Search This Blog

Monday 21 May 2018

Part 49 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 49 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Ailah Ta'ala ne is khuraafaat ke khaatme ke liye farmaayaa: Ae Adam ke beton! har Masjid ke paas apni zeenat ikhtiyaar kar liyaa karo." Baharhaal agar koi aurat ya mard bartar aur muazzaz ban kar, Bairoon-e-Haram se laai hue apne hi kapron mein Tawaaf kar leta to Tawaaf ke ba'd un kapron ko phaink deta, un se na khud faaida utthaataa na koi aur. • (15) Quraish ki ek bid'at yeh bhi thi ke woh Haalat-e-Ehraam mein ghar ke andar darwaaze se daakhil na hote the balki ghar ke phichhwaare ek baraa sa sooraakh banaa lete aur usi se aate-jaate the aur apne is apne is ojad pane ko neki samajhte the. Qur’aan-e-Kareem ne isse bhi mana farmaayaa. (2:189)
-----------------------
★अल्लाह ने इस बेकार सी चीज की समाप्ति के लिए फ़रमाया " ऐ आदम के बेटों ! हर मस्जिद के पास अपनी ज़ीनत इख्तियार कर लिया करो " बहरहाल अगर कोई औरत या मर्द श्रेष्ठ और उच्च बनकर , हरम के बाहर से लाये हुए अपने ही कपड़ो में तवाफ़ कर लेता ,तो तवाफ़ के बाद इन कपड़ो को फेंक देता , उस से ना खुद फायदा उठाता न कोई और । क़ुरैश की एक नई बात यह थी की वे एहराम की हालत में घर के भीतर दरवाजे से दाखिल न होते थे बल्कि घर के पिछवाड़े एक बड़ा सा सूराख बना लेते और उसी से आते-जाते थे और अपने इस उजड्डपने को नेकी समझते थे ! क़ुरान ने इसे भी मना फ़रमाया (देखिये , 2:189)
-----------------------
★Allâh says in this concern: “O Children of Adam! Take your adornment (by wearing your clean clothes), while praying [and going round (the Tawaf of) the Ka‘bah". [7:31].If men or women were generous enough to go round Al-Ka‘bah in their clothes, they had to discard them after circumambulation for good.When the Makkans were in a pilgrimage consecration state, they would not enter their houses through the doors but through holes they used to dig in the back walls. They used to regard such behaviour as deeds of piety and god-fearing.This practice was prohibited by the Qur’ân
-----------------------------------------------------------
•  (15) Ibn-e-Hisham 1/202,203...Saheeh Bukhari 1/226
■ To be Continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment