Search This Blog

Monday, 4 June 2018

Part 51 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 51 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Doosra daur us waqt shuroo hota hai jab Taitas Rumi ki zair-e-qiyaadat 70 A.D mein Rumion ne Palestine par qabza kiya. Is mauqa par Rumion ke Haathon yahoodion ki daar-o-geer aur un ke heikal ki barbaadi ka nateeja yeh hua ke muta'ddid Yahoodi qabeele Hijaaz bhaag aaye aur Yasrib, Khaibar aur Taima mein aabaad ho kar yahaan apni baa-qaaida bastian basaa lein aur Qile aur ghadhiaan tameer kar lein. In tarikeen-e-watan Yahood ke zariye Arab baashindon mein kisi qadar Yahoodi mazhab ka bhi rawaaj hua aur use bhi zuhoor-e-Islam se pahle aur us ke ibtidaai daur ke siyaasi hawaadis mein ek qaabil-e-zikr haisiyyat haasil ho gai. Zuhoor-e-IsIam ke waqt mashhoor Yahoodi qabaail yeh the: Khaibar,Nazeer, Mustaliq, Quraizah aur Qainuqah. Samhudi ne 'wafa-ul-wafa safha 116 mein zikr kiya hai ki Yahood qabaail ki tadaad bees ( 20 ) se ziyadah thi.•  (17)
-----------------------
★दुसरा युग उस समय शुरू होता है जब टाइटस रूमी के नेतृत्व में सन 70 ईस्वी में रूमियों ने फ़लस्तीन पर कब्ज़ा कर लिया , इस अवसर पर रूमियों के हाथों युहुदियो की पकड़-धकड और उनके हैकल की बर्बादी का नतीजा यह हुआ की अनेक यहूदी क़बीले हिजाज भाग गए और यसरीब ,खैबर और तैमा में आबाद होकर यहां अपनी विधिवत आबादियां बसा ली और किले और गढ़ीयां बना ली । देश निकाला पाये इन युहुदियो के जरिए अरब निवासियों में किसी क़दर यहूदी धर्म का भी रिवाज हुए और उसे भी इस्लाम प्रकट होने से पहले और उसके आरम्भिक युग की राजनितिक घटनाओ में एक उल्लेखनिय हैसियत हासिल हो गयी. इस्लाम के प्रकट होने के वक़्त प्रसिद्ध यहूदी क़बीले ये थे-- खैबर ,नज़ीर ,मुस्तल्क ,क़ुरैज़ा और कैनुकाअ. सम्हुदी ने वफाउल वफ़ा पृष्ट 116 में उल्लेख किया है कि यहूदी क़बीलों की तायदाद बिस से ज्यादा थी
-----------------------
★ The second phase started with the Roman occupation of Palestine under the leadership of Roman Buts in 70 A.D. This resulted in a tidal wave of Jewish migration into Hijaz, and Yathrib, Khaibar and Taima’, in particular. Here, they made proselytes of several tribes, built forts and castles, and lived in villages. Judaism managed to play an important role in the pre-Islam political life. When Islam dawned on that land, there had already been several famous Jewish tribes — Khabeer, Al-Mustaliq, An-Nadeer, Quraizah and Qainuqa‘. In some versions, the Jewish tribes counted as many as twenty.
-----------------------------------------------------------
•  (17) Qalb-e-Jazeerat-ul-Arab Safha 251
■ To be Continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment