Search This Blog

Sunday 13 May 2018

Part 48 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 48 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Un ki ek bid'at yeh bhi thi ke weh kehte the ke Bairoon-e-Haram ke baashinde Hajj ya Umrah karne ke liye aayein aur Bairoon-e-Haram se khaane ki koi cheez le kar aayein to use un ke liye khaanaa durust nahein. •  (14) Ek bid'at yeh bhi thi ki unhon ne Bairoon-e-Haram ke baashindon ko hukm de rakhaa tha ke weh Haram mein aane ke ba'd pahla Tawaaf Hums se haasil kiye hue kapraon hi mein karein. Chunaanche agar un ka kapra dastiyaab na hota to mard nange Tawaaf karte, aur auratein apne- saare kapre utaar kar sirf ek chhota sa khula hua kurta pahan letein. Aur usi mein Tawaaf kartin aur dauraan-e-Tawaaf yeh sher padhti jaatin."Aaj kuchh ya kul sharam gaah khul jaaegi.kapraon hi mein karein. Chunaanche agar un ka kapra dastiyaab na hota to mard nange Tawaaf karte, aur auratein apne- saare kapre utaar kar sirf ek chhota sa khula hua kurta pahan letein. Aur usi mein Tawaaf kartin aur dauraan-e-Tawaaf yeh sher padhti jaatin."Aaj kuchh ya kul sharam gaah khul jaaegi.Lekin jo khul jaae mein use (dekhna) halaal nahein qaraar deti".
-----------------------
★उनकीं एक नई बात यह भी थी की वे कहते थे की हरम के बाहर के लोग हज या उमरा करने के लिए आये और हरम के बाहर से खाने की कोई चीज लेकर आए तो इसका उनके लिए खाना सही नही. एक नई बात यह भी थी की उन्होंने हरम के बाहर के निवासियों को हुक्म दे रखा था कि वे हरम में आने के बाद पहला तवाफ़ (परिक्रमा) हुम्स से प्राप्त कपड़ो ही में करे. चुनांचे अगर उनका कपड़ा ना प्राप्त होता , तो मर्द नंगे तवाफ करते और औरते अपने सारे कपड़े उतारकर सिर्फ एक छोटा सा खुला हुआ कुरता पहन लेती और उसी में तवाफ़ करती और तवाफ़ के दौरान ये पद (आयत) पढ़ती जाती-"आज कुछ या कुल गुप्तांग (शर्मगाह) खुल जाएगा , लेकिन जो खुल जाए , मैं उसे (देखना) हलाल नही करार देती".
-----------------------
★They also, out of a deeply-rooted misconception, denied pilgrims, other than Makkans, access to the food they had brought when they wanted to make pilgrimage or lesser pilgrimage.They ordered pilgrims coming from outside Makkah to circumambulate Al-Ka‘bah in Quraish uniform clothes, but if they could not afford them, men were to do so in a state of nudity, and women with only some piece of cloth to hide their groins
-----------------------------------------------------------
•  (14)  Ibn-e-Hisham, 1/202
■ To be Continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment