Search This Blog

Tuesday 24 April 2018

Part 45 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 45 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Isi se milti-julti ek harkat yeh bhi thi ke mushrikeen, khargosh ke takhne ki haddi latkaate the aur baaz dinon, mahinon, jaanwaron, gharon aur auraton ko manhoos samajhte the. Bimaarion ki chhoot ke qaail the aur rooh ke ullu ban jaane ka aqeeda rakhte the. Yaani unka aqeeda tha ke jab tak maqtool ka badla na liyaa jaae. usko sukoon nahin miltaa aur uski rooh ullu bankar bayaabaanon mein gardish karti rahti hei aur "piyaas, piyaas" yaa "mujhe pilaao, mujhe pilaao" ki sadaa lagaati rahti hei. Jab uska badla le liyaa jaataa hei to use raahat aur sukoon mil jaataa hei.•  (11)
-----------------------
★इसी से मिलती-जुलती एक हरकत यह भी थी की मुशरिक खरगोश के टखने की हड्डी लटकाते थे और कुछ दिनों , महीनो , जानवरों, घरों, और औरतों को अपशकुन समझते थे . बीमारियों के छुत के कायल थे और आत्मा के उल्लू बन जाने में विश्वास करते थे अर्थात उनकी आस्था थी की जबतक जिसकी हत्या की गयी है , उसकी हत्या का बदला ना लिया जाए , उसे शान्ति नही मिलती और उसकी आत्मा उल्लू बनकर निर्जन स्थानों पर घुमती रहती और प्यास प्यास या मुझे पिलाओ मुझे पिलाओ की आवाज लगाती रहती है. जब उसका बदला ले लिया जाता है , तो उसे राहत और शान्ति मिल जाती है
-----------------------------------------------------------
•  (11) Saheeh Bukhari, 2/851,857 Ma'a Shurooh
■ To be continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment