Search This Blog

Tuesday 3 April 2018

Part 42 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 42 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
■ Arab : Adyaan-o-Mazaahib
★Faalgiri ke teeron ki doosri qism weh thi jin par paani aur diyat waghairah darj hote the aur teesri qism weh thi jin par yeh darj hota tha ke "tum mein se hei" yaa "tumhaare elaawah se hei" yaa "Mulhaq" hei. In teeron ka masraf yeh thaa ke jab kisi ke nasab mein shubha hota to use ek sau (100) oonton sameit 'Hubal' ke paas le jaate. Oonton ko teer waale mahant ke hawaale karte aur woh tamaam teeron ko ek saath mila kar ghumaataa, jhinjhorta, phir ek teer nikaltaa. Ab agar yeh nikalta ke "tum mein se hei." to woh un ke qabeele kaa ek muazzaz fard qaraar paataa aur agar yeh bar aamad hota ke "tumhare ghair se hei" to haleef qaraar paataa aur agar yeh nikalta ke "Mulhaq" hei to unke andar apni haisiyyat par barqaraar rahta. na qabeele ka fard maanaa jaataa na haleef.
•  (7)
★lsi se milta-julta ek riwaaj mushrikeen mein Juwaa khelne aur Juwe ke teer iste'maal kame ka tha. Isi teer ki nishaandahi par weh Juwe ka oont zibah karke uska gosht baant lete the.•  (8)
-----------------------
★फाल निकालने वाले तीरो का दूसरा प्रकार वह था जिनपर पानी और दियत आदि अंकित होते थे. और तीसरा प्रकार वह था , जिसपर यह अंकित होता था कि तुम में से है या तुम्हारे अलावा से है या मिला हुआ है । इन तीरो का काम यह था कि जब किसी के नसब (वंश) में संदेह होता तो उसे एक सौ (100) ऊँटो सहित हुबल के पास ले जाते । ऊँटो को तीर वाले महंत के हवाले करते और वह तमाम तीरो को एक साथ मिलाकर घुमाता , झिंझोड़ता, फिर एक तीर निकालता । अब अगर यह निकलता कि तुम में से है तो वह उनके क़बीले एक प्रतिष्ठित व्यक्ति मान लिया जाता और अगर यह निकलता की मिला हुआ है तो उनके अंदर अपनी हैसियत बाकी रखता , न क़बीले का व्यक्ति माना जाता ,न हलीफ .•  (7)
★इसी से मिलता जुलता एक रिवाज मुशरीकीन में जुवा खेलने और जुवे के तीर इस्तेमाल करने का था इसी तीर की निशानदेही पर वो जुवे का ऊँट जिबह करके वो उसका गोशत बाँट लेते थे•  (8)
-----------------------
★Other kinds of Azlam were cast for water, blood-money or showed ‘from you’, ‘not from you’, or ‘Mulsaq’(consociated). In cases of doubt in filiation they would resort to the idol of Hubal, with a hundred-camel gift, for the arrow caster. Only the arrows would then decide the sort of relationship.If the arrow showed (from you), then it was decided that the child belonged to the tribe; if it showed (from others), he would then be regarded as an ally, but if (consociated) appeared, the person would retain his position but with no lineage or alliance contract.•  (7)
★This was very much like gambling and arrow-shafting whereby they used to divide the meat of the
camels they slaughtered according to this tradition.
•  (8)
-----------------------------------------------------------
•  (7) Muhaaziraat-e-Khazri, 1/56, Ibn-e-Hisham, 1/102, 103
•  (8) lska tereeqah yeh tha ke Juwa khelne waale ek oont zibah karke use das (10) ya atthaais (28) hisson par taqseem karte. Phir teeron se qadaa andaazi karte. Kisi teer par jeet ka nishan banaa hotaa aur koi teer be nishaan hotaa. Jis ke naam par jeet ke nishaan waalaa teer nikalta woh to kaamyaab maanaa jaataa aur apna hissaa letaa aur jiske naam par be nishaan teer nikaltaa use qeemat deni padti.
■ To be continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment