डाला जाता , अगर नही निकलता तो साल भर के लिए स्थगित कर दिया जाता और अगले साल फिर फाल निकाला जाता .
-----------------------
★The Arabs believed that such idols, or heathen gods, would bring them nearer to Allâh, lead them to Him, and mediate with Him for their sake, to which effect, the Qur’ân goes:“We worship them only that they may bring us near to Allâh.” [39:3] and “And they worship besides Allâh things that hurt them not, nor profit them, and they say: These are our intercessors with Allâh.” [10:18] Another divinatory tradition among the Arabs was casting of Azlam (i.e. featherless arrows which were
of three kinds: one showing ‘yes’, another ‘no’ and a third was blank) which they used to do in case of serious matters like travel, marriage and the like. If the lot showed ‘yes’, they would do, if ‘no’, they would delay for the next year.
----------------------------------------------------------

To be continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment