Search This Blog

Monday, 25 June 2018

Part 54 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahhirrahmanirrahim
✦  Part 54 of 1800 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦  Ar-Raheeq Al-Makhtum(The sealed Nectar)
-----------------------------
★Phir Zu-Nawaas ki kaarrawai ke radd-e-amal ke taur par Habshion ne dobaarah Yemen par qabza kiya aur Abraha ne hukoomat-e-Yemen ki baag-dor apne haath mein li to usne bare josh wa kharosh ke saath bare paimaane par Eisaaiyyat ko farogh dene ki koshish ki. Isi josh-o-kharosh ka nateeja tha ke us ne Yemen mein ek Ka'bah tameer kiya aur koshish ki ke Ahl-e-Arab ko (Makkah aur Baitullah se) rok kar isi ka Hajj karaai, aur Makkah ke Baitullah Shareef ko dha de. Lekin us ki is jur'at par Allah Ta'ala ne use aisi sazaa di ke awwaleen wa aakhireen ke liye ibrat ban gayaa.Doosri taraf Roomi elaaqon ki hamsaayegi ke sabab Aal-e-Ghassan, Banu Taghlib aur Banu Tai' waghairah qabaail-e-Arab mein isaaiyat phail gayi thi Balki Heerah ke baaz Arab Baadhshaho ne bhi isaayi mazhab qubool kar lia tha.
-----------------------
★फिर जुनिवास की कार्यवाही की प्रतिक्रिया में सन् 525 ई० में हब्शियों ने दुबारा यमन पर कब्ज़ा कर लिया और अबराहा ने यमन राज्य की सत्ता अपने हाथ में ले ली , तो उसने भारी उत्साह और उमंग के साथ बड़े पैमाने पर ईसाई धर्म को फैलाने की कोशिश की . इसी उमंग और उत्साह का नतीजा था कि उसने यमन में एक काबा बनाया और कोशिश की कि अरबो को (मक्का और बैतुल्लाह से) रोक कर उसी का हज कराये और मक्का के बैतुल्लाह शरीफ़ को ढा दे , लेकिन उसकी इस जुर्रत पर अल्लाह ने उसे ऐसी सजा दी की अगलो पिछलों के लिए शिक्षा ग्रहण करने की चीज बन गया . दूसरी ओर रूमी क्षेत्रो का पड़ोस होने के कारण आले गस्सान ,बनू तगलब,और बनू तै वगैरह अरब क़बीलों में भी ईसाई धर्म फ़ैल गया था, बल्कि हियरा के कुछ अरब बादशाहो ने भी ईसाई धर्म अपना लिया
-----------------------------------------------------------
■ To be Continued....... In shaa Allah

No comments:

Post a Comment