Search This Blog

Monday 16 April 2018

Part 44 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 44 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Nujoomi use kehte hain jo taaron par ghaur karke aur unki raftaar wa auqaat ka hisaab lagaa kar pataa lagaataa hai ke duniya mein aaindah kiya haalaat wa waaqiaat pesh aaeinge . • (9) In Nujoomion ki khabaron ko maannaa dar haqeeqat taaron par imaan laanaa hei aur taaron par imaan laane ki ek soorat yeh bhi thi ke mushrikeen-e-Arab nakshatron par imaan rakhte the aur kehte the ke ham par falaan aur falaan nakshatra se baarish hui hei . • (10) Mushrikeen mein bad shugooni ka bhi rawaaj tha. Use arabi mein TIYRA kehte hain. Iski soorat yeh thi ke mushrikeen kisi Chiriya yaa hiran ke paas jaa kar use bhagaate the. Phir agar woh daahine jaanib bhaagta to use achhaai aur kaamyaabi ki alaamat samajh kar apnaa kaam kar guzarte aur agar baaein jaanib bhaagta to use nuhoosat ki alaamat samajh kar apne kaam se baaz rahte Isi tarah agar koi chiriya yaa jaanwar raasta kaat detaa to use bhi manhoos samajhte.
-----------------------
★नजूमी उसे कहते है जो तारों पर विचार करके और उनकी चाल और समय का हिसाब लगाकर पता लगाता है कि दुनिया में आगे क्या परिस्थितियाँ जन्म लेंगी और क्या घटनाएं घटित होंगी . इन नजूमियों के खबरों का मानना वास्तव में तारों पर ईमान लाना है और तारों पर ईमान लाने की एक शक्ल ये भी थी की अरब के मुशरिक नक्षत्रो पर ईमान रखते थे और कहते थे की हमपर फलां और फलां  नक्षत्र से वर्षा हुई है. मुशरिकों में अपशकुन का भी रिवाज था उसे अरबी में तियरा कहते हैं, इसकी शक्ल यह थी की मुशरिक किसी चिड़िया या हिरन के पास जाकर उसे भगाते थे . फिर अगर वह दाहिनी ओर भागता तो उसे अच्छाई और सफलता की निशानी समझकर अपना काम कर गुजरते और अगर कोई बायीं ओर भागता तो उसे अपशकुन समझकर अपने काम से रुक जाते . इसी तरह अगर कोई चिड़िया या जानवर रास्ता काट देता तो उसे भी अपशकुन समझते
-----------------------
★The astrologer belonged to a third category who used to observe the stars and calculate their movements and orbits whereby he would foretell the future. Lending credence to this news constituted a clue to their conviction that attached special significance to the movements of particular stars with regard to rainfall. The belief in signs as betokening future events, was, of course common among the Arabians. Some days and months and particular animals were regarded as ominous. They also believed that the soul of a murdered person would fly in the wilderness and would never rest at rest until revenge was taken. Superstition was rampant. Should a deer or bird, when released, turn right then what they embarked on would be regarded auspicious, otherwise they would get pessimistic and withhold from pursuing it.
-----------------------------------------------------------
•  (9) Mir'aat-ut-Mafaateeh. Sharah Mishkaatul Masaabth, 2/2,3
•  (10) Saheeh Bukhari , 1/95
■ To be continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment